Rehmat ke Farihste dakhil nahi hote jaha Ghunghroo Ya Ghanti ho

Rehmat ke Farihste Dakhil nahi hote jaha Ghunghroo ya ghanti ho …

Hadees of the Day

Rehmat ke Farihste dakhil nahi hote
jaha Ghunghroo Ya Ghanti ho

Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Ghanti Shaitan ka Baaja hai.”

Ek aur riwayat me Biwi Hazrate Umme Salamah (R.A) riwayat karti hai ke:
Maine Rasool’Allah (ﷺ) ko ye farmate huye suna ki,
“Farishte (Rehmat ke) Un Gharon me nahi daakhil hote Jinme Ghunghroo ya Ghanti ho,
aur farishtey (Rehmat ke) Un Kaafilon ke saath nahi jaate jinme Ghanti ho”

📕 Sahih Muslim, Hadees 5548
📕 Sunan An-Nasayi , Hadees 5224

4.6/5 - (14 votes)
BaddGumani baddtareen Jhoot hai

BaddGumani Baddtareen Jhoot Hai

۞ Hadeese Nabwi (ﷺ)

BaddGumani Baddtareen Jhoot Hai

Allah ke Rasool (ﷺ) ka farmane haq hai ke,

“Acha Gumaan Acchi Ibadat se hai.”

📕 Abu Dawood, J-4, 4993

Read More

5/5 - (5 votes)
Haram lukme ki Nahusat Targhib 2484

Haraam lukme ki Nahusat

Hadees of the Day

Haraam lukme ki Nahusat

– TRANSLITERATION –

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Jab koi shakhs haraam luqma pet mein daalta hai, to Allah Ta’ala us ka koi amal chaalees din tak qubool nahi karta.”

📕 Targhib 2484

Read More

4.8/5 - (5 votes)
Hadees: Har Nasha Waali Cheez Haraam hai

Har Nasha Waali Cheez Haraam hai

Hadees of the Day

Har Nasha Waali Cheez Haraam hai

۞ Hadees: Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta’ala Tinatah-al-khabaal peelayega

Jabir (R.A.) se riwayat hai ke,

Jaishaan se ek Aadmi Aaya aur Jaishaan Ek Shahar (Town) hai Yeman me, Uss Aadmi ne RasoolAllah (ﷺ) se Uss Sharaab ke Baarey me Puchha ke Jo Unn Elaqon me Pee jati hai aur wo Sharaab jo Taiyaar hoti hai Uss Sharaab ko Mizr kaha jata tha.

Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “Wo Sharaab Nasha (Intoxicating) waali hai?”

Uss ne Arz Kiya, “Ji Haan!”

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

“Har Nasha Wali Cheez Haraam hai, Kyon ke Allah Ta’ala ka uss Aadmi ke liye Waada hai ke Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta’ala Tinatah-al-khabaal peelayega.”

Sahaba ne arz kiya: “Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Tinatah-al-Khabaal kya cheez hai ?

Read More

4.9/5 - (7 votes)
Halaal Aur Haraam Sahih Bukhari, Iman Ka Bayan, Hadees 52

Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain …

Hadees of the Day

Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain

Numan Bin Bashir (R.A) se riwayat hai ki,
Mai ne Rasool’Allah (ﷺ) se suna ki –

“Halaal aur Haraam Khula hua hai aur Inn Dono ke Darmiyan kuch Cheezein Shuba (Doubtful) waali hain Jinko bahut se Log nahi jantey.”

*Phir Jisney Apne Aapko Inn Shuba ki Cheezon se bacha liya Usney Apney Deen aur Izzat ko bacha liya.

Aur jo koi In Shuba ki Cheezon me parh gaya uski missal Uss Charwahey ki hai Jo kisi ki Charagah ke Aas-Paas apney Janwaron ko charaye aur Kareeb hai ki Uskey Jaanwar Usmein chale jaye,

*Sun Lo! har Baadshah ki Ek Charagah hoti hai, Allah ki Chaaragah Uski Zameen par Haraam Cheezain hain.

Sun Lo! Badan me Ek Ghosht ka tukda hai Jab Wo Durast Hoga tou Sara Badan Durast Hoga
Aur Agar wo Bigad haya tou Sara Badan bigad gaya aur Wo Tumhara Dil hai.”

📕 Sahih Bukhari, Iman Ka Bayan, Hadees: 52

3.4/5 - (10 votes)
Allah Taala ne tumpar Maa Ki Nafarmani Tum Par Haraam Ki - Sahih Bukhari; Hadees: 5975

Maa ki Nafarmani Tum Par Haraam ki

Hadees of the Day

Allah Taala ne Tumpar Maa ki Nafarmani Tum Par Haraam ki

Al-Mughira (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya –

“Allah Ta’ala ne tum par Maa ki Nafarmani Haraam Qarar di hai aur ( walidain ke haqooq ) na dena aur na-haq un se mutalibaat karna bhi haraam Qarar diya hai, aur Ladkiyon ko Zindah dafan karna ( bhi haraam qarar diya hai ) aur Kil wa qail ( fuzool bateen ) kasrat se sawal (Unnecessary Demand) aur maal ki barbadi ko bhi napasand kya hai.”

📕 Sahih Bukhari; Hadees: 5975

: WAJAHAT :

Yaani Allah Ta’ala ne Maa ki Nafrmani aur Betiyonko Zinda Dafnana bhi Haraam Karar kar diya,

– Aur Kisiko na dena Matlab Sadqa-Khairaat na karna aur beja Sawal (Mangna) karna bhi Haraam thehraya,

– Aur Fizul baate karna, Zaroorat se jyada mangna, Maal ko barbad karna Inn Saari baton ko bhi Haraam me Shumar kiya hai.

Ameen ! Allahumma Ameen

5/5 - (3 votes)
Hadees about Qarz lene ki Niyat

Qarz ki Adayegi se Muhh na phero

Hadees of the Day

Qarz ki Adayegi se Muhh na phero

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“Jo Logon ka Maal Qarz ke taur par ada karne ke Niyat se leta hai tou Allah Ta’ala bhi uski taraf se ada karega aur
Jo koi tabah(waste) karne ki (yaani na dene ki) Niyat se le tou Allah Ta’ala bhi usko tabah kar dega.”

📕 Sahih Bukhari: Hadees 2387

5/5 - (3 votes)

Taqwa aur iski Ahmiyat

♥ Bismillah Hirrahman Nirrahim ♥ “Inna Akramakum ‘IndAllahi Atqakum” “Beshaq Allah ke Nazdik ikram wala …

Read More