Ilm ki Talash me rehne wale ki fazilat
Puraane Gunaaho ki Maghfirat
Hadees:
RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke –
“Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh Talash Uss Ke Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi”
📕 Miraatul Manahij, Jild 1, Safa 203
Wajahat: Taalib-e-Ilm se Sagira Gunaah Muaf hote jate hai, Jaise (Gunaah-e-Saghira) Wuzu Namaz Vagaira Ibadat se Lihaza Iska Matlab Yeh Nahi ke Talibe Ilm Jo Chahe Gunaah kare.
Balki Matlab yeh hai ki Allah Ta’ala Niyat-e-Khair se Ilm ki Talab karne walo ko Gunaaho se Bachney aur Gujasta Gunaahao ka Kaffara Ada Karne ki Toufiq deta hai. SubhanAllah