Momeen Ko Munafiq Ke Zulm Se Bachane Ka Silaah
Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Jisne kisi Momeen ko Munafiq ke Sharr (Zulm) se bachaya tou Allah Subhanahu Ta’ala Qayamat ke din ek Farishta bhejega jo uskey Gosht ko jahanamma ki aag se bachayega aur jisney kisi Musalman par tohmat lagayee jis sey uska maqsad uss Musalman ki burayee ho tou Allah Ta’ala usey jahannum ke pool par rok dega yahan tak ki wo uss tohmat ke Gunaah se paak ho kar nikal jaye.”
📕 Sunan Abu Dawud, Hadees: 1453-Hasan