♥ Mafhoom-e-Hadees: Ahmad Wa Baiheqi Ne Shoaib-Ul-Imaan Me Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Ki,
*Ek Shakhs Ne Arz Kiya – “Ya Rasool’Allah ! Falani Aurat Ke Mutallik Zikr Kiya Jaata Hai Ki Namaz-Wa-Roza Wa Sadka Kasrat Se Karti Hai Magar Ye Baat Bhi Hai Ki Wah Apne Padosiyon Ko Zubaan Se Takleef Pahunchati Hai…”
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Wah Jahannam Me Hai…”
*Unhone Kaha – “Ya Rasool’Allah ! Falani Aurat Ki Nisbat Zikr Kiya Jaata Hai Ki, Uske Roza Sadka Wa Namaz Me Kami Hai (Yaani Nawafil) Wah Paneer Ke Tukde Sadka Karti Hai Aur Apni Zubaan Se Padosiyon Ko Iza (Takleef) Nahi Deti…”
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Wah Jannat Me Hai…”
– (Islami Akhlaq-o-Aadab, Page#234, Hadith no. 12 – @[156344474474186:])
• SABAQ: Lihaza Her Haal Me Apne Padosi Se Narmdili Se Pesh Aaya Karo Aur Bacha Karo Unka Dil Dukhane Se, Ke Yeh Zulm Hai Aur Allah Ta’ala Aise Bando Ko Pasand Nahi Karta Jo Apne Padosiyon Ke Pareshaniyon Ki Wajah Ho.
– Fir Chahe Wo Banda Kitna Hi Bada Aabid Wa Parhezgaar Kyu Na Ho, Wo Jahannam Ki Aag Se Bach Nahi Payega Jo Apne Padosiyon Ke Pareshaniyon Ka Jimmewar Ho.
*Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De …