Iman Walo Ko Zulm Ka Khauf Na Hoga .... !!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! ♥ Al-Quraan: "Aur Hamne(Kuch Jinn Ne) Hidayat (Ki Kitab) Suni Tou Unn Par Imaan Laaye Tou Jo Shakhs Apne Parwardigar Par Imaan Layega Tou Usko Na Nuqsan Ka Khauf Hai Aur Na Zulm Ka". - (Surah Jinn: Ayat-13) ♥ Al-Quran: "Aur Allah Ki Rehmat Se Na-Umeed Mat Ho, Beshak Allah Ki Rehmat Se Wohi Log Na-Umeed Hote Hai Jo Kafir Hain." - (Sureh Yusuf: Ayat-87)
Allah Sota Nahi Hai Aur ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Musa (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hum Me Khade Hokar 5 Baatein Irshaad Farmayee, »(1). Allah Sota Nahi Hai Sur Sona(Sleeping) Uski Shaan Nahi Hai, »(2). Allah Tarazu Ko Jhukate Hain Aur Upar Uthatey Hain (Yani Kisi Ka Rizq Ziyada Kisi Ka Kam Kar Deta Hain), »(3). Din Ke Aamal, Raat Ke Aamal Karne Se Pahle Unki(Allah Ki) Baargah Me Pesh Kiye Jate Hain, »(4). Raat Ke Aamal Din Ke Aamal Karne Se Pahle Pesh Kiye Jate Hain, »(5). Uska Hijab Noor Hai Agar Usey Hata De Tou Uskey Chehre Ki…
Quran Hujjat Hai Tumhare Haq Me Ya Tumhare Khilaf ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Malik Ashari (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Puri Tarah Wuzu Karna Emaan Ka Hissa Hai Aur Alhamdulillah Kahne Se Meezan (Nama-e-Amaal Ka Tarazu) Bhar Jata Hai, Tasbeeh (SubhanAllah) Aur Takbir (AllahuAkbar) Se Zameen Aur Aasman Bhar Jate Hain, Namaz Noor Hai Aur Zakaat Daleel Hai, Sabr Roshni Hai Aur Quran Hujjat Hai Tumhare Haq Me Ya Tumhare Khilaf.." - (Sunan Ibn Majah, Vol 1, 280-Sahih) *Quraan Hujjat Hai Se Muraad Roze Qayamat Quran Gawahi Dega Us Shakhs Ke Haq me Jisne Isey padha, Is Se Hidayat Hasil Ki aur…
Kaafir ya Mushrik, Mard/Aurat se Nikah karna kaisa hai ? Allah Raabul Izzat Qurane Kareem me Farmata hai: "Aur tum Shirk karne wali aurton se us waqt tak Nikah na karo jab tak ke wo eemaan na laaye, Eemaan wali laundi(Slave) bhi shirk karne wali azaad aurat se behtar hai, chahe wo tumhe achi hi lagti ho, aur Shirk karne wale mardon ke Nikah me apni aurton ko na do jab tak ke wo eemaan na laye, eemaan wala gulaam, azaad Mushrik se behtar hai, chahe tumhe mushrik hi acha lage, yeh Jahannam ki taraf bulate hai aur Allah Rabbul Aalameen Jannat ki taraf, aur apni bakshish ki taraf apne…
Khaliq ki Nafarmaani me Makhlooq ki Ita'at Nahi ✦ Hadith: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai - ❝ Khaliq ki Masiyat (Nafarmaani) me Makhlooq ki Ita'at nahi hoti.❞ - (Sharh-Us-Sunnah, Hadith No. 1455) ✦ Aaj kitni martba aisa hota hai ke logon ka Dil na tutey isliye hum unki Gairsharayi rusumat me shirkat karte hai, Gairmaboodo ki parastish se bhi Ahtiyaat nahi karte, Kitabo Sunnat ke barkhilaf Apne Aaba-o-Azdaad ke tareeko par chaltey hai. Allah Reham Karey ! Jabki ye hadees wajeh taur se Humari rehnumayi karti hai ke Allah ki Narazgi me Hum kisi ki bhi Ita'at nahi kar saktey aur agar aisa humne kiya tou fir iska…
Takabbur aur Dikhawe Wale Aamal se Bacha karo ۞ Hadees: Abu Darda (RaziAllahu Anhu) se marwi hain, Unohne Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Arz kiya "Mujhe Wasiyat Farmayiye"! *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya : "Pakeeza Hunar Ikhtiyar kar, Nek Amal kar, Allah Ta'ala se Har Din ki Rozi Talab Karta Reh aur Apne Aapko Murdon me Shumaar kar! aur Har Insan ke liye Zaruri Hain ki Wo Apne Nek Aamaal par naa itrayen, Kyonki Yeh Aamaal ke Liye Ek Azeem Halaqat Hain! Aisa Aadmi Amal Karke Allah Ta'ala Par Ehsan Dharta Hain, Halaanki Usey Yeh Ilm Nahi Hota Ki Uska Amal Maqbool Hua Ya Nahi! Aise Gunaah…
Allah Ta'ala Ki Masjidein Wohi Aabad Kartey Hain Jo .... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Allah Ta'ala Ki Masjidein Wohi Aabad Karte Hai Jo Allah Ta'ala Par Aur Aakhirat Par Emaan Laatey Hain Aur Namaz Parhtey Aur Zakaat Detey Hain Aur Allah Ta'ala Ke Siwa Kisi Se Nahi Dartey, So Wo Log Ummedwaar Hain Ki Hidayat Walon Me Se Ho". - (Al Quran, Surah At-Taubah (9) Ayat 18)
Koi Kisi Ka Mazaq Na Udaaye .... ♥ Al-Quran: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! *Momin Sub Aapas Me Bhai-Bhai Hai Tou Apne Do Bhaion Me Sulah Kara Diya Karo, *Aur Allah Se Darte Raho Ta'ake Tum Par Bhi Reham Kiya Jaye , *Aye EmaanWaalo ! Koi Qaum Kisi Qaum Ka Mazaaq Na Udaaye, - Mumkin Hai Ke (Jinka Mazaaq Udaya Ja Raha Ho) Woh Unse Behtar Hai, *Aur Na Hi Auraten Aurton Ka Mazaaq Udaaye - Mumkin Hai Ki (Jinka Mazak Udaya Ja Raha Ho) Woh Unse Behtar Hi Hon. *Aur Na Ek-Dusre Ko Taana Do, Aur Na Ek-Dusre Ko Burey Laqab Se Pukaaro, *Emaan Laane Ke Baad Bura Naam…
Akhirat Ki Kamiyabi - Iman aur Nek Amal Allah rabbul izzat Qurane Kareem me farmata hai "Zamane Ki Qasam ! Insan Dar-Haqikat Ghate Me Hai, Siway Unn Logon Ke Jo Imaan Laye Aur Nek Aamal Karte Rahe Aur Ek Dusre Ko Haq Ki Naseehat Aur Sabr Ki Talkin Karte Rahe." – (Surah Asr: Ayat 1-3) is Surah me Allah Ta'ala apne bando ko jis baat par Nasihat kar raha hai wo ye ke Imaan aur Nek Amal dono hi aham hai un logo ke liye Jo Kamiyabi Chahte hai Aakhirat ke Aitbar se,. tou aayiye is post me Iman aur Amale Swalehat Ka Zikr Karte hai. # Iman…
Deen-e-Tawheed Ki Wasiyat Ambiya (Alahi Salam) Ki Sunnat ... !!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! Ambiya (Alahi Salato Salam) Ke Bheje Jaane Ka Maksad Allah Ka Paigaam Uske Bando Tak Pohochana Hota hai,.. Aur Allah Rabbul Izzat Ne Roo-e-Zameen Par Kamosbesh 1 Lakh 24 Hazar Nabi aur Rasool Maboos Kiye Taaki Apne Hukm Ko Deen-e-Tawheed Ka Paigaam Apne Bando Tak Pohchaya Jaye,.. *Aur Tamam Tar Ambiyao ne Ta-Waqte-Hayat Apni Zimmedariya Bakhubi Nibhayi ,.. Hatta Ke Haalat-e-Wafat Ke Kareeb Hai Fir Bhi Apni Naslo Ko Deen-e-Tawheed Ki Wasiyat Farma Rahe Hai .. Aisa hi Ek Wakya Rabbul Izzat Ne Quran Me Bayan Kiya Aur Farmaya - ♥ Al-Quran: (Aye Yahood!!) Kya Tum Uss…
Sabse Badh Kar Naaqis/Burey Amaal Kin Logo ke Hain ? ♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me farmata hai - "(Aye Nabi ﷺ)! Aap Logon se Farma Dijiye ke, Kya Hum Tumhe Bataa De Ki Sabse Badh Kar Naaqis/Burey Amaal Kin Logo Ke Hain, Unke Jinki Saari Koshish Duniya Ki Zindagi Me Gum Ho Gayi, Aur Wo Iss Khayal Me Hain Ki Hum Achcha Kaam Kar Rahe Hain." - (Al-Quran; Surah Kahf 18:103-104) ♥ बिस्मिल्लाह अर्रहमान निर्रहीम ♥ अल्लाह रब्बुल इज्ज़त कुराने करीम में फरमाता है: " (ऐ नबी ﷺ)! आप लोगों से फरमा दिजिये के, क्या हम तुम्हे बता ना दे की सबसे बढ़कर नाकिस/बुरे आमाल किन लोगों…
Quran Jadeed Science aur Muslim Scientist by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=OKcWeJCXrZI Quran Jadeed Science aur Muslim Scientist The Quran and Modern Science, quranic verses on science, quran and science discoveries, science in the quran, Big Bang in Quran, quranic verses about creation of universe, Quran on the creation of the universe, Biology of the Holy Quran, Life of plant in Quran, human creation in quran, embryology in quran, physiology in quran, oceanology in quran, Quran about oceanology Quran aur jadeed science, quran jadeed science aur muslim scientist, quran and modern science, muslim scientist, discoveries and inventions by muslim scientist, 1001 inventions muslim heritage in our world, Science In The Medieval…
Shirk se Jo bacch gaya uske liye Aman aur Salamati hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ “Jo Log imaan laye aur apne imaan ko Zulm se mahfuz kiya unke liye Aman hai aur wahi hidayat paney wale log hain." 📕 Quran: Surah Al-An’am 6:82 Tafseer: Iss aayat ke Sabab Hazrate Abdullah bin Mas'ud (RaziAllahu Anhu) ne farmaya ke: 'Jab yeh Aayat [Surah Al-An'am 6:82] naazil hui tou hum log pareshan ho gaye ke, "Koun hai jisney apne par Zulm nahi kiya hoga?." Tou hum log RasoolAllah (ﷺ) ke paas gaye aur kaha ke: "Koun hai jisney Zulm nahi kiya hai!" Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: "Jo tum log Zulm samajh rahe ho…
Aksar logo ka Bahana | Aksar log Humari Aayato se Gaafil hai… Aksar logo ka Bahana "Arey Bhasahab! hum Maantey hai ke Mazarparsti (Qabrparsti) ki Talim Islam me nahi milti! lekin aaj Aksar Log kayi zamane se karte aa rahe hai tou kya wo galat ho sakte hai ? .." Masha'Allah ! Isi Tarha ke Jawabat Hume Logon se Miltey hai jab unse pucha jata hai ke falah-falah amal jo Qurano Sunnat se sabit nahi jisey aap Deen samjh ke karte ho tou "Aksar Logo ka Bahana" batakar humare kayi hazrat apne aap ko sahih Sabit karne ki koshish karte hai. Allah reham kare. Tou Aayiye inhi Aksar logo ke Aqeede ka…