Biddat Ki Haqeeqat: Part-4

# Rasool’Allah(ﷺ) Ki Aakhri Wasiyat
♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah(ﷺ) Ne Ek Roz Khutba Diya ,…
EK Sahabi-e-Rasool Arbaz Bin Sariyaah (RaziAllahu Anhu) Uthey Aur Kahne Lage Ke –
“Ya Rasool’Allah!(ﷺ) ! Mujhe Darr Hai, Mujhe Aisa Gumaan Hai Ke Kahi Ye Aapka Aakhri Khutba Tou Nahi ?
Lihaja Kuch Nasihat Aur Wasiyat Kar Jayiye Hume,.. (Goya Iss Khutbe Ki Baat Ek Wasiyat Hai Nabi Ki Taraf Se Apni Ummat Ko,.. Agar Isko Samajh Gaye Tou Hum Kamiyabi Ho Gaye..)

*Tou Rasool’Allah(ﷺ) Ne Farmaya Aur Kaha:
**Fa-Inna Khairal Hadeesi Kitabullahi ! *(Sabse Behtareen Baat! Allah Ke Kitaab Ki Baat Hai ,..)
**Wa Khairal Hadyi-Hadyu Muhammadin(ﷺ) ! *(Sabse Behtareen Tareeka ! Tareeka-e-Mohammad(ﷺ) Ka Hai ,…)
**Wa-Shar-Ral Umoori Muh-Dasaa-Tuha ! *(Sabse Badtareen Kaam “Deen Me Ijad Karda Cheeze Hai”!!!!)
**Wa-Kul-La-Muh-Da-Satin Bidah ! *(Aur Har Ijad Karda Cheez Biddat Hai ,.. )
**Wa-Kul-Lu Bid-Atun Zalala ! *(Aur Har Biddat Gumrahi Hai ,…)
**Wa-Kul-Lu Zala-La-Tin Fin-Naar *(Aur Har Gumrahi Ka Thikana Jahannum Ki Aag Hai ,..)
– (Abu Dawood, Tirmizi)
– (Sunan Ibn Majah, Vol-1, Hadees-43)
– (Bukhari: 3197, Muslim: 4822, Ahmad: 11372)
– (Tirmidhi: 2565, Hakim Mustadrak, 1:218) – @[156344474474186:]

Ye Khutba Rasool’Allah(ﷺ) Ne Diya Aur Fir Aage Farmaya ,.. (Abu Dawood Ki Riwayat Me Alfaz Jyada Hai )
Aagey Aap(ﷺ) Ne Farmaya:
**Tarakhtu-Feekun-Amrain *(Mai Tum’me 2 Hukm Chorey Ja Raha Hu ,… )
**Lanta-jillu-Ma-Tamassak-Tumbi-hima *(Tum Hargiz Gumraah Na Honge Jab Tak Inhe Thamey Rahoge)
**Kitabullahi-Wa-Sunnatihi *(Allah Ki Kitab Aur Meri Sunnat)

Ye Rasool’Allah(ﷺ) Ki Wasiyat Thi Aapki Ummat Ke Liye,..

Uss Sahabi Ka Darr Yahi Tha Ke Aapke Jaaney Ke Baad Wahi Ka Silsila Band Ho Jayega !
Fir Koun Hume Batayega Ke Sahi Kya Hai Aur Galat Kya ,..
Tou Keh Diya Rasool’Allah(ﷺ) Ne – “Ke Mai Tum Me 2 Hukm Chorey Ja Raha Hu Aur Wo Hai Allah Ki Kitab Aur Uske Rasool Ki Sunnat ,.. Bus Tum Jabtak Inhe Thamey Rahoge Tabtak Thokar Na Khaoge ,..”

Iske Aagey Bhi Aap(ﷺ) Ne Farmaya Aur Kaha –
**“Wa Sunnati Khulfaye Rashideen Wa Mehdiyeen” *(Yaani Khulafaye Rasheedeen Aur Mehdiyeen Ki Sunnat Par Jab Tak Rahoge Tab Tak Tum Gumraah Nahi Honge,..)

Tou Rasool’Allah(ﷺ) Ne Ummat Ko Jo Aakhri Wasiyat Aur Nasihat Ki Wo Biddat Ke Talluk Se Ki,..
Ke – “Biddat Mat Karna Mere Iss Deen Me,…”

To Be Continue …

☼ Biddat Ki Haqeeqat All Parts:

1 2 3 4 5 6

Leave a Reply