Qayamat ki Nishaniyan Series: Part 2

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-2

11.​​ Zabir o Zalim Hukmaran honge

Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke main ne Allah ke Rasool ka irshad e garami suna:
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Agar tumhare umer lambi hui tou tum ek aise Qoum dekhoge jo Allah ke ghazab me subah karegi aur Allah ki lanat mein shaam guzareygi. in ke hathon me bailon ki dummo ki tarah (lathiyan) hongi.”

📕 Sahih Muslim kitab ul jannah 2857

Hazrat Abu Huraira (R.A) farmate hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“2 kisam ke log jahanum walay hain jinhe main ne (abhi) nahi dekha. ek tou wo qoum hai jin ke paas bailon ki dummo jaise lathian hongi aur in ke sath wo logon ko marienge.”

📕 Sahih Muslim kitab ul adab 2128

Hazrat Abu amama (R.A) farmate hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“is ummat ke aakhri dour me kuch log zahir hongey jin ke hath me bailon ki dummo jaise lathian hongi. yeh log subah o shaam Allah ki lanat aur ghazab ka shikar hongey. (Ek riwayat mein hai ke ‘in se dosti paida na kerna.’)”

📕 Masnad Ahmad 315/5
📕 Sahih al Jame 317/3

Hazrat Huzaifa (R.A) farmate hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya :
“Mere baad aise hukmaran hongey jo meri hidayat se munh pherenge aur meri Sunnat se airaz kariengey aur in (ki intazamiya) me aise log hongey jin ke jismo me Shaitano ke dil hongey.”

📕 Sahih Bukhari kitab ul munaqib 3606

Ibne Umer (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya:

“jab meri ummat me shahana kar-o-far hoga aur roomi o irani badshahon ki naslien in ki khidmat guzar hongi tou Allah Ta’ala in ke badtareen logon ko in ke behtareen logon per musallat kar dega.

📕 Sunan Tirmizi Kitab ul Fitan 2261


12.​​ Fahashi aam ho jayegi

Abdullah bin Umer (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Yaqeenan Allah Ta’ala beyhayai phailney aur phailaney ko na pasand karta hai ya beyhayai phailaney walay se bughz rakhta hai. aur Aap (ﷺ) ne yeh bhi farmaya: Qayamat qayem nahi hogi hatta ke beyhayai phail jayegi.”

📕 Musnad Ahmad 217/2
📕 Hakim 559/4

Hazrat Anas (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya :
“Fahashi, Beyhayai aur Qata Rehmi ka phail jana Qayamat ki nishanion me se hai.”

📕 Majma al Zawaid 284/7

Note:

Fahashi aur bey hayai ka phail jana Qayamat ki ek nishani hai. Aurton ki beypardagi, Mardon se ikhtalaat, mehloot taleem, gaali gloch, movies, dramey, Songs wagaira sab is me shamil hain.

Nabi (ﷺ) ki peshangoyi ke mutabiq is ka phailna la mahala qatey hai magar hume is peshangoyi ka misdaq bannay se hattal maqdoor garaiz karna chahiye.

Quran majeed ka faisla:

Jo log Musalmano me beyhayai phailanay ke aarzoomand rehte hain in ke liye Dunia aur Aakhirat me dardnak azab hai.

📕 Surah al Noor 19

13.​​ Aurtein kapdey pahen’ne ke bawjood barhana (Nangi) hongi

Hazrat Abu Huraira (R.A) farmate hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“2 kisam ke log jahannum waley hai jinhe maine (abhi) nahi dekha. ek tou wo Qoum hai jin ke paas bailon ki dummo jaise lathian honge aur in ke sath wo logon ko marienge.”

📕 Sahih Muslim kitab ul adab 2128

Note:

Aurton ka uriyaan libas mein zahoor Qayamat ki nishani hai. mojoda dour me yeh nishani aam hai.


14.​​ Ilm ka khatma aur jahalat mein izafa ho jayega

Hazrat Anas bin malik (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“ilm ka uth jana, jahalat aur qatal o gharat ka badh jana Qayamat ki nishanion mein se hai.”

📕 Sahih Bukhari kitab ul Ilm 80

Hazrat Abdullah bin Umro (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya:
Allah Ta’ala (Zabardasti) logon (ke seeno) se ilm nahi khichiega balkey Ulma ke khinchney (maut) ke sath ilm bhi khinch lega yahan tak ke koi Aalim baaki nahi raheyga phir log jahilon ko sardar bana lengey, in se sawal kia jayega tou wo bila ilm jawab denge jis ke nateeja me khud bhi gumrah hongey aur logon ko bhi gumrah karienge.”

📕 Sahih Bukhari kitab ul ilm 100

Hazrat Zaid bin Labaid (R.A) farmatey hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne ilm uth jane ka tazkira farmaya tou main ne kaha: Ya Rasool Allah ﷺ! ilm kaise khatam ho jayega halankey hum Quran padhte hai aur apni Aulad ko padhatey hai (wo apni Aulad ko padhate rahenge tou is tarah) yeh silsala Qayamat tak jaari rahega.

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Ibne Labaid! Teri Maa tujhe gum paye, main tou tuje Madina ka samajhdar aadmi samajhta tha. kya Yahood-o-Nasar Tauraat aur injeel nahi perhte? magar yeh log in se koi nafa hasil nahi karte.”

📕 Masnad Ahmad 219/4
📕 Sunan ibne Majah 4097

Note: “Teri Maa tujhe gum paye” yeh ek muhawra hai. 

Hazrat Huzaifa (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
ilm Mit’ta chala jayega jis tarah kidey ke nishanat mittay chalay jatey hai hatta ke log Namaz, Roza, Zakat aur Qurbani ka tasawwur bhi bhool jayenge. Quran majeed utha lia jayega aur kuch budhey Mard o zun baki reh jayengey jo kahenge hum ne tou apne Abaa o Ajdaad se sirf yeh Kalma (la ilaha illallah) suna hai lihaza hum bhi wohi kalma dohratay hain.”

📕 Fatah al bari 16/13
📕 Sunan ibne Majah 4049

Ek riwayat me hai ke: 

“Qayamat is waqt qayem hoge jab Zameen per Allah! Allah! pukarney wala bhi koi na bacheyga.”

📕 Sahih Muslim kitab ul iman 148

Note:

Ilm ka uth jana Qayamat ki ek nishani hai. yeh nishani b Aahista Aahista zahir ho rahi hai. Deen se doori, deen ke barey me na wakfiyat isi ke ziman me aata hai.


15.​​ Zina aam ho jayega

Hazrat Anas bin malik (R.A) farmate hai ke main tumhe aisi hadees na sunau jo main ne Allah ke Rasool (ﷺ) se suni thi aur mere ilawa koi aur wo hadees tumhe nahi sunayega. Maine Hazoor (ﷺ) ka irshad e garami suna ke Qayamat ki Nishanion me se hai ke ilm utha lia jayega, jahalat barh jayegi, Zina aam hoga, Sharab ba Qasrat pee jayegi, aadmi thodey aur Aurtien Ziada ho jayengi.
📕 Sahih Bukhari kitab ul nikah 5231

Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya: is Zaat ki Qasam jis ke hath me meri jaan hai yeh ummat is waqt tak khatam na hogi jab tak ke (yeh halat na ho jaye ke) Aadmi Aurat ke sath bhare bazar Zina karega aur is waqt behtareen aadmi wo hoga jo yeh baat kaheyga: kash tum isey deewar ke peeche ley jatey.
📕 Majma al Zawaid 331/7

Note: 

Yaani Qayamat ke kareeb Zina itna aam ho jayega ke log khuleaam karne lag jayenge. Aur us dour me wo shakhs accha mana jayega jo aise zina karnewalo ko ye nasihat karega ke kash tum log khuleaam karne ke bajaye deewar ke piche ja kar karte.

 
Hazrat Abu amir (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: meri ummat me kuch aise log paida hongey jo zinakari ko halal kar leingey.
📕 Sahih Bukhari 5590

Note:

Zinakari ka aam hona Qayamat ki ek nishani hai. moujuda dour me yeh zina kari jungle me aag ki tarah tamaam aalm-e-islam me phail ker Musalmano ke iman ko jala ker raakh bana rahi hai.

Zina ek kabeera Gunnah bhi hai jis ki Shariyat me hadd batai gayi hai ke agar zani Shadi Shuda na ho tou isay100 kodey lagaye jayen aur ek saal ke liye jila watan ker dia jaye aur agar zaani shadi shuda ho tou isey rajam kar dia jaye.


16.​​ Sharab Halaal Samjhi jayegi

Hazrat Abu malik ash’ari (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Meri ummat me kuch aise burey log paida ho jayenge jo Zinakari, Reshmi libas, Sharab aur ganey bajanay ko halal bana lengey.”

📕 Sahih Bukhari kitab ul ashraba 5590

Hazrat Anas bin Malik (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Qayamat ki nishanion me se hai ke ilm utha lia jayega, jahalat badh jayegi aur Sharab qasrat se pee jayegi.

📕 Sahih Bukhari kitab ul nikah 5231

Hazrat Ibada bin Samat (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Meri Ummat me se kuch log Sharab ko halal bana lengey aur is ka Naam badal lengey aur jab tak yeh amlamat zahir na ho jaye Qayamat qayem nahi hogi.”

📕 Masnad Ahmad 318/5
📕 Ibne maja 33/14


17.​​ Mausiqui – Music, Gana bajana aam ho jayega

Hazrat Abu Amir (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Meri ummat me kuch aise burey log paida hongey jo Zinakari, Reshmi libas, Sharab aur Ganey bajanay ko halal ker lengey aur (in me se) kuch log pahad ki choti per (apne banglon me rihayash ke liye) chaley jayengey. in ke charwahey subah o shaam janwar layengey aur ley jayengey.
in ke paas koi faqeer apni hajat ki gharz se aayega tou wo talnay ke liye isey keh deingey ke kal aana lekin Allah Ta’ala raat hi inhe (sarkashi ki waja se) halaq ker dega, in per pahad gira dega aur in me se baki bachney walon ko Qayamat tak ke liye bandar aur khanzeer ki soorton me masakh ker dega

📕 Sahih Bukhari kitab ul ashraba 5590

Hazrat Sahal bin Saad (R.A.) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
Meri ummat ka ek giroh Sharab o Kabab aur lahw o la’ab (musical shows) me raat guzarega phir subah ko wo Bandar aur Khanzeer ban chuke honge aur in me se jo bach jayengey in per Allah Ta’ala ek hawa bejhega jo inhe is tarah tabah barbad ker dega jis tarah pehle (nafarman) qoumo ko barbad kiya gaya. yeh saza inhe is liye milegi ke unho ne Sharab peenay, ganey bajanay aur ganey waliayan fahisha rakhne ko halal ker liya hoga.

Eik riwayat me hai ke:

Unho ne Allah ki muharmaat, Sood, Sharab aur Resham waghaira ke istamal ka jawaz muhaya ker lia hoga.

📕 Masnad Ahmad 325/5
📕 Majma al zawaid 19/8


18.​​ Rishtadari todi jayegi aur hamsaye bure honge

Hazrat Abdullah bin Umro (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat Qayem nahi hoge hatta ke beyhayai khub phail jayegi, Qata taluki aam hogi aur hamsaye burey hongey.”

📕 Masnad Ahmad 263/2
📕 Hakim 559/4
📕 Abdul razaq 40411
📕 Majma al zawaid 632/7

Hazrat Ibne Masood (R.A.) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat se pehle Tijarat, Jhoot, Tuqmaan e Haq aur Kitabat aam ho jayegi. Neez Rishtadari todi jayege.”

📕 Masnad Ahmad 509/1
📕 Hakim 493/4
📕 Majma al zawaid 635/7

Note:

Rishtadari ka todna Qayamat ki ek nishani hai. bohat se log Maal o Doulat ki chamak dhamak me andhey ho ke Ghareeb Rishtadaron ko bhool jatey hain. jabki Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Rishtadari todney wala kabhi jannat me dakhil na ho sakega.”

📕 Sahih Muslim 2556


19.​​ Log Ajnabi ban jayenge

Hazrat Huzaifa (R.A) marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) se Qayamat ke barey me pucha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya:
“is ka ilm mere Rab ke paas hai aur wohi is ke waqt se khoob wakif hai lekin main tumhe Qayamat ki kuch Alamatein batata hoon jo Qabal az Qayamat runuma honge.
Qayamat se pehle Fitna aur harj zahir hoga.
logon ne kaha: Ya Rasool Allah ﷺ! Fitna tou hum jantey hai yeh Harj kya hai?
farmaya Habshi Zaban me Harj ka matlab Qatal hai. (aur farmaya) log aapas me Ajnabi ho Jayengey goya koi ek dusre ko pehchanta hi nahi hai.”

📕 Masnad Ahmad 389/5
📕 Majma al zawaid 309/7

Note:

Logon ka Musalman hone ke bawjood ajnabi ho jana Qayamat ki ek alamat hai. yeh nishani mumkin had tak wazeh ho chuki hai magar batadreej is me izafa nagazeer hai.

Ek hi Masjid ke 2 Namazi bhi ek dusre ke halat se wakif nahi hotey balkay ek dusre ka naam bhi bas Aauqaat maloom nahi ker patey.


20.​​ Jhoot Qasrat se bola jayega

Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat qayem hone se pehle Fitney zahir hongey, jhoot bakasrat hoga, bazar qareeb ho jayenge.”

📕 Sahih Bukhari Kitab ul Fitan 7061

Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Aakhri zamaney me kuch aise (jhootey) zahir hongey jo (khud ghar ker) tumhe aise Hadeesein sunayenge jo tum ne aur tumhare aaba-o-ajdad ne bhi nahi suni hongi. lihaza in se mehfooz rehna ke kaheen tuhme Gumrahi ya Fitney me mubtala na ker dein.”

📕 Sahih Muslim muqadma 7

Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) se marvi hai ke: Shaitan insani soorat me kisi Qoum ke paas aa ker jhooti hadees sunayega aur logon me intshaar waqia ho jayega, in me se ek aadmi kahega ke main ne ek shakhs se yeh hadees suni hai jis ka chehra tou main pehchanta hun magar is ka naam nahi janta.

📕 Sahih Muslim Muqadma 17

Hazrat Abdullah bin Umro (R.A) farmatey hai ke: Samandar me Shaitan Qaid hai jin ko Suleman (A.S) ne Qaid kia tha. Anqareeb wo Niklenge aur logon ko Quran Sunayenge (yani dhoka dene ke liye jhoota Quran bana layengey).

📕 Sahih Muslim Muqadma 18

Note:

Jhoot ka phail jana Qayamat ki ek nishani hai. yeh nishani arsa daraz se zahir ho chuki hai aur din-ba-din badhti ja rahi hai.

Qayamat ke qareeb kuch log aise jahir hongey ke Allah ke Rasool (ﷺ) per jhoot bandhenge aur jhooti hadeesein garh ke logon ko suna kar Gumrah kareingey.

Aam guftugu me jhoot bolna bhi Gunnah hai lekin Ilm-e-Hadees me jhoot bolne ke barey me Nabi (ﷺ) ne farmaya ke:

“Jis ne jaan boojh ke mujh per jhoot bandha wo apna thikana Jahannum (aag) me bana ley.”

📕 Sahih Muslim muqadma 4


21.​​ Jhooti Gawahi di jayegi

Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) farmatey hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat se pehle jhooti gawahi di jayegi aur sachi gawahi chupai jayegi.”

📕 Masnad Ahmad 509/1
📕 Hakim 493/4
📕 Majma al zawaid 635/7

Note: 

Jhooti gawahi dena Qayamat ki nishani hai. Moujuda dour me yeh nishani bilkul wazeh hai. Nabi (ﷺ) ne jhooti gawahi ko kabeera gunnahon mein se qarar dia hai.

Aaj Humare adalton ka aksar nizam jhooti gawahion per munhasir hai. kiraye ke gawah bakasrat aur ba’aasani mil jate hai jin ke zariye har tarah ke najaiz muqadmaat ke jaiz faislay kerwa liye jatay hain.


22.​​ Bad’Amli phail jayegi

Hazrat Abu amama bahli (R.A) se marvi hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“islam ki kadiya ek ke baad toot’ti jayengi jab ek tootegi tou log dusri pakad lengey. sab se pehle hukm (amar e khilafat) aur sab se aakhir mein iqamat e salat (ki kadi) totegi.”

📕 Masnad Ahmad 316/5
📕 Hakim 104/4

Ibne Ferooz (R.A) se marvi hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya:

“Islam ki kadiyan darja ba darja tootti jayengi jis tarah rassi (zanjeer) waqfa dar waqfa toot’ti hai.”

📕 Masnad Ahmad 317/4

Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat qayem nahi hogi hatta ke zamana qareeb aa jaye ga aur amlon me kotahi paida ho jayegi.”

📕 Sahih Bukhari Kitab ul Fitan 7061

Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Qayamat ki nishanion me se hai ke ek aadmi masjid (ke paas) se guzrega magar is me 2 rakatein (tahaya tul masjid) ada nahi karega.”

📕 Ibne Khazeema 283/2
📕 Silsala al Saheeha 253/2
📕 Majma al Zawaid 329/7

Hazrat Anas (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“logon per ek aisa dour aayega ke in me apne deen (ki hifazat) per sabar kerne wala is shakhs ki manind hoga jo aag ke angarey ko apni muthi me thamney wala hai.”

📕 Sunan Tirmizi Kitab ul Fitan 2260

Note: 

Islami taleemaat se kinarakashi Qayamat ki nishani hai. islami taleemat me sab se pehle nizam e imarat o khilafat ki kadi toteygi aur tareekh gawah hai ke fil waqye khilafat e islamia ka inqata khudmukhtar o neem khudmukhtar rayaston ke qayam se jshuru huwa.

bad’amli ke farogh ke liye sab se aakhri me iqamat e salat jaise aham fareezay ko chora jaye ga. aaj kal masajid qareeb hone ke bawjood is farz ko chora ja raha hai.

To be Continued …

InshaAllah ! Series ka agla hissa kal rozana Subah 8 baje post kiya jayega

Leave a Reply