Allah Ki Raah Me Kharch Karne ki Misaal

Allah Ki Raah Me Kharch Karne ki Misaal

Aaj ki Aayat | Verse of the Day

Allah Ki Raah Me Kharch Karne ki Misaal

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Unki Misaal Jo Apne Maal Allah ki Raah me Kharch karte hai Uss Dane ki tarah hai Jisko 7 Baali nikley Aur Unn har Baaliyon me se Sou-Sou Daane nikle Aur Allah Uss se bhi Zyada Barhaaye jiske liye chahe aur Allah Wus’at Wala Ilm Wala hai.”

📕 Sureh Baqrah 02:261

» Wajahat: *Allah ki Raah me Kharch Karnewale ke Talluk se Iss Ayat me Allah Ta’ala Ek Misaal ke Tehat Farmata hai –
“Ke Koi Shakhs Ek Dana(Beej) Zameen Me Boye aur Uss Daane se 7 Baliya Nikal aayi aur Har Baaliyon me 100-100 Daane hai.

Matlab Agar Isey 7 Se Multiple karey Tou 700 Gunaa Azr Yaa Uss se bhi Jayada Uss Beej Bone Wale (Yaani Allah Ki Raah Me Kharch Karnewale) ko milta hai … ” (Subhan’Allah!!!)

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!! Allah Rabbul Izzat Hume kehne Sun’ne se Jyada Amal Ki Taufeeq dey. Ameen

5/5 - (2 votes)
Duniya ki Misaal Aakhirat ke Muqable me

Duniya ki Misaal Aakhirat ke Muqable me

Hadees of the Day

Duniya ki Misaal Aakhirat ke Muqable me

Mustawrid (R.A) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya :

“Duniya ki Misaal Aakhirat ke Muqable me Aisee hai Jaisey Tum me se koi Apni Ungli Samandar me Daley Phir Dekhey ki Kitna Paani Uski Ungli me Lagta hai.”

📕 Sunan Ibn Majah, Vol-3, 989-Sahih

5/5 - (11 votes)

Afwah ki Hakikat aur uske Nuksanat (Funny but Ilmi)

Aajkal muashre me log choti choti baato ki badi se badi afwaye failate hai aur sochtey tak nahi ke iska asar kaha tak ho sakta hai.. April fool ke naam se jhooth ko farow diya jata hai jab ke hum bhool jate hai ke jhooth ek kabira gunaah hai..
*beharhaal Afwah ke nataiz kitne sangeen hote hai isey jan’ne ke liye is mukhtsar si speech ka muta’ala kare , aur jyada se jyada share kar apne muashre ki islah me humara tawoon kare..
– JazakAllahu khairan kaseera !

Rate this post

Kya Humare Badey Galat They ?

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) Ne Farmaya – Man Alaqtan Tammimatan Faqad Ashrak” Jisne “Taweez” Latkai …

Read More