Jhoot bolne wale par Allah ki Lanat hai

Jhoot bolne wale par Allah ki Lanat hai

Jhuth bolna Kaisa hai?

Jhuth bolna ek Kabeera Gunah (Major sin) hai.

Aksar dekha jata hai muashre me fitne aur fasad ki wajah jhuth hoti hai. tou beharhaal is post me hum jhuth ke baare me Qurano Sunnat ki rehnumayi par gour karenge.


۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Jhootho par Allah ki Lanat

“Beshaq Jhoot bolne waale par Allah ki Lanat hai.”

“बेशक झूठ बोलने वाले पर अल्लाह की लानत है|”

📕 Surah Aal-e-Imran 3:61


Jhuth Gunah ki taraf le jata hai

© www.ummat-e-nabi.com/homeNabi-e-Kareem (ﷺ) farmate hai

“Jhoot se bacho! bilashuba Jhooth Gunaah ki taraf le jaata hai, aur Gunaah jahannam me pahunchane wala hai.”

The Prophet (ﷺ) said: “Avoid falsehood, for falsehood leads to wickedness, and wickedness to hell.”

📕 Sunan Abi Dawud 4989-Sahih © www.ummat-e-nabi.com/home


Jhooth bolne ka Azab

“Bohot saare log munh ke bal jahannam me phenk diye jayenge, sirf apni zubaan (Jhoot) ki wajah se.”

📕 Tirmizi Shareef © www.ummat-e-nabi.com/home

isme zuban se kiye jaane wale gunaah shamil hai jaise Jhuth bolna, baddkalami karna, Ghibat aur Chugli karna.


Mazaq me bhi Jhuth na bole

Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate hai

“Main zamanat deta hoon Jannat ke darmiyan 1 Ghar ki, Uss Shakhs ko jo Mazaq me bhi jhoot na boley.”

The Prophet (ﷺ) said: I guarantee a house in the middle of Paradise for a man who avoids lying even if he were joking.

📕 Sunan Abi Dawud 4800 © www.ummat-e-nabi.com/home


Jhuthi tareef na kare

Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate hai:

“Apni Jhooti taarif pasand karna Sharike Haraam hai aur uss me aakhirat ki barbadi ka andesha hai.”

📕 Bukhari, Muslim © www.ummat-e-nabi.com/home


Jhuth bolne wale ke liye kharabi hai

“Uss Shakhs ke liye kharaabi hai jo baat karte huwe logo ko haasane ke liye jhoot bolta hai.”

📕 Mishkatul Masaabih © www.ummat-e-nabi.com/home

♥ In sha Allah-ul-Azeez !!!
Allah Rabbul Izzat hume har haal me jhoot se parhez karne ki toufiq ata farmaye.
Aur humesha sach bolne wala banaye !! Ameen, Allahumma Ameen.

Leave a Comment