Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Misaal ,…

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraiah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Meri Misaal Uss Shakhs Ki Tarah Hai Jisne Aag Jalayee
Jab Uskey Ird Gird (Charo Aur) Roshni Huyee
Tou Usme Keede Aur Ye Jaanwar Jo Aag Me Hai Girne Lage
Aur Wo Shakhs Usko Rokne Laga Lekin Wo Na Ruke Aur Usme Girne Lage
Ye Missal Hai Meri Aur Tumhari,
Mai Tumhari Kamar Pakad-Pakad Kar Jahannam Se Rokta Hu
Aur Kahta Hu Jahannam Ke Paas Se Chale Jao
Aur Tum Nahi Mante Usi Me Jaate_Jatey Ho”.
(Sahi Muslim, Vol 6, Hadith no. 5957)

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: