Halala ka Nikah karne wale ka Gunaah
Halala karne wale par Allah ki Lanat
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Halala aise Nikah ko kehte hai jisme koi aadmi 3 Talaq waali aurat se sirf Talaq ki niyat se Nikah aur Sohbat karta hai taaki woh Aurat pehle Shohar ke liye halal ho jaye.
Yaani Galati Mard kare aur Saza Aurat bhugtey, ye kounsa deen hai ? agar aap tehkik karo tou Jaan jaoge ke ye Jahilo ki deyn hai. Halala Karna aur karwana kitna sangeen gunah hai aahdees ka mutala karte hai.
HADEES:
Ibn Abbas (R.A) kahte hai, Rasoole Akram (ﷺ) ne farmaya:
“Halala karne wala aur karaane wala dono mala’oo’n hai (Lanat ke Qabil) hai.”
Hadees: Utba bin Aamir (R.A) kehte hai,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: “Kya Mai tum logo ko bhaadey ka bakra na batlaau ?”
Sahaba ne arz kiya, ji haa ! Aye Allah ke Nabi jarur bataye!
Aap (ﷺ) ne farmaya:
“Wo Halala karne wala hai, Allah Ta’ala halala karne wale aur karane wale dono par laanat farmaye.”