Allah Ta’ala Quran-e-Kareem me Irshad Farmata Hai –
“Maahe Ramzan Wo Hai Jismey Quran Utara Gaya, Jo Logon Ko Hidayat Karne Wala Hai Aur Jismey Hidayat Ki Aur Haqq-Wa-Batil Ki Tameez Ki Nishaniyan Hain. Tum Me Se Jo Shakhs Is Mahine Me Muqim (Alive) Ho, Usey Roza Rakhna Chahiye. Haan Jo Bimar Ho Ya Musafir Ho, Usey Dusre Dino Me Ye Ginti Puri Karni Chahiye.
Allah Ta’ala Ka Irada Tumhare Sath Aasani Ka Hai, Sakhti Ka Nahi. Wo Chahta Hai Ki Tum Ginti Puri Kar Lo Aur Allah Ta’ala Ki Di Hui Hidayat Par Uski Badhaiyyan (बढ़ाईय्याँ) Bayan Karo Aur Uska Shukr Adaa Karo…”
– [Surah Baqrah, Ayat 185, Tarjuma By Hafiz Ibne Kaseer, From Tafseer Ibne Kaseer, Para 1, Safah 265]
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Naqal Farmate Hain Ki,
Rasool-e-Karim (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Jab Ramzan Dakhil Hota Hai Tou Aasman Ke Darwaze Khul Jate Hain (Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Jannat Ke Darwaze Khul Jate Hain Aur Ek Riwayat Me Hai Ki Rehmat Ke Darwaze Khul Jate Hain) Aur Jahannum Ke Darwaze Band Ho Jate Hain Aur Shayateen Paband-e-Salasil (Zanziron Mai Jakadna) Kar Diye Jate Hain.”
– Bukhari-Wa-Muslim
– Mishqatul Masabih, Kitabul Saum, Fasal Awwal, Safah 173
♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
“Tum Par Ramzan Ka Mubarak Mahina Aaya Hai, Allah Ta’ala Ne Tum Par Iska Roza Farz Kiya Hai,
Is Mai Aasman Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain Aur Dozakh Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hain,
Aur Sarkash Shaitan Qaid Kar Diye Jate Hain.
Is Me (Allah Ki Janib Se) Ek Aisi Raat (Rakhi Gayi) Hai Jo Hazaar Mahino Se Behtar Hai,
Jo Shakhs Iski Khair Se Mehrum Raha, Wo Mehrum Hi Raha.”
– Mishqat, Safah 173, Raawi – Hazrat Abu Huraira (RaziAllahu Anhu);
Book Reference: Aapke Masayil Aur Unka Hal, Jild 4, Roza Rakhne Ke Fazayil, Safah 497