Emanwale Ki Pareshani Door Karne Ka Silaah Hadees

Emanwale ki Pareshani Door Karne ka Silaah

Hadees of the Day

Emanwale ki Pareshani Door karne ka Silaah

Abu Hurayrah (R.A.) riwayat karte hai ki,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ki –

“Jo Koi Shakhs kisi Imanwale ki Pareshani ko Door karta hai, Allah Qayamat ke Roz Uss Shakhs ki Ghabrahat ko Door farmayega.

Aur Jo koi bhi Shakhs kisi Dusre ki Musibat hal karta hai, Allah Uss Shakhs ke liye Duniya aur Aakhirat ki Mushkeele’n Aasaan bana deta hai.

Aur Allah Apne Bande ki Madad karta Rahta hai Jab tak Wo Banda Apne Bhai ki Madad Karta rehta hai”

📕 Sahih Muslim 6853

Read More

5/5 - (3 votes)
6 Safar | Sirf Paanch Minute ka Madarsa

6. सफर | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा

हजरत शुऐब (अ.स) की दावत और कौम की हलाकत, मुअजिज़ा: कहत साली दूर होना – बारिश का बरसना, अल्लाह ही मदद करने वाला हैं, अच्छे काम करने पर सद्के का सवाब, कुफ्र की सज़ा जहन्नम …

Hadees about Qarz lene ki Niyat

Qarz ki Adayegi se Muhh na phero

Hadees of the Day

Qarz ki Adayegi se Muhh na phero

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“Jo Logon ka Maal Qarz ke taur par ada karne ke Niyat se leta hai tou Allah Ta’ala bhi uski taraf se ada karega aur
Jo koi tabah(waste) karne ki (yaani na dene ki) Niyat se le tou Allah Ta’ala bhi usko tabah kar dega.”

📕 Sahih Bukhari: Hadees 2387

5/5 - (3 votes)
Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge ?

Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge?

Aaj ki Aayat | Verse of the Day

Allah ki Madad Qareeb hai

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

—✦ TRANSLITERATION ✦—

“Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge ?
halaan ke ab tak tum par wo halat nahi aaye jo tumse pehle logo par aaye they,
Unhe Bimariyan aur Musibato ne is tarah gher liya ke, yaha tak ke Wakt ke Rasool aur unke Sath wale Neik log pukaar uthey ke
“Allah ki madad kab aayegi ?”
(phir unhe tasalli di gayi ke)
Haa! Allah ki Madad Karib hai.”

📕 Al Quran 2:214

Read More

4.4/5 - (26 votes)
Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom

Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom

Hadees of the Day

Apne Bhai ki Madad karo,
Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom

Allah Ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Tu apne Bhai ki Madad kar! chahe woh Zaalim ho ya Mazloom.”

Tou ek shakhs ne pucha “Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Mazloom hone ki Soorat me tou hum uski madad karenge, lekin Zaalim hone ki soorat me uski Madad kaise kare?”

Tou Aap (ﷺ) ne farmaya ke
“Tum Usey Zulm karne se rok do, yahi uski Madad karna hai.”

📕 Sahih al-Bukhari 2444

5/5 - (5 votes)