6 Baato ki Amaanat aur Jannat ki Zamanat Hadith

6 Baato ki Amanat aur Jannat ki Zamanat

Hadees of the Day

6 Baato ki Amanat aur Jannat ki Zamanat

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya –

“Tum Apni taraf se Mujhe Chhe (6) Baato ki Zamanat de do,
Mai Tumhe Jannat ki Zamanat deta hoon.”

(1). Jab Baat karo tou Sach Bolo.
(2). Jab Wadaa karo tou Poora Karo.
(3). Jab Tumhare Paas koi Amanat rakhe tou Uske Maangne par Wapas Do.
(4). Apni Sharmgaaho ki Hifaazat karo.
(5). Apni Aankho ko Niche rakho. (Gair Galat Cheeze dekhne se bacho)
(6). Apne Haatho ko (Zulm se) roke raho.

📕 Ibn Habban : 271
📕 Ahmad : 5/323
📕 Haakim : 4/358,359

4.7/5 - (44 votes)
Hadees : Agar tumhare paas 4 Cheezein ho tou

Agar tumhare paas 4 Cheezein ho tou

Hadees of the Day

Agar tumhare paas 4 Cheezein ho tou

Abdullah bin Amr (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

❝ Agar Tumhare paas 4 Cheezein ho tou duniya ki kisi cheez ke na hone ka afsos nahi hoga: 1) Amanat ki Hifazat, 2) Baat me Sachhai, 3) Achchi Aadate, 4) Pakeeza Rozi.

📕 Shoaib Ul Iman, 5258

4.7/5 - (12 votes)
Hadees Allah Ta’ala se Qareeb karne wale Aamal

Allah Ta’ala se Qareeb karne wale Aamal

Hadees of the Day

Allah Ta’ala se Qareeb karne wale Aamal

۞ Hadees: Hazrate Samrah (R.A.) ne farmaya,
Hum Darbaar-e-Nabuwat (ﷺ) me haazir they ke, Ek Shakhs haazir hua aur arz kiya
“Ya Rasool’Allah (ﷺ) ! Allah Ta’ala ke Qareeb tar Aamal kya hain?

Aap (ﷺ) ne farmaya “Sach Bolna aur Amanat ka Aada karna.”

Arz kiya gaya “Huzoor (ﷺ) Kuch aur Irshad farmaiye! ”

Aap (ﷺ) ne farmaya :
“Tahajjud ki Namaz aur Garmiyon ke Roze.”

Phir Maine arz kiya “Huzoor (ﷺ) Kuch aur Irshad farmaiye!”

Aap (ﷺ) ne farmaya:
“Zikr-e-Elahi ki Qasrat karna aur Mujh par Durood-e-Paak Padhna tangdasti ko door karta hai.”

Mai ne arz kiya “Kuch aur Irshaad farmaiye.”

Aap (ﷺ) ne farmaya
“Jo kisi Qoam ka Imaam baney tou Halki Namaz parhaye, Kyun ki Muqtadion me Burhay(Oldage) bhi hotey hai, Bimaar bhi, Bacche bhi aur Kaam kaaj wale bhi.”

📕 Al-Qawl Al-Bade’e, Pg 129
📕 Sa’adat Al-Daarain, Pg-714

4.6/5 - (14 votes)