Biddat Ki Haqeeqat: Part-3

# Sahaba Ne Biddatiyo Se Kya Sulooq Kiya ?
Aayiye Abdulah Bin Masud (RaziAllahu Anhu) Ka Ek Wakiya Hai Uspe Gour Karte Hai ,…
Aap Kufa Me They ,.. Aur Ek Shakhs Daudta Hua Aaya Aur Kehne Laga – “Aye Abdullah ! Ek Ajeeb Cheez Maine Dekhi ,.. Log Fazar Ke Baad Masjid Me Jama Ho Rahe Hai ,.. Aur Halke (Groups) Bana Rahe Hai ,…
Aur Ek Shakhs Usme Kehta Hai Subhan’Allah! Aur Sab Kehte Hai Subhan’Allah!!!
Fir Ek Giroh Kehta Hai Alahmdulillah ! Aur Sab Chillatey Hai Alahmdulillah !!!
Isi Tarha Wo Tasbihaat Padh Rahe Hai !!!”

Ye Cheez Rasool’Allah ﷺ Ke Zamane Me Tou Humne Nahi Paayi Aur Wo Log Kar Rahe Hai ,..
Abdullah Bin Masud Ne Uska Girebaan Pakda Aur Kaha – “Tuney Unhe Roka Kyu Nahi ?”
Usney Kaha Ke – “Wo Log Bohot Jyada They! Tum Chalo, Tum Sahabi-e-Rasool Ho, Tum Kuch Kaho Unhe,..”

*Abdullah Bin Masud Aaye Aur Tamam Ko Masjid Se Hakaal Diya Aur Kaha Ke – “Tum Wo Amal Karte Ho Jo Rasool’Allah ﷺ Ke Daur Me Humne Na Kiya Aur Rasool’Allah Ne Hume Na Bataya ,…”
Aur Rasool’Allah Ke Daur Me Aisa Humne Nahi Kiya Kabhi ,.. Ya Rasool’Allah ﷺ Ne Humko Ijajat Nahi Di Ke Halke Aur Giroh Banakar Tasbeehat Padha Karo ,…
Ha! Jitni Tasbihat Padhna Hai Apni Padho Alag Alag,… Lekin Rasool’Allah Ke Daur Me Halke Banakar Jamat Se Kaam Humne Nahi Kiya Kabhi,…

Tou Tum Rasool’Allah ﷺ Ke Jaane Ka Baad Humari Zindagi Me Ye Amal Karte Ho … Ye Keh Kar Masjid Se Tamam Ko Hakaal Diya .. [Ref: – Related by Ad-Daremie (204) and Abu Na`eim with an authentic chain. Authenticated by Al-Haithamee (Al-Majma, 1/181, 189), Al-Haitamee (Az-Zawaajir, Al-Kabeerah #51 ), Al-Albaanee (As-Saheehah, 2005; Ar-Radd alal-Habashee, p.45-47), Abdul-Muhsin Al-Abbaad (Al-Hathth alat-tibaa-is-Sunnah, p.49), Bakr Aboo Zaid (Tas-heeh-ud-Duaa’, p.149, 153, 154), Husayn Asad (Musnad-ud-Daarimee, 210), Amr Saleem (Al-Bida libn Waddaah, 27), Al-Hilaalee (Al-Bidah, p.44-47), Al-Halabee (Ihkaam-ul-Mabaanee, p.55-58), Al-Huwainee (Al-Bidah wa Aathaaruhaa (1), 03:45), Mashhoor Salmaan (Al-Amr bil-Ittibaa, p.83-84), Zakariyyaa Al-Baakistaanee (Taudeeh-ul-Usool ) and others.]

Tou Sahaba Jara Si Bhi Aisi Cheez Ko Bardasht Nahi Karte Jo Deen Me Nayi Hoti Aur Rasool’Allah Se Sabit Na Hoti,…
Fir Goya Wo Subhan’Allah Hi Kyu Na Padh Rahe They ,.. Goya Alahmdulillah Hi Kyu Na Padh Rahe They ,..
Lekin Tareeka Rasool’Allah Ka Ikhteyar Nahi Kiya ,… Tou Fir Wo Amal Durust Nahi ,… – @[156344474474186:]
= = = = = = = = =

# Biddat Kar Liye Tou Kya Hua ?
Ab Jo Biddat Karte Hai, Unka Ek Ajeeb Mu’amla Hota Hai Ke – “Kar Liye Tou Kya Hua?”
Aayiye Hum Batane Ki Koshish Karte Hai Ke Kya Hua ?

*Azan Ke Aakhri Alfaz Kya Hai ?
“La Ilaha Ilallah” Yahi Aakhri Alfaz Hai Na Azan Ke…
Lekin Kal Hum Aapke Mohalley Ke Masjid Me Aakar Azan Detey Hai .. Aur “La-Ilaha Illah Mohammadur Rasool’Allah” Par Azan Puri Karte Hai ,.. Aap Aa Kar Humey Kya Karoge Aur Kyu Karoge ?

*Kya Galat Kiya Humne? Kalme Ko Mukammil Hi Kiya Jo Nahi Karte They Azan Me… Koi Galati Hai Iske Andar ?
*Aap Kahoge Ke – Rasool’Allah ﷺ Ke Zamane Me Aesi Azan Nahi Di Gayi ,.. Lihaja Ye Biddat Hai Aur Masjid Se Hume Hakaal Diya Jayega ,..

Mera Yahi Sawal Hai – “Yahi Hua,… “
Tumne Wo Amal Kiya! Shareeyat Pe Ilzam Lagaya Ke – “Ye Amal, Iski Neki, Iska Sawab Rasool’Allah ﷺ Ko Na Maloom Hua, Na Sahaba Ko Maloom Hua Lekin Humko Aur Aapko Maloom Ho Gaya..” Maz’Allah !!!

*Lihaja Allah Ke Liye Deen Ke Mu’amlo Me Hume Aise Amal Se Bachna Chahiye Jo Na Shareeyat Se Sabit Hai Aur Naa Hi Sahaba Ki Zindagi Me Kabhi Paya Gaya Ho ,…
= = = = = = = = =

# Biddato Ke Aqsaam ?
Ab Biddat Karne Walo Ne Badey Acche Tareeke Ikhteyar Kiye,.. Aur Deen Me Biddat Ke Aksam Bana Diye ,..
Ke Biddat 2 Kismo Ki Hoti Hai … Ek “Biddate Hasna” Aur Dusuri “Biddate Sayya” ,.
1) Biddate Hasna – Yaani Achi Biddat ,.. Aur
2) Biddate Sayya – Yaani Buri Biddat ,.. (Subhan’Allah!!)

*Sawaal Tou Ye Hai Ke Rasool’Allah ﷺ Ne Tou Apne Kayi Khutbey Me Yahi Farmaya Ke – “Kullu Biddatun Zalala” Yaani Deen Me Tamam Ki Tamam Biddate Gumrahi Hai ,..
Tou Batayiye Hume Ke – “Kaha-Kaha Biddate Hasna Gumraahi Nahi Hai ? ..”
Kullu Me Sab Aa Gaya ,.. Mukammil Taur Se Deen me Biddate Gumraahi Hai,..

Ab Jo Log Fark Karte Hai Biddate Sayya Aur Biddate Hasna! Unki Misaal Aisi Hai – Jaise Ki Koi Kahe – “Kadwa Karela Aur Mitha Karela,..”

Subhan’Allah!! ,… Karela Keh Diya Tou Samajh Jayiye Ke Kadwa Hi Hoga,.. Mitha Nahi Ho Sakta ,..
Biddat-Biddat Hoti Hai Mere Bhaiyo Aur Behno! Isko Hasna Aur Sayya Kehkar Apne Aamal Ko Gaarat Na Karey ,…

♥ Mafhoom-e-Hadees: Maayi Ayesha (Razi’Allahu Anha) Riwayat Karti Hai Ki – Rasool’Allah ﷺ Ne Farmaya –
Jisne Koi Aisa Amal Kiya Iss Deen Me Jo Humne Na Kiya Ho Wo Radd Kiya Jayega,.. Wo Mardud Hai.”
– (Sahih Muslim)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Isi Tarha Maayi Aayesha (Razi’Allahu Anha) Aagey Farmati Hai –
Jisne Humare Iss Deen Me Koi Nayi Cheez Ijad Ki Jo Humne Na Ki Thi ,.. Wo Mardud Hai, Wo Dhutkar Diya Jayega”
– (Sahi Muslim)

Insha’Allah! Agley Part me Biddat Ke Talluk Se Rasool’Allah ﷺ Ki Aakhri Wasiyat Ka Zikr Karenge ,..

To Be Continue …

☼ Biddat Ki Haqeeqat All Parts:

1 2 3 4 5 6

Leave a Reply