Jo Kisi Musalman ke Aib Chupayega

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
*Jo Kisi Musalman Ki Parda-Poshi Karega (Aib Chupayega) Allah Ta’ala Duniya Aur Aakhirat Me Uski Parda-Poshi Farmayega.
*Allah Subhanahu Ta’ala Uss Bandey Ki Madad Me Rahta Hai Jab Tak Banda Apney Bhai Ki Madad Me Hota Hai.

*Aur Jo Koi Ilm Ki Talab Me Koi Raasta Chaley Tou Allah Subhanahu Ta’ala Uskey Liye Jannat Ka Raasta Aasan Farma Deta Hai.

*Aur Jab Koi Allah Ke Ghar(Masjid) Me Jama Hokar Allah Ki Kitab(Quraan-e-Kareem) Ki Tilawat Karey Aur Aapas Me Allah Ki Kitab Ko Samjhey Aur Samjhaye Tou Farishtey Unko Gher Letey Hain Aur Unn Par Sakinat(Sukun) Nazil Honey Lagta Hai Aur Rahmat Unko Dhaanp Leti Hai Aur Allah Unka Zikr Apney Paas Waley Farishton Me Farmata Hai.
*Aur Jiska Amal Usko Peechey Kar De Uska Nasab (Khandan) Usey Aagey Nahi Kar Sakta..”
(Sunan Ibn Majah, Vol 1, Hadith no.225)

Leave a Reply