Bimari Momeen ko Gunaaho se paak kar deta hai

✦ Hadith: Bukhaar Momin ko Gunaaho se paak kar deta hai:

Abu Huraira (RaziAllahu anhu) ne farmaya ki, “Rasool-e-kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke paas bukhar ka charcha kiya gaya, tou ek shakhs ne bukhar ko bura kaha. Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Bukhaar ko bura na kaho !, iss liye ki wo (Momin ko) Gunaaho se iss tarah paak kar deta hai, jaise Aag lohe ki mail ko saaf kar deta hai.”

(Sunan Ibn Majah 3598)

✦ Hadith: Bimar ki Ayadat ka Sawab:

1). Abbas (RaziAllahu anhu) se bayan farmate hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) jab kisi Bimaar ki Ayadat ke liye tashrif le jaate tou farmate, “koi darr nahi! bimaari gunaahon se paak karne waali hai.”

? Sahih al-Bukhari 7470

2. Abdullah (RaziAllahu anhu) bayan karte hai ki, Mai Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke paas unki Bimaari me gaya tou Aap ko Tez Bukhar tha. Maine arz kiya, ‘Huzoor! Aapko tez bukhar hai, iss liye aapko dohara sawaab milega? .’ Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya “Haa koi Musalman aisa nahi hai jo kisi pareshani me ho tou Allah uske Gunaaho ko aise door kar deta hai, jaise paidh (tree) se pattey jharh jate hai.”

Sahih al-Bukhari 5661

✦ Hadith: Gunaho ka Kaffara hai Bimaari, Takleef aur Marz:

Har Bimaari Allah ki taraf se hoti hai aur Momin ke liye Gunaaho ka Kaffara ban jati hai.

1). Abdullah ibne Masud (RaziAllahu anhu) ne kaha ki, Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ki: “Nahi pahuchti Musalmaan ko koi takleef, marz ya uske siwa kuch aur! lekin Allah Ta’ala uss ke chote Gunaaho ko jhaad deta hai, jaise darkht (tree) se patte jhadte hai.”

Sahih al-Bukhari 5660

2). Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Allah jis Bande ke sath bhalai karna chahta hai tou isey apni taraf se Bimaari(Aazmaisho) me mubtila kar deta hai.”

Sahih al-Bukhari 5645

3). Abu Sa`id Al-Khudri aur Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Musalmaan ko Ranz, Dukh, Fikr aur Gham pahunchta hai yahan tak ki agar usey kaanta bhi lagta hai tou wo taklif uske Gunhaon ka Kaffara ban jati hai.”

Sahih al-Bukhari 5641, 5642

✦ Sabaq:

Lihaja hume Bimari aur Sehat dono surate haal me Allah Ta’ala ka Shukr ada karna chahiye. Bimari Aazmaish bhi hai aur Gunaaho ka kaffara bhi. hume har haal me Sabr-o-Shukar ada karna chahiye.
in 2 kamo se Allah Ta’ala humare Gunaah bhi mita deta hai aur Aakhirat me Azar-e-azeem bhi ata farmata hai.

♥ in sha Allah ul Azeez ! Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki toufik de. Ameen.

 

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: