Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou… Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal pado "Aye Imaan walo! Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal paro aur khareed-o-farokht chorh do, Yeh tumhare liye behtar hai agar tum jano. phir jab Namaz puri ho jaye tou zameen me fayl jao aur Allah ka fazal (rozi) talash karo aur Allah ko kasrat se yaad karo, taaki tum kamyabi pao." 📕 Surah Al-Jumu'ah 9-10…
Al-Quran: Jis Shakhs ne Dunia me Jarra barabar bhi… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Insan Apni Har acchayi aur Burayi Qayamat me dekh lega Allah Taala Quraan me farmata hai: "Jis Shakhs ne (Duniya) me Jarra barabar bhi koi burayi ki hogi tou wah usey aakhirat me dekh lega." 📕 Surah Az-Zalzalah 99:08
Jab Shaam ka Andhera hone lagey tou Jab Shaam ka Andhera hone lagey tou Allah ke rasool (ﷺ) farmatey hai - "Jab Shaam ka andhera (magrib) hone lagey tou apne baccho ko ghar me rokey rakhoKyunki uss waqt jinn aur shayateen fail jatey hai." 📕 Bukhari, Hadees 3316,📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 2604
Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta… Shaitan Aadmi me khoon ki tarha gardish karta rehta hai Hadees: Jabir (R.A) se riwayat hai ke,Allah Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Aisi Auratoun ke paas naa jao jin ke Mahram unke saath naa ho kyun ke Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta rehta hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi, Hadees 1172
Samundar ka paani paak hai aur usme Mar jaane wale… Samundar ka Paani aur Wuzu Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki ek shakhs ne RasoolAllah (ﷺ) se puchha ki: "Hum log Samundari safar karte hain aur apne saath thoda bahut paani le jaate hain. agar hum us paani se wuzu kar le tou pyaase reh jayenge, tou kya hum samundari paani se wuzu kar kiya karein ? Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Samundar ka paani Paak karne wala hai aur usme mar jaane waale jaanwar halaal hain.” - Sunan an-Nasa'i 59- Sahih (Darussalam)
Buzurgo ke tazeem ki Fazilat : Jo jawaan Aadmi kisi… ۞ Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Jo Jawaan Aadmi kisi Budhe(Buzurg) ki Tazeem iss ke Budhape ki bina per karega tou Allah Ta'ala iss ke Budhaape ke waqt kuch aise logo ko tayyar farma dega, jo budhape me iss ka Aa’ziz wa Akraam karenge." 📚 Mishkaat Jild 2, Safa 1423 Sah Al’mutabeh
Museebat mein pareshaan aadmi ko tasalli dene ka sawab Museebat mein pareshaan aadmi ko tasalli dene ka sawab ❖ Hadees: Abdullah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Jo shakhs museebat mein pareshaan aadmi ko tasalli deta hai toh usko bhi pareshaan aadmi ki tarah sawaab milta hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi, Hadees 1073
Koi Momin Shohar apni Biwi se Nafrat Na kare Koi Momin Shohar apni Biwi se Nafrat Na kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Koi momin Shohar apni kisi Momina Biwi se Nafrat na kare. Agar Usey Biwi ki Ek Baat Napasand hogi tou Dusri Zaroor Pasand Aayegi." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 3645
Jab Gussa aaye tou kya kare? Gusse ka Ilaj Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Tum me se kisi ko Gussa aaye to usey chahiye khamoshi ikhtiyar kare." 📕 Musnade Ahmed, Hadees: 2136
Sabse Bura Aadmi Wo hai Jiski Badzubani ki wajah se ... Jiski Badzubani ki wajah se Log Us se Milna Chhor de RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke: "Logo me Sabse Bura Aadmi Wo hai Jiski Badzubani ki wajah se Log Us se Milna Chhor de." 📕 Bukhari: Hadees 6054
Hadith: Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us… Hadith: 8-April: Abu Masood Ansari (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us shakhs ko bhi amal karne wale ki tarah sawab milega. -Abu Dawood 5129
Aadmi ne Pait se jyada Bura koi Bartan nahi bhara Hadees: Mikdam Ibn Madikarab (R.A) se riwayat hai ki, Maine RasoolAllah (ﷺ) ko yeh farmate huye suna ki - "Aadmi (Insan) ne Pait se Jyada Buraa koi Bartan nahi bhara. Ibne Aadam ko Chand Luqme Kaafi hai Jo Uski Peeth Ko Sidha Rakhe Agar Jyada Khana Zaruri ho tou Tihaai Pait Khane ke liye, Tihaai Paani Ke Liye aur Tihaai Saans Ke Liye.." 📕 Tirmizi, Hadees 2380
Hadees: Kisi Nabeena ya Kamzor Nigaah wale ko rasta… Hadith: 22-June: Abu Zar (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Kisi (Nabeena ya) Kamzor Nigaah wale ko rasta dikhana Sadqa (Sawaab ka kaam) hai. 📕 Jami` at-Tirmidhi 1956
Aadmi ke Buraa hone ke liye yehi kaafi hai ke Kisi Musalman ko Haqeer Samjhne ka Gunaah Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai – "Kisi Aadmi ke Bura hone ke liye yehi Kafi hai ke Wo Apne Muslim Bhai ko Haqeer samjhe. Har Muslim ki Jaan, Maal aur Izzat Tamaam Muslims par Haraam hain." 📕 Sahih Muslim, Hadees : 2564
Jab Mera Banda Neki ka Iraada kare tou Aye Farishto!… Neki ka Sawaab 10 se lekar 700 Guna Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai ke -Allah Ta’ala farmata hai aur Iska Farmaan-e-Haq hai ke, "Jab Mera Banda Neki ka Iraada kare tou (Aye Farishto)! Iski 1 Neki likho. Phir agar Woh ker Chuke tou Iski 10 Nekiyan Likh lo, Agar Woh Burayi ka Iraada kare tou Kuch na likho, Agar Kar Chuke Tou 1 Hee Burayi Likho, Aur agar Na kare tou Iske Liye bhi 1 Neki Likho" 📕…