Search Results for “nikah” – Ummate Nabi ﷺ Hinglish https://ummat-e-nabi.com Quran Hadees ki Baatein Tue, 25 Mar 2025 17:02:18 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.8.1 https://ummat-e-nabi.com/wp-content/uploads/2025/04/cropped-favicon-32x32.png Search Results for “nikah” – Ummate Nabi ﷺ Hinglish https://ummat-e-nabi.com 32 32 179279570 Musibat me Khair ki Dua [Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon] https://ummat-e-nabi.com/musibat-me-khair-ki-dua/ https://ummat-e-nabi.com/musibat-me-khair-ki-dua/#respond Sat, 25 Jan 2025 17:01:57 +0000 https://ummat-e-nabi.com/musibat-me-khair-ki-dua/ Hadees: Umme Salma bint Abu Umayya (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya, “Agar koyi musalman jisko koyi museebat pahuche aur wo ye kahe jiska Allah subhanahu ne usko hukm farmaya:“Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon, Allahumma Ajurni fee Musibati Wa Akhlifli Khairam Minha” Tarjuma: Beshak hum Allah ke hain aur Usee ki taraf... [Read More]]]>

Hadees: Umme Salma bint Abu Umayya (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya, “Agar koyi musalman jisko koyi museebat pahuche aur wo ye kahe jiska Allah subhanahu ne usko hukm farmaya:
“Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon, Allahumma Ajurni fee Musibati Wa Akhlifli Khairam Minha”

Tarjuma: Beshak hum Allah ke hain aur Usee ki taraf laut kar jane wale hain , Aye Allah mujhe meri museebat par ajar de aur mujhe is se behtar naimat ata farma tou Allah subhanahu usko behtar naimat ata farma dega.

*Umme Salma (R.A) farmati hain ki jab (unke shohar) Abu Salma (R.A) ki wafat ho gayee tou maine (dil me) socha ki kaunsa Musalman Abu Salma (R.A) se behtar ho sakta hai?

wo pahla gharana hai jisne RasoolAllah (ﷺ) ki taraf hijrat ki phir maine ye Dua padhi tou Allah subhanahu ne mujhe RasoolAllah (ﷺ) ki surat me us neymat ka badal ata farmaya aur RasoolAllah (ﷺ) ne Hatib bin Abu batla (R.A) ko mere paas unke nikah ka paigam dekar bheja.”

– Sahih Muslim, Jild 2, Hadith No. 2126

♥ SubhanAllah ! Allah Rabbul Izzat hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal ki Taufik Dey ,. Ameen !!!

]]>
https://ummat-e-nabi.com/musibat-me-khair-ki-dua/feed/ 0 18221
Islamic Quiz 344 : Jo Nikah ki Taqat Na Rakhta ho usko kya karna chahiye ? https://ummat-e-nabi.com/islamic-quiz-344/ Thu, 16 Jan 2025 23:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=62833 Jo Nikah ki Taqat Na Rakhta ho usko kya karna chahiye? | A. Jyada Soye, B. Roze Rakhe, C. Jyada Khaye Piye, D. Jyada Sadqah kare]]>

Islamic Quiz 344

Jo Nikah ki Taqat Na Rakhta ho usko kya karna chahiye ?

A. Jyada Soye

B. Roze Rakhe

C. Jyada Khaye Piye

D. Jyada Sadqah kare

Islamic Quiz 344 : Jo Nikah ki Taqat Na Rakhta ho usko kya karna chahiye ?

Sahih jawab hai : Option ( B )

Roze Rakhe

Daleel :

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Hadees: Abdullah ibn Masood (R.A) se riwayat hai,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

“Aye Naujawano ki jamaat! tum mein jisey bhi Nikah karney ki (maali) taqat ho usey Nikaah kar Lena chahiye kyunki ye nazar ko neechi rakhney wala aur Sharamgaah ki hifazat karney wala amal hai aur jo nikaah ki taqat na rakhta ho usey chahiye ki roza rakhe kyunki Roza uski khwahishaat-e-nafsani ko tod dega.”

📕 Sahih Bukhari, Vol 6, 5066

]]>
62833
Islamic Quizzes https://ummat-e-nabi.com/islamic-quizzes/ Mon, 06 Jan 2025 04:37:22 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?page_id=61105 ._hidetitle h5, ._hidetitle .is-divider, ._title10 .is-divider, .block-html-after-header, #toc_container p.toc_title { display: none; }h1.entry-title.mb { margin-bottom: 5px; }div#toc_container>ul>li { list-style: none!important; width: 100%; }._pb-0 { padding-bottom: 0; }._highlited_text .from_the_blog_excerpt { font-size: 1.1em; } .flbox .box-text { padding: 0; margin: 0; }.flbox .box { display: block; color: #15273a; background: #f2f6ff; padding: 20px; border-radius: 10px; }.flbox .box-image { width: 110px; margin-left: 20px; margin-bottom: 20px; float: right; }.flbox img { border-radius: 10px; }.flbox .button { width: 300px; margin: 30px auto 0; display: block; border-radius: 50px; background: #ffffff; border: solid 1px #ddd; color: #333; font-size: .9em; }.flbox .button:hover { background: #2196F3; color: #fff; }._gp { background: #f1f3f4; }.rounded-img img { border-radius: 10px; }._title10 h5.post-title { max-height: 40px; overflow: hidden; }._btnv3 .button { width: 300px; background: #f1f3f4 !important; }._btnv5 .button { display: flex; flex-direction: row; align-items: center; justify-content: space-between; padding: 0 15px !important; background: #f7f8f9; border: none; } @media screen and (min-width: 769px) { ._btnv3 { border-top: solid #f1f3f4; margin-top: 30px; }._btnv3 .button { margin-top: -22px !important; } } @media screen and (max-width: 768px) { ._gp { margin: 0 -15px; }._mt-0 { margin-top:0px !important; } }

Islamic Quizzes

Islamic Sawal Jawab in Roman Urdu Quizzes in the light of Quran and Sahih Hadees, Explore Aajka Sawal, Quiz Game, English Question and Answers.

Aaj ka Sawal

Islamic Quiz of the day | 6 July 2025
 
Islamic Quiz 331 : Wo kaun se Sahabi hain jinse Farishte bhi Haya (Sharam) karte hai ?

Islamic Quiz 331 : Wo kaun se Sahabi hain jinse Farishte bhi Haya (Sharam) karte hai ?

View Options

Islamic Quiz Game

Islamic-Quiz
Islamic Sawal Jawab Quiz 1
Islamic-Quiz
Islamic Sawal Jawab Quiz 2
Islamic-Quiz
Islamic Sawal Jawab Quiz 3
Islamic-Quiz
Islamic Sawal Jawab Quiz 3
View All Parts

Quiz Categories

]]>
61105
Duas https://ummat-e-nabi.com/duas/ Fri, 03 Jan 2025 20:16:24 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?page_id=60406 h1.entry-title.mb { margin-bottom: 5px; }._sercol { margin-bottom: 0; padding-bottom: 0; }.block-html-after-header, ._fp_rc_post .box-image, ._fp_rc_post .box-blog-post .is-divider, #toc_container p.toc_title { display: none; }#toc_container p.toc_title+ul.toc_list { padding: 0; }div#toc_container>ul>li { list-style: none!important; width: 100%; }#toc_container .toc_list a { padding-bottom: 10px; }._pb-0 { padding-bottom: 0; important; }._fp_rc_post { margin-left: 0 !important; margin-right: 0 !important; }._fp_rc_post .post-item .box-text a { border-top: none; }._fp_rc_post .post-item .box-text { padding-top: 0; padding-bottom: 0; } ._hidetitle h5, ._hidetitle .is-divider, ._title10 .is-divider, .block-html-after-header { display: none; }._highlited_text .from_the_blog_excerpt { font-size: 1.1em; } .flbox .box-text { padding: 0; margin: 0; }.flbox .box { display: block; color: #15273a; background: #f2f6ff; padding: 20px; border-radius: 10px; }.flbox .box-image { width: 110px; margin-left: 20px; margin-bottom: 20px; float: right; z-index: 9; }.flbox img { border-radius: 10px; }.flbox .button { width: 300px; margin: 30px auto 0; display: block; border-radius: 50px; background: #ffffff; border: solid 1px #ddd; color: #333; font-size: .9em; }.flbox .button:hover { background: #2196F3; color: #fff; }.box-vertical .box-text { padding-left: 0; }._gp { background: #f1f3f4; }.rounded-img img { border-radius: 10px; }._title10 h5.post-title { max-height: 40px; overflow: hidden; }._btnv3 .button { width: 300px; background: #f1f3f4 !important; }._btnv5 .button { display: flex; flex-direction: row; align-items: center; justify-content: space-between; padding: 0 15px !important; background: #f7f8f9; border: none; } @media screen and (min-width: 769px) { ._btnv3 { border-top: solid #f1f3f4; margin-top: 30px; }._btnv3 .button { margin-top: -22px !important; } } @media screen and (max-width: 768px) { ._gp { margin: 0 -15px; }._mt-0 { margin-top:0px !important; } }

Duas (Zikr Azkar)

Duas Zikr Azkar Collection in the light of Quran and Sahih Hadees.

Aaj ki Dua

Dua of the day | 6 July 2025
 
Azan ke Baad ki Dua (अज़ान के बाद की दुआ) – Arabic, Hindi, English Mein

📿 अज़ान के बाद कौन सी दुआ पढ़नी चाहिए? जब अज़ान पूरी हो जाती है, तो एक बहुत ही प्यारी दुआ है जिसे पढ़ना नबी ﷺ ने सिखाया है। यह दुआ पढ़ने से हमें क़यामत के दिन नबी ﷺ की... [Read More]

View Post

Search Dua

]]>
60406
Behan Ya Beti ki Fazilat Hadees in urdu https://ummat-e-nabi.com/behan-ya-beti-ki-parwarish-ka-silaah/ https://ummat-e-nabi.com/behan-ya-beti-ki-parwarish-ka-silaah/#respond Wed, 25 Dec 2024 14:13:19 +0000 https://ummat-e-nabi.com/behan-ya-beti-ki-parwarish-ka-silaah/ Islam me Behan aur beti ki Parwarish ka badla hadees e nabvi ki roshni mein...]]>

Behan Ya Beti ki Fazilat Hadees in urdu

Beti ki Parwarish par Jannat ki Basharat

۞ Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ki,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) Irshad farmate hai –

“Jisey Ladki Ho aur Wo Usey Zinda Dafan na kare, Na Usko Zaleel Samze aur Na Ladke ko Uss par Ahmiyat dey Tou Allah Ta’ala Usko Jannat me Dakhil Karega..”

Abu Dawood, Jild 3, Hadees 1705, Safa 616


Behan ya Beti ki Parwarish ka Silah

۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya –

“Jis (Musalman) ne Apni Ek bhi Ladki ya Behen ki Parwarish ki aur Usey Sharai Aadab Sikhaya, Unsey Pyar wa Mohabbat se Pesh Aaya aur Unki Shadi (Nikah) Karaa di tou Allah Ta’ala Usey
Jarur Jannat me Dakhil karega.”

Abu Dawood, Jild#3, Baab#578, Hadith no. 1706, Safa#617


Beti Jahannum se Aad banengi

۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya –

“Jo (Musalman) Log Apni Bachchiyo ko Pyar wa Muhabbat se Parwarish karenge
tou Woh Bachchiya Unke Liye Jahannam se Aad(Deewar) ban jayengi.”

Tirmizi Sharif, Jild#1, Baab#1279, Hadith no. 1980, Safa#901

♥ Subhan’Allah! Allah Rabbul Izzat Hum Sabko Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki taufik de…

]]>
https://ummat-e-nabi.com/behan-ya-beti-ki-parwarish-ka-silaah/feed/ 0 15537
Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta hai aur Roza Sehwat ko kum karta hai https://ummat-e-nabi.com/nikaah-nigah-ko-zukata-hai/ https://ummat-e-nabi.com/nikaah-nigah-ko-zukata-hai/#respond Wed, 05 Jun 2024 07:55:25 +0000 https://ummat-e-nabi.com/nikaah-nigah-ko-zukata-hai/ Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta Hadees: Abdullah bin Masud (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya – “Aye Jawaano Jo Tum me se Aurato ke Hakooq (Haq) ada karne ki Taaqat rakhta hai tou wo Nikah zaroor kare, Kyunki Nikah Nigaah ko Zukaata hai aur Sharmgah ki Hifazat... [Read More]]]>

Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta

Hadees: Abdullah bin Masud (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya –

Aye Jawaano Jo Tum me se Aurato ke Hakooq (Haq) ada karne ki Taaqat rakhta hai tou wo Nikah zaroor kare, Kyunki Nikah Nigaah ko Zukaata hai aur Sharmgah ki Hifazat karata hai

Aur jo iski taaqat na rakhe tou woh Roza rakhe kyunki ye Sehwat (Wasna/Sex) ko kum karta hai.

📕 Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 52,
📕 Tirmizi Sharif, Jild 1, Safa 533

]]>
https://ummat-e-nabi.com/nikaah-nigah-ko-zukata-hai/feed/ 0 16375
Halala ka Nikah karne wale ka Gunaah (Halala karne wale par Allah ki Lanat) https://ummat-e-nabi.com/halala-ka-nikah-karne-wale-ka-gunaah/ https://ummat-e-nabi.com/halala-ka-nikah-karne-wale-ka-gunaah/#respond Wed, 05 Jun 2024 05:46:26 +0000 https://ummat-e-nabi.com/halala-ka-nikah-karne-wale-ka-gunaah/ Halala ka Nikah karne wale ka GunaahHalala karne wale par Allah ki Lanat ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Halala aise Nikah ko kehte hai jisme koi aadmi 3 Talaq waali aurat se sirf Talaq ki niyat se Nikah aur Sohbat karta hai taaki woh Aurat pehle Shohar ke liye halal ho jaye. Yaani Galati Mard kare aur... [Read More]]]>

Halala ka Nikah karne wale ka Gunaah
Halala karne wale par Allah ki Lanat

Halala aise Nikah ko kehte hai jisme koi aadmi 3 Talaq waali aurat se sirf Talaq ki niyat se Nikah aur Sohbat karta hai taaki woh Aurat pehle Shohar ke liye halal ho jaye.

Yaani Galati Mard kare aur Saza Aurat bhugtey, ye kounsa deen hai ? agar aap tehkik karo tou Jaan jaoge ke ye Jahilo ki deyn hai. Halala Karna aur karwana kitna sangeen gunah hai aahdees ka mutala karte hai.

HADEES:
Ibn Abbas (R.A) kahte hai, Rasoole Akram (ﷺ) ne farmaya:

“Halala karne wala aur karaane wala dono mala’oo’n hai (Lanat ke Qabil) hai.”

📕 Sunan Ibne Majah, Hadees 1934-Sahih


Hadees: Utba bin Aamir (R.A) kehte hai,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: “Kya Mai tum logo ko bhaadey ka bakra na batlaau ?”

Sahaba ne arz kiya, ji haa ! Aye Allah ke Nabi jarur bataye!
Aap (ﷺ) ne farmaya:

“Wo Halala karne wala hai, Allah Ta’ala halala karne wale aur karane wale dono par laanat farmaye.”

📕 Sunan Ibne Majah, Hadees 1936-Hasan

]]>
https://ummat-e-nabi.com/halala-ka-nikah-karne-wale-ka-gunaah/feed/ 0 18495
Hadees: Sabse se Zyada Barqat wala Nikah https://ummat-e-nabi.com/hadees-sabse-se-zyada-barqat-wala-nikah/ https://ummat-e-nabi.com/hadees-sabse-se-zyada-barqat-wala-nikah/#respond Wed, 05 Jun 2024 05:27:18 +0000 https://ummat-e-nabi.com/hadees-sabse-se-zyada-barqat-wala-nikah/ Sabse se Zyada Barqat wala Nikah Hadees: Aaisha (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya: “Sabse se Zyada Barqat wala Nikah woh hai, jisme Mehnat, Mashaqqat aur Kharch kum ho.” 📕 Musnade Ahmed, Hadees 24529]]>

Hadees: Aaisha (R.A.) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Sabse se Zyada Barqat wala Nikah woh hai, jisme Mehnat, Mashaqqat aur Kharch kum ho.”

📕 Musnade Ahmed, Hadees 24529

]]>
https://ummat-e-nabi.com/hadees-sabse-se-zyada-barqat-wala-nikah/feed/ 0 19513
Bewah Aurato ka Nikah: Quran Hadees ki roshni mein https://ummat-e-nabi.com/bewah-aurato-ka-nikah/ https://ummat-e-nabi.com/bewah-aurato-ka-nikah/#respond Wed, 05 Jun 2024 05:22:35 +0000 https://ummat-e-nabi.com/bewah-aurato-ka-nikah/ ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Bewah Aurato ka Nikah: Quran Hadees ki roshni mein Kuch Aisi Rasam’en bhi Musalman me Raaij hai ke Bewah Aurat ka Nikah ko Bura aur aar Samjhte hai, Balke Isko Aib Samajhne me Kufr ka khauf hai, Kyunke Shariyat ke kisi Hukm ko Aib Samajhnaaur Iske karne waale ko Zaleel Jan’na Kufr... [Read More]]]>

Kuch Aisi Rasam’en bhi Musalman me Raaij hai ke Bewah Aurat ka Nikah ko Bura aur aar Samjhte hai, Balke Isko Aib Samajhne me Kufr ka khauf hai, Kyunke Shariyat ke kisi Hukm ko Aib Samajhna
aur Iske karne waale ko Zaleel Jan’na Kufr hai.

Allah Ta’ala ne Quraan me Irshaad farmaya hai :

“Aur Nikah kardo Apno me Inn ka Jo Benikah ho aur Apne Layaq Ghulamao aur Kaneezao ka.”

📕 Surah Al-Noor 24:32


Mafhoom-e-Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke –

“Yaani Meri Ummat me Fasaad Phail Jane ke Waqt jo Shakhs Musibat ke Waqt meri Sunnat par Amal kare Isko 100 Shaheedo ka Sawaab milega.”

📕 Mishkaat Jild 1, Safa 30 Asah’al’matabeh, Jannati Zewar 304, 305

Allah Taala hume kehne sunne se jyada Amal ki taufiq de. Ameen Ya Rabbul Aalmeen.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/bewah-aurato-ka-nikah/feed/ 0 16374
Kaafir ya Mushrik se Nikah karna kaisa ? https://ummat-e-nabi.com/kaafir-ya-mushrik-mardaurat-se-nikah-karna-kaisa-hai/ https://ummat-e-nabi.com/kaafir-ya-mushrik-mardaurat-se-nikah-karna-kaisa-hai/#respond Wed, 05 Jun 2024 05:07:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kaafir-ya-mushrik-mardaurat-se-nikah-karna-kaisa-hai/ ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Kaafir ya Mushrik se Nikah karna kaisa ? Allah Raabul Izzat Qurane Kareem me farmata hai: “Aur tum Shirk karne wali aurton se us waqt tak Nikah na karo jab tak ke wo imaan na laaye, imaan wali laundi(Slave) bhi shirk karne wali azaad aurat se behtar hai, chahe wo tumhe acchi... [Read More]]]>

Allah Raabul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:

“Aur tum Shirk karne wali aurton se us waqt tak Nikah na karo jab tak ke wo imaan na laaye, imaan wali laundi(Slave) bhi shirk karne wali azaad aurat se behtar hai, chahe wo tumhe acchi hi lagti ho,

Aur Shirk karne wale mardon ke Nikah me apni aurton ko na do jab tak ke wo imaan na laye, imaan wala Gulaam, Azaad Mushrik se behtar hai, chahe tumhe mushrik hi acha lage,

Yeh Jahannam ki taraf bulate hai aur Allah Rabbul Aalameen Jannat ki taraf, aur apni bakshish ki taraf apne hukm se bulata hai.”

📕 Surah Baqrah 2:221

Meaning of the Arabic Word
Kafir: Nonbeliever
Mushrik: who practising idol worship

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kaafir-ya-mushrik-mardaurat-se-nikah-karna-kaisa-hai/feed/ 0 18442
Kya Yusuf (Alahi Salam) aur Zulkha ka Nikah hua tha ? https://ummat-e-nabi.com/kya-yusuf-alahi-salam-aur-zulkha-ka-nikah-hua-tha/ https://ummat-e-nabi.com/kya-yusuf-alahi-salam-aur-zulkha-ka-nikah-hua-tha/#respond Thu, 09 May 2024 09:30:32 +0000 https://ummat-e-nabi.com/kya-yusuf-alahi-salam-aur-zulkha-ka-nikah-hua-tha/ Kya Yusuf (Alahi Salam) aur Zulkha ka Nikah hua tha ? Aksar Dekha Jata Hai Ke Shadiyo me Dulha-Dulhan ko aisi Dua di jati hai ke “Aapki Jodi Yusuf (Alahi Salam) Aur Zulekha Jaise Kamiyab Rahe. (Nauzubillah)“ Jabki Aisi Dua Denewale Log Andaza bhi Nahi Lagatey Ke Hakikat me Dua Ke Naam par Badduwa dey... [Read More]]]>

Aksar Dekha Jata Hai Ke Shadiyo me Dulha-Dulhan ko aisi Dua di jati hai ke “Aapki Jodi Yusuf (Alahi Salam) Aur Zulekha Jaise Kamiyab Rahe. (Nauzubillah)

Jabki Aisi Dua Denewale Log Andaza bhi Nahi Lagatey Ke Hakikat me Dua Ke Naam par Badduwa dey rahe hai.

# ‎Sabse‬ Pehli Baat Ke
Yusuf (Alahi Salam) ka Nikah Zulekha se nahi hua tha. aur Qurano Hadees me bhi Iska kahi bhi Tazkira nahi hai.

– Lekin Na Jane phir bhi Log Kaha se Manghadat Dalaeel Latey hai ke Unka Nikah Hua aur Laila Majnuo ki tarha Humare Ishk Mizaz Hazrat Unke Kissey Kahaniya Ghadtey rehte hai.

Yaad Rahe ! Ye Allah Ke Nabi Ki Shaan Me Gustakhi Hai.
– Jabki Allah Ne Quraan me Zulkha Ke Taluk Se Bayan Kiya Ke Usne Allah ke Nabi Ko Zina Ki Dawat Di (Mafhoom-e-Suraf Yusuf).. Tajjub Ki Baat Hai Ke Fir Bhi Hum Aise Zaani Ko Allah Ke Nabi ki Biwi Ka Darja Detey Hai La-ilmi me…

‪#‎ Aur‬ Dusri Baat Ke
Hum Tamam Ka Ye Imaan Hai Ke Ambiya (Alahi Salam) Ki Biwi Mushrik Tou Ho Sakti Hai Lekin Zaani Nahi.

– Jaise Ke Nooh (Alahi Salam) aur Loot (Alahi Salam) Ki Biwi Mushrika Thi,.. Lekin Zaani Nahi Thi ,… Bad’deen Tou Thi Lekin BaddKirdaar nahi.

*Tou Beharhaal Yusuf (Alahi Salam) Ka Nikah Zulekha Se Hua Iski Koi Bhi Sharayi Daleel Nahi Siway Baaz Manghadat Kissey Aur Kahaniyo Ke .. Allah Aise Logo Ko Hidayat De.

Lihaja Hume Chahiye Ke Aisi Baato Se Ahtiyat Kare Jo Ki Allah Ke Nek Bando Aur Nabiyo Ki Shaan Me Tauheen hai.

♥ Allah Rabbul Izzat Se Aakhir Me Dua Hai Ke
# Allah Hume Kahne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufik Dey ,..
# Hum Tamam Gairsharayi Baato Se Ahtiyaat Karne Ki Taufik Dey ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kya-yusuf-alahi-salam-aur-zulkha-ka-nikah-hua-tha/feed/ 0 17528
Aisi Aurat ko Nikaah ka Paigaam Naa Bheje … https://ummat-e-nabi.com/aisi-aurat-ko-nikaah-ka-paigaam-naa-bheje/ https://ummat-e-nabi.com/aisi-aurat-ko-nikaah-ka-paigaam-naa-bheje/#respond Mon, 29 Apr 2024 01:04:08 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=42505 Aisi Aurat ko Nikaah ka Paigaam Naa Bheje Hadees: Ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya – “Koi Shakhs kisi Aurat ke Paas Nikah ka Paighaam na bheje agar Uss Shakhs ka Bhai Uss hi Aurat ke Paas pehle se hi Shaadi ka Paighaam bhej chuka ho.” 📕 Sunan Ibn Majah:... [Read More]]]>

Aisi Aurat ko Nikaah ka Paigaam Naa Bheje

Hadees: Ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

“Koi Shakhs kisi Aurat ke Paas Nikah ka Paighaam na bheje agar Uss Shakhs ka Bhai Uss hi Aurat ke Paas pehle se hi Shaadi ka Paighaam bhej chuka ho.”

📕 Sunan Ibn Majah: Hadith#1868-Sahih


Takhreej:

Agar ye Maaloom ho Jaaye ki Uss Aurat ne abhi tak pehla waala Paighaam Qubool nahi kiya hai aur Na hi wo Uss Paighaam ki taraf koi khaas Jhukaao rakhti hai tou doosra Shakhs paighaam bhej sakta hai.

Aisa hone par Uss Aurat ko Un Dono me se apne liye Zyada behtar Shouhar talaash karne ka mouka mil jaayega aur Waaledain bhi apni Beti ke liye is Muamle me zyada behtar soch paayenge.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/aisi-aurat-ko-nikaah-ka-paigaam-naa-bheje/feed/ 0 42505
Nikah Meri Sunnat Hai https://ummat-e-nabi.com/nikah-meri-sunnat-hai/ https://ummat-e-nabi.com/nikah-meri-sunnat-hai/#respond Sun, 28 Apr 2024 09:36:38 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=37490 Nikah Meri Sunnat Hai ۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke – “Nikah Meri Sunnat hai, aur jo koi meri Sunnat par amal na kare uska mujhse koi talluq nahi. “ 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 1846]]>

Nikah Meri Sunnat Hai

۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke –

Nikah Meri Sunnat hai, aur jo koi meri Sunnat par amal na kare uska mujhse koi talluq nahi.

📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 1846

]]>
https://ummat-e-nabi.com/nikah-meri-sunnat-hai/feed/ 0 37490
Kitne Din Biwi se Door Rehne par Nikah toot jata hai by Adv. Faiz Syed https://ummat-e-nabi.com/kitne-din-biwi-se-door-rehne-par-nikah-toot-jata-hai-by-adv-faiz-syed/ https://ummat-e-nabi.com/kitne-din-biwi-se-door-rehne-par-nikah-toot-jata-hai-by-adv-faiz-syed/#respond Wed, 17 Jan 2024 18:35:52 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=22454 Janiye Kitne din biwi se door rehne par Shohar ka ussey Nikah Khatm ho jata hai, Shohar biwi se kitne din door reh sakta hai]]>

Aam taur pe ek baat muashre me paayi jaati hai ke agar 4 mahine tak miya biwi ek dusre se alag rehe to unka nikah khatm ho jata hai. tou aayiye is mukhtasar se video me jante hai ke Shohar biwi se kitne din door reh sakta hai, baraye mehabani isey jyada se jyada share kare.

Related post

People Also search as:

Biwi ka kitne din Shohar se door rehne par Nikah toot jata hai, kin cheezon se nikah toot jata hai, nikah kab toot jata hai, Shohar biwi se kitne din door reh sakta hai, nikah toot jata hai in urdu, shohar biwi se kitne din dur reh sakta hai, nikah kin cheezon se toota hai, agar shohar humbistari na kare

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kitne-din-biwi-se-door-rehne-par-nikah-toot-jata-hai-by-adv-faiz-syed/feed/ 0 22454
Shohar par Biwi ke Huqooq (Rights of a Muslim Wife upon Her Husband) https://ummat-e-nabi.com/shohar-par-biwi-ke-huqooq-rights-of-a-muslim-wife-upon-her-husband/ https://ummat-e-nabi.com/shohar-par-biwi-ke-huqooq-rights-of-a-muslim-wife-upon-her-husband/#respond Fri, 18 Aug 2023 17:22:40 +0000 https://ummat-e-nabi.com/shohar-par-biwi-ke-huqooq-rights-of-a-muslim-wife-upon-her-husband/ Shohar par Biwi ke Huqooq Ek Hi Biwi hai Magar Mard Uske Paas nahi rehta, balki Namaz wa Roze me Mashgul Rehta hai tou Aurat Shohar par Mutalbah kar sakti hai. aur Usey (Mard Ko) Hukm diya Jayega ki Aurat ke Paas bhi raha kare ki Hadees me farmaya Gaya hai ki: “Tumhari Biwi ka... [Read More]]]>

Shohar par Biwi ke Huqooq

Ek Hi Biwi hai Magar Mard Uske Paas nahi rehta, balki Namaz wa Roze me Mashgul Rehta hai tou Aurat Shohar par Mutalbah kar sakti hai. aur Usey (Mard Ko) Hukm diya Jayega ki Aurat ke Paas bhi raha kare ki Hadees me farmaya Gaya hai ki:

“Tumhari Biwi ka Tum par Haq hai.”

📕 Mafhoom-e-Hadees (ﷺ)
📕 Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Nikah,Hadees 5199

Roz Marrah ki Shab-Bedari aur Roze Rakhne me Uska haq talaf hota hai, Raha ye ki uske paas rehne ki kya mi’ad hai uske Muta’allik ek eiwayat ye hai ki, “Char Din me Ek din uske (Aurat ke) liye aur Teen din ibadat ke liye. aur Sahih ye hai Ki Usey Huqm Diya Jaaye Ki Aurat ka bhi Lihaz Rakhe, Uske Liye bhi Kuch Waqt de, aur Uski mikdar Shohar ke Muta’allik hai.”

📕 Johra Al-Nirah, Kitab-Ul-Nikah, Page:33,
📕 Bahar-e-Shari’at, Jild 1, Hissa 7, Page:96

]]>
https://ummat-e-nabi.com/shohar-par-biwi-ke-huqooq-rights-of-a-muslim-wife-upon-her-husband/feed/ 0 15989
Islamic Quiz 255 : Quran Kareem mein Surah An Nisa hai, ismein An Nisa ka matlab kya hota hai ? https://ummat-e-nabi.com/islamic-quiz-255/ Sun, 13 Aug 2023 14:35:27 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=45454 Quran Kareem mein Surah An Nisa hai, ismein An Nisa ka matlab kya hota hai ? | Options are: A. Aurtein, B. Mard, C. Bacche, D. Farishte]]>

Islamic Quiz 255

Quran Kareem mein Surah An Nisa hai, ismein An Nisa ka matlab kya hota hai ?

Options Are 👇

A. Aurtein

B. Mard

C. Bacche

D. Farishte

Sahih jawab hai : Option ( A )

✅ Aurtein

Surah An-Nisa Quran ki 4th surah hai aur iska matlab hota hai “Aurtein“. Is surah mein Aurton ke Huqooq, Nikah, Talaq, Wirasat aur Maal ki Hifazat jaise mouju par insaniyat ki rehnumayi ki gayi hai.

📕 Surah An Nisa

Allah Rabbul  izzat hume kehne sunne se jyada amal ki taufik de. Ameen.

]]>
45454
Seerate Hazrat Abu Bakr Siddiq (R.A) ki Zindagi aur Martaba https://ummat-e-nabi.com/hazrat-abu-bakr-siddeeq/ https://ummat-e-nabi.com/hazrat-abu-bakr-siddeeq/#respond Thu, 27 Jul 2023 19:13:05 +0000 https://ummat-e-nabi.com/hazrat-abu-bakr-siddeeq/ Hazrat Abu Bakr Siddique (R.A) ki Zindagi ✦ Laqab (Honorific Title): Siddeeqe Akbar, Gaare Yaare Nabi, Afzalun Naas Ba’adal Ambiya, Saani Isnain, Khalifatul-Rasool, Ateeq. ✦ Wiladat (Birth) : Aapki Wiladat 573 C.A. me Makka me hui. Waalid ka naam Usman Abu Quhafa ibn Amir aur Waalida ka naam Salma bint Sakhar (Ummul Khair) hai. Aap... [Read More]]]>

Hazrat Abu Bakr Siddique (R.A) ki Zindagi

Laqab (Honorific Title):

Siddeeqe Akbar, Gaare Yaare Nabi, Afzalun Naas Ba’adal Ambiya, Saani Isnain, Khalifatul-Rasool, Ateeq.

Wiladat (Birth) :

Aapki Wiladat 573 C.A. me Makka me hui. Waalid ka naam Usman Abu Quhafa ibn Amir aur Waalida ka naam Salma bint Sakhar (Ummul Khair) hai.

Aap Quraish ke Banu Taym Kabeele se ta’aaluq rakhte hain. Aap ka Asal naam Abdullah hai.

Deen ki Daawat:

Aapki Daawat aur mashware se bahut saare log Islam me dakhil hue, jin me Hazrat Usman ibn Affan, Zubair Ibn Awwam, Talha Ibn Ubaidullah, Abdur Rehman bin Awf, Sa’ad ibn Abi Waqqas, Abu Ubaidah ibn Jarrah, Abdullah bin Abdul Asad (Abu Salama), Khalid ibn Sa’id aur Abu Huzifah ibn Mughirah (RaziAllahu Anhuma) mashhoor hain.

Aap ne 8 Gulamo ko Aazad karaya jo Musalman ho gaye they. jin me Mardo me Hazrate Bilal Habashi ibn Ribah, Abu Fakih, Ammar ibn Yasir aur Abu Fuhaira aur Aurto me Lubainah, Nahdiah, Umm Ubais, Harisah bint Muammil shamil hain. is ke liye Aap ne 40,000 dinar kharch kiye.

Waalid ne kaha Tum Budhe aur Kamzor Gulamo ko Aazad karate ho jis se hume koi Faida nahi hoga.”
Aap ne farmaya “Main tou Allah ki Raza ke liye Musalmano ko Aazad karata hu.

Seerate Hazrat Abu Bakr Siddiq (R.A) ki Zindagi aur Martaba
Seerate Hazrat Abu Bakr Siddiq (R.A) ki Zindagi aur Martaba

Siddeeqe Akbar Ka Laqab:

12 Nabawi (621 C.A.) me Meraj ke baad Huzoor (ﷺ) Ashaba ko Meraj ki baaten bayan kar rahe they. Hazrate Abu Baqr (RaziAllahu Anhu) thoda der se aaye. Aap aakar Huzoor (ﷺ) ke qareeb jaakar bethe.

Huzoor (ﷺ) ne phir se shuru se pura bayan shuru kiya. Aur Hazrate Abu Baqr (R.A.) har baat par farmate ‘Sadaqata ya RasoolAllah (ﷺ).’

Huzoor (ﷺ) ne khush hokar Aap ko ‘Siddeeque Akbar’ ka Laqab ata farmaya yaa’ni tamam Siddeeque me sab se bada.

Aap ke baare me Nabi-e-Kareem ﷺ ka Farman:

Aap ke baare me Pyare Aaqa (ﷺ) farmate hain ke,

  • (1) Abu Baqr ‘Afzalul bashar ba’adal Ambiya’ hain ya’ni ‘Ambiya ke baad tamaam insan me sab se Afzal.’
  • (2) Agar Abu Baqr ka Imaan meri tamam Ummat ke Imaan ke saath wazan me kiya jaaye tou Abu Baqr ka emaan gaalib aaye.
  • (3) Abu Baqr ka ye martaba sirf uski ibadat ki wajah se nahi hai, balke Allah Ta’ala ne uske Dil me jo khas rakha hai uski wajah se hai.
  • (4) Abu Baqr ke mujh par bahut Ahsan hain. uss ne Islam ke liye Apni jaan aur Maal bhi Qurban kiye hain aur apni Beti mere Nikah me di hai aur Abu Baqr ne Hazrat Bilal Habsi ko Aazad karaya hai.’

✦ Aap Ashra-e-Mubashara me se Hain:

  • Ek baar Huzoor (ﷺ) ne Aap se farmaya ‘Abu Baqr, Jannat me dakhil hone walo me tum sab se pehle rahoge.’
  • Ek baar Huzoor (ﷺ) ne farmaya ‘Jab Allah Ta’ala kisi momin ke liye bhalai ka irada karta hai tou usme koi khaslat paida farmata hai jis ke sabab wo Jannati ban jaata hai aur aisi 360 khaslate hain.’ Abu Baqr (R.A) ne puchha ‘Ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam), kya mujh me aisi koi khaslat hai?’ Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya – ‘Abu Baqr! tumhe mubarak ho ke tum me wo tamam khaslat moujood hai.’

✦ Ameerul Hujjaj:

9 Hijri me jab Hajj farz hua tou Huzoor (ﷺ) ne Aap ko Ameerul Hujjaj banakar Ashaba ko Aap ke saath Hajj ke liye bheja.

✦ Aap ki Mohabbat Nabi-e-Paak ke liye:

10 Hijri me Hajjatul Wida ke Mouqe par bhi Rasool’Allah (ﷺ) ke saath rahe. jab ye Aayat naazil hui ‘Aaj ke din hum ne tumhare liye tumhara deen mukammal kar diya aur tumhare liye deen-e-Islam pasand kiya.’ tou Ashaba khush hue ke Allah Ta’ala ne Deen-e-Islam ko mukammal kar diya.

Magar Aap Gamzada ho gaye. jab puchha gaya tou farmaya ke: Ye sahi hai ke Deen-e-Islam ko Allah Ta’ala ne mukammal kar diya hai. magar Deen mukammal hone ke baad mumkin hai ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) hum se Anqareeb parda (Rukhsat/Wafat) farmayenge. main ye sochkar ghamzada hu.

✦ Wafat-e-Rasool par Aapki Sujat:

Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke wafat ke baad sab Ashaba Gamzada they aur Hazrate Umar Farooq (RaziAllahu Anhu) ne tou farma diya tha ke – ‘Agar kisi ne mere saamne ye kaha ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) ka Inteqal ho gaya hai aur Aap (ﷺ) humare darmiyan me nahi hain tou mai talwar se uski Gardan kalam kar dunga.’

Aise mahoul me sab khamosh they tab Hazrate Abu Baqr uthkar aage aaye aur Khutba padhney ke baad Ashaba se farmaya ‘Agar koi Muhmmad (ﷺ) ki parastish karta ho tou wo jaan jaaye ke huzoor (ﷺ) inteqal kar gaye hain aur Jo Rabbe Muhammad (yaani Allah) ki ibadat karta ho tou wo jaan le ke Allah Zinda hai aur kabhi marne wala nahi.

✦ Aap Islam ke pehle Khaifa rahe:

Huzoor (ﷺ) ke Wafat ke baad Hazrate Umar Farooq (RaziAllahu Anhu) ke mashware par Aap ko khalifa banaya gaya. Aap 13 Rabi-Ul-Awwal 11 Hijri (8 June 632 C.A.) ko sab se pehle khalifa hue. Aap ka Dour-e-Khilafat 2 saal 4 maah ka raha.

✦ Quraan-e-Kareem ki Hifazat:

11 Hijri (632 C.A.) me Junge Yamama me taqreeban 70 Ashaba Shaheed hue jo Haafize Qur’an they. Hazrate Umar Farooq (RaziAllahu Anhu) ne Aap se farmaya ‘Iss tarah Haafize Qur’an kum hote rahe to Qur’an ki hifazat karna mushkil hoga. behtar hai ke hum Qur’an ko jama karke kitaab bana len.’

Iss tarah Hazrate Umar Farooq (RaziAllahu Anhu) ke mashware se Qur’an Majeed ko jama karke kitaab banane ka kaam Shuru kiya gaya, jo Hazrate Usman Ghani ke Zamane me mukammal hua.

✦ Aapka Pariwaar:

Aap ko 4 Biwiya, 3 Bete aur 3 Betiya thi.

  1. Qutaylah bint Abd-Al-Uzza se 1 Beta – Abdullah aur 1 Beti – Asma,
  2. Umme Rumman se 1 Bata – Abdur Rehman aur 1 Beti – Aaisha,
  3. Asma bint Umays se 1 Beta – Muhammad,
  4. Habibah bint Kharijah se 1 Beti – Umme Kulsum.

• Sirf Aap Hi Aise Sahabi hain Jinke Waliden Aur Aulaad Bhi Ashaba Hain.

✦ Aap Nabi-e-Paak ﷺ ke sabse Qareebi Dost hai:

  • Aap ‘Gare Yaare Nabi’ hain yaani Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke sab se Qareebi Dost.
  • Aap ko Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne har khaas mouqe par aur mehfil me saath aur Qareeb rakha.
  • Hijrat (Migrate Macca to madina) me bhi Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne sirf Aap ko saath liya.

✦ Wisaal / Wafat (Death):

Wafat Aap ki 22 Jamaadil Aakhir 13 Hijri 23 August 634 CA ko 63 baras ki Umr me Madina me hui.

Namaze Janaza Hazrate Umar Farooq (RaziAllah Anhu) ne padhai. Aap ki tadfeen Roza-e-Rasool me Huzoor (ﷺ) ke bagal me ki gayi.

♥ Allah Rabbul Izzat Se Dua hai ke:
Allah Hum tamam ko Hidayat ata farmaye,
Hume Sirate Mustakim par chalaye,
Jab tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey,
Khatma Humara Imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

• Note: Likhne me koi khata hui ho tou Jarur Ba-Daleel humari Islah kare… Dua ki Darkhwast.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/hazrat-abu-bakr-siddeeq/feed/ 0 16240
Islamic Quiz 251 : Muharram ke mahine me in me se kounsa amal haraam hai? https://ummat-e-nabi.com/islamic-quiz-251/ Wed, 26 Jul 2023 07:23:59 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=45001 Muharram ke mahine me in me se kounsa amal haraam hai? | Options are : A. Nikah karna, B. Roze Rakhna, C. Umrah Karna, D. Koi bhi nahi]]>

Islamic Quiz 251

Muharram ke mahine me in me se kounsa amal haraam hai?

Options Are 👇

A. Nikah karna

B. Roze Rakhna

C. Umrah Karna

D. Koi bhi nahi

Sahih jawab hai : Option ( D )

✅ Koi bhi Nahi

In me se koi bhi amal muharram ke mahine me haraam nahi.

Lekin baaz hazraat is mahine Nikah nahi karte to baaz is mahine Umrah nahi karte. Jabki qurano sunnat aur sahaba ki tarikh se aisa kahi bhi sabit nahi. Lihaja jo bhi hazraat is mahine nikah ya umran karna chahe wo Zaroor kare.

Aur Jo hazrat is mahine Shahadate Karbla ko yaad kar Gham aur matam manate hai unhe bata de shahid kabhi marte nahi, wo Allah ki jannat me zinda hai.

Allah taala hum sabko kehne sunne se jyada amal ki toufik de. Ameen

]]>
45001
Islamic Quiz 246 : Jo Nikah Karne ki Maali Taqat Nahi Rakhta Usko Kya Karna Chahiye? https://ummat-e-nabi.com/islamic-quiz-246/ Wed, 19 Jul 2023 04:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=44900 Jo Nikah Karne ki Maali Taqat Nahi Rakhta Usko Kya Karna Chahiye? | Options are: A. Hijrat Karna, B. Roza Rahkna, C. Ehtekaf Karna, D. Sahi Jawab Ka Intezaar]]>

Islamic Quiz 246

Jo Nikah Karne ki Maali Taqat Nahi Rakhta Usko Kya Karna Chahiye?

Options Are 👇

A. Hijrat Karna

B. Roza Rahkna

C. Ehtekaf Karna

D. Sahi Jawab Ka Intezaar

Sahih jawab hai : Option ( B )

✅ Roza Rahkna Chahiye

Daleel :

Nabi e Kareem (ﷺ) ne humse farmaya ki:

“Naujawano ki jama’at! tum me jise bhi nikah karne ke liye mali takat ho use nikah kar lena chahiye kyunki yah nazar ko neechi rakhne wala aur sharmgaah ki hifazat karne wala amal hai aur jo koi nikah ki gurbat takat na rakhta ho use chahiye ki roza rakhe kyunki roza us ki khawaishaat nafsani ko tod dega.”

 📕 Sahi Bukhari, Hadees 5066

]]>
44900
Kaun Banega Jannati : Episode 3 https://ummat-e-nabi.com/kaun-banega-jannati-episode-3/ https://ummat-e-nabi.com/kaun-banega-jannati-episode-3/#respond Thu, 11 May 2023 15:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=44302 Islamic Quiz ke new session Koun banega jannati ke is episode me in 5 sawalo zikr kiya gaya hai. Wiraan Ghar ki Misaal in me se kya hai? | In me se Kounsa Amal ZULM hai? | Haqeeqat me Ameer koun | Aurto se Nikah kis Cheez ki Buniyad par Karna Sunnat hai | Insan... [Read More]]]>

Islamic Quiz ke new session Koun banega jannati ke is episode me in 5 sawalo zikr kiya gaya hai.

Wiraan Ghar ki Misaal in me se kya hai? | In me se Kounsa Amal ZULM hai? | Haqeeqat me Ameer koun | Aurto se Nikah kis Cheez ki Buniyad par Karna Sunnat hai | Insan Qayamat ke din kiske sath hoga?

Aakhir me Aapke liye ek Sawal jiska jawab aapko comment box me dena hai. inshaAllah sahi jawab dene wale top 10 hazraat ke naam agle episode ki video me display kiya jayega.

Episode 3 me Aapki khidmat me sawal ye raha:

in me se Kounsa Shakhs Roze-Qayamat Andha Uthaya Jayega?

]]>
https://ummat-e-nabi.com/kaun-banega-jannati-episode-3/feed/ 0 44302
Islamic Quiz 191 : Wo Kounsa Amal jis ke Karne se Shaitan ke jism ka ek aaza toot jata hai? https://ummat-e-nabi.com/islamic-quiz-191/ Sat, 04 Mar 2023 13:27:23 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=43843 Wo Kounsa Amal jis ke Karne se Shaitan ke jism ka ek aaza toot jata hai? | Options are: A. Namaz, B. Sadqah, C. Nikah, D. Wazu]]>

Islamic Quiz 191

Wo Kounsa Amal jis ke Karne se Shaitan ke jism ka ek aaza toot jata hai?

Options Are 👇

A. Namaz

B. Sadqah

C. Nikah

D. Wazu

Islamic Quiz 191 : Wo Kounsa Amal jis ke Karne se Shaitan ke jism ka ek aaza toot jata hai?

Sahih jawab hai : Option ( B )

✅ Sadqah

Wo Amal Sadaqah hai aur usko karne par 0470 shaitano ka jabda (jaw) tut jata hai

Daleel :

۞ RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya –

“jab bhi koi Aadmee Sadqah karta hai to wo 70 Shaitanon ke jabde todta hai.”

📕 Masnad Ahmed-3574 Sahih


in sha Allah ul Azeez!
Allah Taala Hume kehne Sun’ne se jyada amal ki taufiq de,

Jabtak hume zinda rakhe islam aur iman par zinda rakhe,
khatma humara iman par,

Wa Akhiru dawana Alahmdulillahi Rabbul Aalameen!
Amen Allahumaa Ameen

]]>
43843
Qayamat ki Nishaniyan Series: Part 2 https://ummat-e-nabi.com/qayamat-ki-nishaniyan-series-part-2/ https://ummat-e-nabi.com/qayamat-ki-nishaniyan-series-part-2/#respond Sat, 14 Jan 2023 16:57:35 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=42707 11.​​ Zabir​​ o Zalim Hukmaran​​ honge, 12.​​ Fahashi​​ aam ho​​ jayegi,13.​​ Aurtein kapdey pahen’ne​​ ke bawjood​​ barhana (Nangi)​​ hongi, 14.​​ Ilm ka khatma aur jahalat mein izafa ho jaye ga ...]]>

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-2

11.​​ Zabir o Zalim Hukmaran honge

Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke main ne Allah ke Rasool ka irshad e garami suna:
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Agar tumhare umer lambi hui tou tum ek aise Qoum dekhoge jo Allah ke ghazab me subah karegi aur Allah ki lanat mein shaam guzareygi. in ke hathon me bailon ki dummo ki tarah (lathiyan) hongi.”

📕 Sahih Muslim kitab ul jannah 2857

Hazrat Abu Huraira (R.A) farmate hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“2 kisam ke log jahanum walay hain jinhe main ne (abhi) nahi dekha. ek tou wo qoum hai jin ke paas bailon ki dummo jaise lathian hongi aur in ke sath wo logon ko marienge.”

📕 Sahih Muslim kitab ul adab 2128

Hazrat Abu amama (R.A) farmate hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“is ummat ke aakhri dour me kuch log zahir hongey jin ke hath me bailon ki dummo jaise lathian hongi. yeh log subah o shaam Allah ki lanat aur ghazab ka shikar hongey. (Ek riwayat mein hai ke ‘in se dosti paida na kerna.’)”

📕 Masnad Ahmad 315/5
📕 Sahih al Jame 317/3

Hazrat Huzaifa (R.A) farmate hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya :
“Mere baad aise hukmaran hongey jo meri hidayat se munh pherenge aur meri Sunnat se airaz kariengey aur in (ki intazamiya) me aise log hongey jin ke jismo me Shaitano ke dil hongey.”

📕 Sahih Bukhari kitab ul munaqib 3606

Ibne Umer (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya:

“jab meri ummat me shahana kar-o-far hoga aur roomi o irani badshahon ki naslien in ki khidmat guzar hongi tou Allah Ta’ala in ke badtareen logon ko in ke behtareen logon per musallat kar dega.

📕 Sunan Tirmizi Kitab ul Fitan 2261


12.​​ Fahashi aam ho jayegi

Abdullah bin Umer (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Yaqeenan Allah Ta’ala beyhayai phailney aur phailaney ko na pasand karta hai ya beyhayai phailaney walay se bughz rakhta hai. aur Aap (ﷺ) ne yeh bhi farmaya: Qayamat qayem nahi hogi hatta ke beyhayai phail jayegi.”

📕 Musnad Ahmad 217/2
📕 Hakim 559/4

Hazrat Anas (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya :
“Fahashi, Beyhayai aur Qata Rehmi ka phail jana Qayamat ki nishanion me se hai.”

📕 Majma al Zawaid 284/7

Note:

Fahashi aur bey hayai ka phail jana Qayamat ki ek nishani hai. Aurton ki beypardagi, Mardon se ikhtalaat, mehloot taleem, gaali gloch, movies, dramey, Songs wagaira sab is me shamil hain.

Nabi (ﷺ) ki peshangoyi ke mutabiq is ka phailna la mahala qatey hai magar hume is peshangoyi ka misdaq bannay se hattal maqdoor garaiz karna chahiye.

Quran majeed ka faisla:

Jo log Musalmano me beyhayai phailanay ke aarzoomand rehte hain in ke liye Dunia aur Aakhirat me dardnak azab hai.

📕 Surah al Noor 19


13.​​ Aurtein kapdey pahen’ne ke bawjood barhana (Nangi) hongi

Hazrat Abu Huraira (R.A) farmate hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“2 kisam ke log jahannum waley hai jinhe maine (abhi) nahi dekha. ek tou wo Qoum hai jin ke paas bailon ki dummo jaise lathian honge aur in ke sath wo logon ko marienge.”

📕 Sahih Muslim kitab ul adab 2128

Note:

Aurton ka uriyaan libas mein zahoor Qayamat ki nishani hai. mojoda dour me yeh nishani aam hai.


14.​​ Ilm ka khatma aur jahalat mein izafa ho jayega

Hazrat Anas bin malik (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“ilm ka uth jana, jahalat aur qatal o gharat ka badh jana Qayamat ki nishanion mein se hai.”

📕 Sahih Bukhari kitab ul Ilm 80

Hazrat Abdullah bin Umro (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya:
Allah Ta’ala (Zabardasti) logon (ke seeno) se ilm nahi khichiega balkey Ulma ke khinchney (maut) ke sath ilm bhi khinch lega yahan tak ke koi Aalim baaki nahi raheyga phir log jahilon ko sardar bana lengey, in se sawal kia jayega tou wo bila ilm jawab denge jis ke nateeja me khud bhi gumrah hongey aur logon ko bhi gumrah karienge.”

📕 Sahih Bukhari kitab ul ilm 100

Hazrat Zaid bin Labaid (R.A) farmatey hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne ilm uth jane ka tazkira farmaya tou main ne kaha: Ya Rasool Allah ﷺ! ilm kaise khatam ho jayega halankey hum Quran padhte hai aur apni Aulad ko padhatey hai (wo apni Aulad ko padhate rahenge tou is tarah) yeh silsala Qayamat tak jaari rahega.

Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Ibne Labaid! Teri Maa tujhe gum paye, main tou tuje Madina ka samajhdar aadmi samajhta tha. kya Yahood-o-Nasar Tauraat aur injeel nahi perhte? magar yeh log in se koi nafa hasil nahi karte.”

📕 Masnad Ahmad 219/4
📕 Sunan ibne Majah 4097

Note: “Teri Maa tujhe gum paye” yeh ek muhawra hai. 

Hazrat Huzaifa (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
ilm Mit’ta chala jayega jis tarah kidey ke nishanat mittay chalay jatey hai hatta ke log Namaz, Roza, Zakat aur Qurbani ka tasawwur bhi bhool jayenge. Quran majeed utha lia jayega aur kuch budhey Mard o zun baki reh jayengey jo kahenge hum ne tou apne Abaa o Ajdaad se sirf yeh Kalma (la ilaha illallah) suna hai lihaza hum bhi wohi kalma dohratay hain.”

📕 Fatah al bari 16/13
📕 Sunan ibne Majah 4049

Ek riwayat me hai ke: 

“Qayamat is waqt qayem hoge jab Zameen per Allah! Allah! pukarney wala bhi koi na bacheyga.”

📕 Sahih Muslim kitab ul iman 148

Note:

Ilm ka uth jana Qayamat ki ek nishani hai. yeh nishani b Aahista Aahista zahir ho rahi hai. Deen se doori, deen ke barey me na wakfiyat isi ke ziman me aata hai.


15.​​ Zina aam ho jayega

Hazrat Anas bin malik (R.A) farmate hai ke main tumhe aisi hadees na sunau jo main ne Allah ke Rasool (ﷺ) se suni thi aur mere ilawa koi aur wo hadees tumhe nahi sunayega. Maine Hazoor (ﷺ) ka irshad e garami suna ke Qayamat ki Nishanion me se hai ke ilm utha lia jayega, jahalat barh jayegi, Zina aam hoga, Sharab ba Qasrat pee jayegi, aadmi thodey aur Aurtien Ziada ho jayengi.
📕 Sahih Bukhari kitab ul nikah 5231

Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya: is Zaat ki Qasam jis ke hath me meri jaan hai yeh ummat is waqt tak khatam na hogi jab tak ke (yeh halat na ho jaye ke) Aadmi Aurat ke sath bhare bazar Zina karega aur is waqt behtareen aadmi wo hoga jo yeh baat kaheyga: kash tum isey deewar ke peeche ley jatey.
📕 Majma al Zawaid 331/7

Note: 

Yaani Qayamat ke kareeb Zina itna aam ho jayega ke log khuleaam karne lag jayenge. Aur us dour me wo shakhs accha mana jayega jo aise zina karnewalo ko ye nasihat karega ke kash tum log khuleaam karne ke bajaye deewar ke piche ja kar karte.

 
Hazrat Abu amir (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: meri ummat me kuch aise log paida hongey jo zinakari ko halal kar leingey.
📕 Sahih Bukhari 5590

Note:

Zinakari ka aam hona Qayamat ki ek nishani hai. moujuda dour me yeh zina kari jungle me aag ki tarah tamaam aalm-e-islam me phail ker Musalmano ke iman ko jala ker raakh bana rahi hai.

Zina ek kabeera Gunnah bhi hai jis ki Shariyat me hadd batai gayi hai ke agar zani Shadi Shuda na ho tou isay100 kodey lagaye jayen aur ek saal ke liye jila watan ker dia jaye aur agar zaani shadi shuda ho tou isey rajam kar dia jaye.


16.​​ Sharab Halaal Samjhi jayegi

Hazrat Abu malik ash’ari (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Meri ummat me kuch aise burey log paida ho jayenge jo Zinakari, Reshmi libas, Sharab aur ganey bajanay ko halal bana lengey.”

📕 Sahih Bukhari kitab ul ashraba 5590

Hazrat Anas bin Malik (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Qayamat ki nishanion me se hai ke ilm utha lia jayega, jahalat badh jayegi aur Sharab qasrat se pee jayegi.

📕 Sahih Bukhari kitab ul nikah 5231

Hazrat Ibada bin Samat (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Meri Ummat me se kuch log Sharab ko halal bana lengey aur is ka Naam badal lengey aur jab tak yeh amlamat zahir na ho jaye Qayamat qayem nahi hogi.”

📕 Masnad Ahmad 318/5
📕 Ibne maja 33/14


17.​​ Mausiqui – Music, Gana bajana aam ho jayega

Hazrat Abu Amir (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Meri ummat me kuch aise burey log paida hongey jo Zinakari, Reshmi libas, Sharab aur Ganey bajanay ko halal ker lengey aur (in me se) kuch log pahad ki choti per (apne banglon me rihayash ke liye) chaley jayengey. in ke charwahey subah o shaam janwar layengey aur ley jayengey.
in ke paas koi faqeer apni hajat ki gharz se aayega tou wo talnay ke liye isey keh deingey ke kal aana lekin Allah Ta’ala raat hi inhe (sarkashi ki waja se) halaq ker dega, in per pahad gira dega aur in me se baki bachney walon ko Qayamat tak ke liye bandar aur khanzeer ki soorton me masakh ker dega

📕 Sahih Bukhari kitab ul ashraba 5590

Hazrat Sahal bin Saad (R.A.) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
Meri ummat ka ek giroh Sharab o Kabab aur lahw o la’ab (musical shows) me raat guzarega phir subah ko wo Bandar aur Khanzeer ban chuke honge aur in me se jo bach jayengey in per Allah Ta’ala ek hawa bejhega jo inhe is tarah tabah barbad ker dega jis tarah pehle (nafarman) qoumo ko barbad kiya gaya. yeh saza inhe is liye milegi ke unho ne Sharab peenay, ganey bajanay aur ganey waliayan fahisha rakhne ko halal ker liya hoga.

Eik riwayat me hai ke:

Unho ne Allah ki muharmaat, Sood, Sharab aur Resham waghaira ke istamal ka jawaz muhaya ker lia hoga.

📕 Masnad Ahmad 325/5
📕 Majma al zawaid 19/8


18.​​ Rishtadari todi jayegi aur hamsaye bure honge

Hazrat Abdullah bin Umro (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat Qayem nahi hoge hatta ke beyhayai khub phail jayegi, Qata taluki aam hogi aur hamsaye burey hongey.”

📕 Masnad Ahmad 263/2
📕 Hakim 559/4
📕 Abdul razaq 40411
📕 Majma al zawaid 632/7

Hazrat Ibne Masood (R.A.) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat se pehle Tijarat, Jhoot, Tuqmaan e Haq aur Kitabat aam ho jayegi. Neez Rishtadari todi jayege.”

📕 Masnad Ahmad 509/1
📕 Hakim 493/4
📕 Majma al zawaid 635/7

Note:

Rishtadari ka todna Qayamat ki ek nishani hai. bohat se log Maal o Doulat ki chamak dhamak me andhey ho ke Ghareeb Rishtadaron ko bhool jatey hain. jabki Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Rishtadari todney wala kabhi jannat me dakhil na ho sakega.”

📕 Sahih Muslim 2556


19.​​ Log Ajnabi ban jayenge

Hazrat Huzaifa (R.A) marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) se Qayamat ke barey me pucha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya:
“is ka ilm mere Rab ke paas hai aur wohi is ke waqt se khoob wakif hai lekin main tumhe Qayamat ki kuch Alamatein batata hoon jo Qabal az Qayamat runuma honge.
Qayamat se pehle Fitna aur harj zahir hoga.
logon ne kaha: Ya Rasool Allah ﷺ! Fitna tou hum jantey hai yeh Harj kya hai?
farmaya Habshi Zaban me Harj ka matlab Qatal hai. (aur farmaya) log aapas me Ajnabi ho Jayengey goya koi ek dusre ko pehchanta hi nahi hai.”

📕 Masnad Ahmad 389/5
📕 Majma al zawaid 309/7

Note:

Logon ka Musalman hone ke bawjood ajnabi ho jana Qayamat ki ek alamat hai. yeh nishani mumkin had tak wazeh ho chuki hai magar batadreej is me izafa nagazeer hai.

Ek hi Masjid ke 2 Namazi bhi ek dusre ke halat se wakif nahi hotey balkay ek dusre ka naam bhi bas Aauqaat maloom nahi ker patey.


20.​​ Jhoot Qasrat se bola jayega

Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat qayem hone se pehle Fitney zahir hongey, jhoot bakasrat hoga, bazar qareeb ho jayenge.”

📕 Sahih Bukhari Kitab ul Fitan 7061

Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Aakhri zamaney me kuch aise (jhootey) zahir hongey jo (khud ghar ker) tumhe aise Hadeesein sunayenge jo tum ne aur tumhare aaba-o-ajdad ne bhi nahi suni hongi. lihaza in se mehfooz rehna ke kaheen tuhme Gumrahi ya Fitney me mubtala na ker dein.”

📕 Sahih Muslim muqadma 7

Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) se marvi hai ke: Shaitan insani soorat me kisi Qoum ke paas aa ker jhooti hadees sunayega aur logon me intshaar waqia ho jayega, in me se ek aadmi kahega ke main ne ek shakhs se yeh hadees suni hai jis ka chehra tou main pehchanta hun magar is ka naam nahi janta.

📕 Sahih Muslim Muqadma 17

Hazrat Abdullah bin Umro (R.A) farmatey hai ke: Samandar me Shaitan Qaid hai jin ko Suleman (A.S) ne Qaid kia tha. Anqareeb wo Niklenge aur logon ko Quran Sunayenge (yani dhoka dene ke liye jhoota Quran bana layengey).

📕 Sahih Muslim Muqadma 18

Note:

Jhoot ka phail jana Qayamat ki ek nishani hai. yeh nishani arsa daraz se zahir ho chuki hai aur din-ba-din badhti ja rahi hai.

Qayamat ke qareeb kuch log aise jahir hongey ke Allah ke Rasool (ﷺ) per jhoot bandhenge aur jhooti hadeesein garh ke logon ko suna kar Gumrah kareingey.

Aam guftugu me jhoot bolna bhi Gunnah hai lekin Ilm-e-Hadees me jhoot bolne ke barey me Nabi (ﷺ) ne farmaya ke:

“Jis ne jaan boojh ke mujh per jhoot bandha wo apna thikana Jahannum (aag) me bana ley.”

📕 Sahih Muslim muqadma 4


21.​​ Jhooti Gawahi di jayegi

Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) farmatey hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat se pehle jhooti gawahi di jayegi aur sachi gawahi chupai jayegi.”

📕 Masnad Ahmad 509/1
📕 Hakim 493/4
📕 Majma al zawaid 635/7

Note: 

Jhooti gawahi dena Qayamat ki nishani hai. Moujuda dour me yeh nishani bilkul wazeh hai. Nabi (ﷺ) ne jhooti gawahi ko kabeera gunnahon mein se qarar dia hai.

Aaj Humare adalton ka aksar nizam jhooti gawahion per munhasir hai. kiraye ke gawah bakasrat aur ba’aasani mil jate hai jin ke zariye har tarah ke najaiz muqadmaat ke jaiz faislay kerwa liye jatay hain.


22.​​ Bad’Amli phail jayegi

Hazrat Abu amama bahli (R.A) se marvi hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“islam ki kadiya ek ke baad toot’ti jayengi jab ek tootegi tou log dusri pakad lengey. sab se pehle hukm (amar e khilafat) aur sab se aakhir mein iqamat e salat (ki kadi) totegi.”

📕 Masnad Ahmad 316/5
📕 Hakim 104/4

Ibne Ferooz (R.A) se marvi hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya:

“Islam ki kadiyan darja ba darja tootti jayengi jis tarah rassi (zanjeer) waqfa dar waqfa toot’ti hai.”

📕 Masnad Ahmad 317/4

Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat qayem nahi hogi hatta ke zamana qareeb aa jaye ga aur amlon me kotahi paida ho jayegi.”

📕 Sahih Bukhari Kitab ul Fitan 7061

Hazrat Abdullah bin Masood (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Qayamat ki nishanion me se hai ke ek aadmi masjid (ke paas) se guzrega magar is me 2 rakatein (tahaya tul masjid) ada nahi karega.”

📕 Ibne Khazeema 283/2
📕 Silsala al Saheeha 253/2
📕 Majma al Zawaid 329/7

Hazrat Anas (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“logon per ek aisa dour aayega ke in me apne deen (ki hifazat) per sabar kerne wala is shakhs ki manind hoga jo aag ke angarey ko apni muthi me thamney wala hai.”

📕 Sunan Tirmizi Kitab ul Fitan 2260

Note: 

Islami taleemaat se kinarakashi Qayamat ki nishani hai. islami taleemat me sab se pehle nizam e imarat o khilafat ki kadi toteygi aur tareekh gawah hai ke fil waqye khilafat e islamia ka inqata khudmukhtar o neem khudmukhtar rayaston ke qayam se jshuru huwa.

bad’amli ke farogh ke liye sab se aakhri me iqamat e salat jaise aham fareezay ko chora jaye ga. aaj kal masajid qareeb hone ke bawjood is farz ko chora ja raha hai.

To be Continued …

InshaAllah ! Series ka agla hissa kal rozana Subah 8 baje post kiya jayega

]]>
https://ummat-e-nabi.com/qayamat-ki-nishaniyan-series-part-2/feed/ 0 42707
Islamic Quiz 155 : Tay kiya hua Mahr agar Shohar ada na kare tou wo Kounse Gunaah ka Murtakib hoga? https://ummat-e-nabi.com/islamic-quiz-155/ Fri, 09 Dec 2022 16:21:43 +0000 https://ummat-e-nabi.com/?p=41887 Tay kiya hua Mahr agar Shohar ada na kare tou wo Kounse Gunaah ka Murtakib hoga? (A). Chori, (B). Bakhili, (C). Zinaa]]>

Islamic Quiz 155

Tay kiya hua Mahr agar Shohar ada na kare tou wo Kounse Gunaah ka Murtakib hoga?

A. Chori

B. Bakhili

C. Zinaa

D. Sahih Jawab Ka Intezaar

Islamic Quiz 155 : Tay kiya hua Mahr agar Shohar ada na kare tou wo Kounse Gunaah ka Murtakib hoga?

Sahih jawab hai : Option ( C )

✅ Zinaa

Daleel :

۞ Hadees: Rasool-e-Kareem (ﷺ) farmate hai –

“Jo Shakhs Nikah karey aur Mehar deney ki Niyat na ho usney Zinaa kiya, aur Jo Shakhs Udhaar Ley aur Wapas deney ki Niyat na ho usney daka dala.”

📕 At-Targib Wat-Tarheeb, Hadith 1807


♥ In’sha’Allah ul Azeez !!!
– Allah rabbul Izzat Hume har Kism ke Sagira aur Kabira Gunaho se Bachaye,
– hume Hukuk Allah Aur Hukuk Al Ibad me kotahi se bachaye,
– Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey,
– Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

]]>
41887
Aulaad ki Tarbiyat – Part 2 https://ummat-e-nabi.com/aulaad-ki-tarbiyat-part-2/ https://ummat-e-nabi.com/aulaad-ki-tarbiyat-part-2/#respond Mon, 22 Aug 2022 19:53:44 +0000 https://ummat-e-nabi.com/aulaad-ki-tarbiyat-part-2/ Aulaad ki Tarbiyat – Part 2 Aulaad ki Tarbiyat kaise kare ? Ab aulaad ki tarbiyat kaise karey , kya iske liye usool apnaye , kounse nuqaat (points) ko dhyan me rakhey? in’sha’allah chand nuqaat aapke samne hum rakhne ki koshish karenge. inme kuch baate hum asi bhi rakhenge jispar aapko tajjub bhi ho sakta... [Read More]]]>

Aulaad ki Tarbiyat – Part 2

Aulaad ki Tarbiyat kaise kare ?

Ab aulaad ki tarbiyat kaise karey , kya iske liye usool apnaye , kounse nuqaat (points) ko dhyan me rakhey? in’sha’allah chand nuqaat aapke samne hum rakhne ki koshish karenge. inme kuch baate hum asi bhi rakhenge jispar aapko tajjub bhi ho sakta hai ke is cheez ka Aulaad ki tarbiyat se kya rishta, tou aayiye ispar gour karte hai.

Ek Shakhs they! wo ek Aalim ke paas gaye aur kaha: “Mai Apni Aulad ki Tarbiyat ke talluk se bada Pareshan hu”

Uss Aalim ne pucha: “kya Umar hai Aapke Bacche ki ?”, Uss Shakhs ne kaha : “4 ya 5 Mahine”

Tou wo Aalim kehte hai ke: “Uski Tarbiyat ka Waqt tou chala gaya…” Wo Shakhs pareshan ho gaya ke 4 ya 5 mahine ke Bacche ki Tarbiyat ka wakt aise kaise chala gaya.

Tou uss Aalim ne jawab diya aur kaha: Aulad ki tarbiyat me sabse pehla nukta ye hai ke uske liye acchi maa chunkar laya jaye” Subhan’Allah !

Beshaq Aulad ki Tarbiyat me Maa ka Aham Qirdaar hai, lihaja uske liye Sahih Maa ka Intekhab karna Tarbiyat ka sabse pehla aur Aham Marhala hai.

A) Tarbiyat ka 1st Marhala

› Nek aur Deendar Maa ka Intekhab:

Umar bin khattab (RaziAllahu Anhu) ke paas ek Shaksh laya gaya , jiske Walid ne usey Ghasit kar laya aur kaha ke “Aye Ameer-ul-mominin ! mera ye beta meri baat hi nahi sunta.”

Pucha gaya ke kyu baat nahi suntey apne waalid ki ?..  tou us Ladke ne kaha ke – “Aye Ameer-ul-Mominin ! pehle Mai Aapse ek Sawal karta hu ke “Aulaad ke Haq kya hai?”

Usey bataya gaya ke: “Aulaad ke liye sabse pehla Haq ye hai ke uskey liye sabse Acchi Maa ka intekhab kiya jaye.”

tou ye sabse Aham cheez hai Aulaad ki Tarbiyat me uske liye acchi Maa ka intkhab kare aur zahir si baat hai ke jo insan apne liye Acchi Biwi talab karega fir wo bhi tou uska Mustahik hoga yaani Nek aur Deendar Sifat ka Haamil hoga.

Lihaja jo log chahtey hai ke unki Aanewali Naslo ki Tarbiyat Kitabo Sunnat ke mutabik ho tou Nikaah se pehle hi Ghar ke Zimmedar apni Beti ke liye accha Shohar, bete ke liye Acchi Biwi ya khud shakhs apne liye acchi Biwi ka Intekhab karey aur acchi se muraad Deendari hai.

Iske taaluk se Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai:

“Aurto se Nikah 4 chezo ki buniyad par kiye jate hai, lekin tum Deendari ko thaam lo.”

Bukhari: jild 3, Safa 59

Yaani Deendar Aurat se Nikaah karke Duniya aur Aakhirat ki kamiyabi hasil karlo aur acchi Nek Sifat Deendar Aurat ko hasil karne ke talluk se Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai :

“Ye Duniya tamam ki tamam khair ki cheez hai, kamane ki cheez hai aur usme sabse khair jo cheez hai wo hai Nek Aurat (Biwi)”

Sahih Muslim

Tou apne liye Nek Biwi aur apni Aulaad ke liye Nek Maa ka intekhab ye bohot hi Aham cheez hai. ye apne hone wali Aulaad ki Tarbiyat ka sabse pehla aur Aham Marhala hai.

♥ In sha Allah ul Azeez ! Allah Ta’ala hume kehne Sun’ne se jyada Amal ki taufik dey ..

To be Continue …

]]>
https://ummat-e-nabi.com/aulaad-ki-tarbiyat-part-2/feed/ 0 17883
Aulaad ki Tarbiyat – Part 1 https://ummat-e-nabi.com/aulaad-ki-tarbiyat-part-1/ https://ummat-e-nabi.com/aulaad-ki-tarbiyat-part-1/#respond Mon, 22 Aug 2022 19:47:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/aulaad-ki-tarbiyat-part-1/ Aulaad ki Tarbiyat – Part 1 Allah ke Naam se Shuru Jo tamam jahano ko banane wala aur usey palney wala hai! aur Duroodo Salaam ho Uskey aakhri Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) par. Aaj kal aksar dekha jata hai ke Waldain apni Aulad ke talluk se Pareshan rehte hai ke kis tarha unki Tarbiyat ki... [Read More]]]>

Aulaad ki Tarbiyat – Part 1

Allah ke Naam se Shuru Jo tamam jahano ko banane wala aur usey palney wala hai! aur Duroodo Salaam ho Uskey aakhri Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) par.

Aaj kal aksar dekha jata hai ke Waldain apni Aulad ke talluk se Pareshan rehte hai ke kis tarha unki Tarbiyat ki jayey. kis tarha unhe accha Momin banaye. aur yahi cheez yaani Aulaad ki Tarbiyat aaj ke Jadeed dour me ek Sangeen masla hai, aur iski Shiddat har Gujarne wale saal me badhti ja rahi hai.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!

Hum is unwan me Aulad ki Tarbiyat ke tehat kuch Nuqaat (points) aapke samne rakhne ki koshish karenge, Aapse hazraat se darkhwast hai ke ispar jarur tawajjo de aur jitna ho sakey isey jyada se jyada logon tak pohochane me humari madad kare.

Sabse Pehli Baat ye ke

“Aulad Allah Rabbul Izzat ki taraf se ek Nemat hai.”

Aur jaisa ke har Nemat ke Talluk se Allah Rabbul Izzat Humse puch Karega tou Aulad bhi ek Nemat hai lihaja Iske Talluk se bhi sawal kiya jane wala hai ke kya aur kaise iski tarbiyat ki ?

Jiske talluk se Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai :

Aye wo logo jo Iman laye ho! Apne Aap ko aur Apne Ahlo Ayal ko Jahannum ki us Aag se bachao jiska indhan Insan aur Patthar honge.

Al-Quran 66:6

Tou yaha Allah Rabbul Izzat ne Apne bando par ye Farz kar diya hai ke, Mere bando apne aapko aur apne biwi baccho ko Jahannum ki Aag se bachao, yaani unki aisi tarbiyat karo ke wo Halal aur Haram me tafreeq kar sakey, Allah aur Uske Rasool ki farmabardari karey aur har Uss amal se bachey jo duniya aur aakhirat ke khassare ka sabab baney.

Tou Aulaad ki Tarbiyat yaad rakhiye bohot aham aur sangeen masla hai, Iski Ahmiyat aur Jarurat ko samjhiye, iske duniyawi aur ukhravi faydo ko janiye, agar humne aisa na kiya tou dunia aur aakhirat ka bada nuqsan uthana lazim hai.

Aulaad ki Tarbiyat na karne ke Nuqsanat:

Aulaad Walidain se jhagda karti hai, Waldain ko Gaaliya deti hai, Aas-Pados ko, Mahoul aur Muashre ke logo ko takleef pohochati hai, Walidain ko Ruswa karke Ladke Ladkiya bhagakar kar Nikah kar lete hai, Budhey Waldain ko Ghar se nikaal kar Old Age Home me chorr aatey hai, hatta ke chand Duniyawi mafad ke liye Waldain ka Qatl tak kar lete hai (Astagfirullah).

Aise Qaqiyat ki fehrist hum nikalenge tou bohot lambi hoti jayegi. beharhaal ye sirf aur sirf Aulaad ki sahi Tarbiyat na karne ka natija hai. aur pata bhi nahi aise kitne Zurm hotey hai jiski Sangeeni aur inteha hum bayan bhi nahi kar sakte.

– is liye kyunki Aulad ki sahi Tarbiyat nahi hoti. aur jab ek Baccha Apne Waldain ke sath ye Sulooq karta hoga Mu’ashre aur Mahoul, Padosi aur Musafiro ka, sath wale logon ka kya Sulooq karta hoga wo tou sirf Gumaan hi kiya ja sakta hai.

Tou Aulaad ki Tarbiyat ye bohot Aham masla hai yaad rakhiye aur Agar Humne ye na kiya tou Dunia aur Aakhirat ki badi ruswayi hai humare liye.

♥ In’sha’Allah ! Agle Part 2 me Hum Aulaad ki Tarbiyat ke talluk se chand aham Nuqaat par Gour karenge.

To be Continue …

]]>
https://ummat-e-nabi.com/aulaad-ki-tarbiyat-part-1/feed/ 0 17881
Quran ke Nuzool ka Asal Maqsad aur Humara Haal https://ummat-e-nabi.com/quran-ke-nuzul-ka-asal-maksad/ https://ummat-e-nabi.com/quran-ke-nuzul-ka-asal-maksad/#respond Sun, 31 Jan 2021 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/quran-ke-nuzul-ka-asal-maksad/ Quran ke Sath Humara Sulooq Aaj ilm ki kami ki wajah se hum Qur’an ke Nuzool ke Asal maksad se mehroom reh gaye, aur sirf Sawab ke Lalach me Quraan ka istemaal karne lag gaye. Jaise missal ke tour per humari Musalman behne Sawab ke liye Quran Arbi me padhti rehti hai aur padhte hue... [Read More]]]>

Quran ke Sath Humara Sulooq

Aaj ilm ki kami ki wajah se hum Qur’an ke Nuzool ke Asal maksad se mehroom reh gaye, aur sirf Sawab ke Lalach me Quraan ka istemaal karne lag gaye.

Jaise missal ke tour per humari Musalman behne Sawab ke liye Quran Arbi me padhti rehti hai aur padhte hue Surah Nisa ki aayat 3 aati hai jaha Allah Ta’ala fermata hai ke “Aye Musalman Mard Aadmi tum 2,3,4 biwiyo se nikah kar sakte ho.”

Ab inhone padha Arbi me aur Allah se dua ki ke “Aye Allah har Harf ke badle 10-10 neki hona.”

Lekin jab inka shohar kabhi dusra nikah karne gaya tou “kaisa karta dekhti mai,..” MashaAllah

Arey lekin quraan me hukm hai na !

“Honga Quran me lekin mujhe kya ?….”

SubhanAllah! Andaza bhi hai kya Sulooq karte hai hum Allah ki nazil karda hidayat ka.

Zindagi bhar hum isey Mehaj Sawab ke Lalach me hi padhte hai lekin kabhi iske Maney Mafhoom par Gouro Fikr nahi karte.

jabki Sawab tou bonus hai wo tou mil jayega in’sha’Allah !!!

Alahmdulillah! Quran ki Tilawat ki Fazilat apni jagah hai, Lekin Quran ka Asal maksad Insaniyat ki Hidayat hai.

jiske Talluk se Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me farmata hai:

” Aye Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam)!
Ye Mubarak Kitab (Quraan) hai Jisey Humne Aapki taraf Iss liye Nazil kiya ke log iski Aayto par Gour kare aur Aqalmand is se Naseehat hasil kare. “

[ Al-Quran, Surah Saad 38:29 ]

✦ Quran ke Nuzool ka Asal Maqsad hai ‘Insaniyat ki Hidayat

Tou Quran ke Nuzul ka Asal Maksad Hidayat hai, lekin fir bhi hum isey mahaz Sawab ke liye padhtey hai, yahi wajah hai ke hum Allah ki hidayat se Mehrum reh gaye. aur jahalat hum par taari hui.

Jiska fayda Ummat ke Baaz Sharr Pasand logo ne khub uthaya.

“Humey Maslaki aur Firqawariyat me Ulzaya, Quraan se hidatar hasil karne ke bajaye isey Murdo par bakhswaya, beshumar biddate ijad kar inhone Apni batil Dukane khub chalayi.

lekin kabhi hume Quran ke Asal maksad se Taroof nahi karwaya, Siway Ulemaye Haq ke.

Lihaja mere Azeezo! Aaj agar hume Zillat aur Ruzwayi se bahar nikalna hai tou hume chahiye ke hum Quraan e Kareem ki hidayat ko samjhey, iske Maaney Mafhoom par Gour kare.

Aur jitna ho sakey ispar khud bhi amal kare aur dusro ko bhi iski dawat dey.

♥ In’sha’Allah Ul Azeez !!!
Allah Rabbul Izzat Se Aakhir Me Dua hai ke –
Allah Hume Kahne Sun’ne se Jyada Aml ki Taufik dey.
Hum Tamam ke liye Quraane Majid Ko Padhna , Samjhna Aur Uspar Amal Karna Aasan Farmaye.
Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda Rakhey.
Khatma Humara Imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

]]>
https://ummat-e-nabi.com/quran-ke-nuzul-ka-asal-maksad/feed/ 0 18401
Jo Shakhs Nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho usney Zinaa kiya https://ummat-e-nabi.com/jo-shakhs-nikah-karey-aur-mehar-dene-ki-niyat-na-ho-usney-zinaa-kiya/ https://ummat-e-nabi.com/jo-shakhs-nikah-karey-aur-mehar-dene-ki-niyat-na-ho-usney-zinaa-kiya/#respond Thu, 04 Apr 2019 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/jo-shakhs-nikah-karey-aur-mehar-dene-ki-niyat-na-ho-usney-zinaa-kiya/ Hadees of the Day Nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho usney Zinaa kiya TRANSLITERATION Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Rasool-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: “Jo shakhs nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho usney Zinaa kiya aur jo shakhs Udhaar(Qarz) le aur wapas dene ki niyat na ho usney... [Read More]]]>

Hadees of the Day

Nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho usney Zinaa kiya

TRANSLITERATION

Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:

“Jo shakhs nikah karey aur Mehar dene ki Niyat na ho usney Zinaa kiya aur jo shakhs Udhaar(Qarz) le aur wapas dene ki niyat na ho usney daka dala.”

📕 At-Targib Wat-Tarheeb 1807


HINDI

अबु हुरेराह (प्रेषित के अनुयाई) कहते है के,
अल्लाह के प्रेषित मुहम्मद (ﷺ) ने फरमाया:

“जो शख्स अपनी पत्नी से मेहर का भुगतान नहीं करने के इरादे से शादी करता है वह जानी (व्यभिचारी) है। और जो व्यक्ति वापस ना लौटाने के इरादे से कर्ज़ लेता है वोह चोर है।

📕 अत तरगिब व तरहीब 1807

]]>
https://ummat-e-nabi.com/jo-shakhs-nikah-karey-aur-mehar-dene-ki-niyat-na-ho-usney-zinaa-kiya/feed/ 0 17542
Humbistari Kaise Karen | Humbistari ka Tarika aur Galatfehmiya https://ummat-e-nabi.com/jima-humbistari-ka-sharayi-tarika-aur-galatfehmiya-by-adv-faiz-syed/ https://ummat-e-nabi.com/jima-humbistari-ka-sharayi-tarika-aur-galatfehmiya-by-adv-faiz-syed/#respond Fri, 15 Feb 2019 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/jima-humbistari-ka-sharayi-tarika-aur-galatfehmiya-by-adv-faiz-syed/ humbistari kaise karte hain? Islam mein Humbistari ka tarika aur iske baare mein Galatfehmiyon ka ijala by Ahle Sunnat (Sunni) Aalim Adv Faiz Sayed, Humbistari ki Dua Aur bhi Padhe: निकाह के मसाइल | ख़ुत्बाए निकाह, मेहर, हमबिस्तरी, वलीमा People also Search as: Humbistari ka Sunnat tariqa in Islam, Humbistari ka Pakiza Tariqa, Humbistari Aadab... [Read More]]]>

humbistari kaise karte hain?

Islam mein Humbistari ka tarika aur iske baare mein Galatfehmiyon ka ijala by Ahle Sunnat (Sunni) Aalim Adv Faiz Sayed, Humbistari ki Dua

Aur bhi Padhe: निकाह के मसाइल | ख़ुत्बाए निकाह, मेहर, हमबिस्तरी, वलीमा

People also Search as:

Humbistari ka Sunnat tariqa in Islam, Humbistari ka Pakiza Tariqa, Humbistari Aadab aur Masail, Humbistari ki Dua

Humbistari kaise kare, Biwi se Humbistari ka tarika, Humbistari meaning.

Ramzan me Humbistari ka tarika. Humbistari ki Dua in urdu, Humbistari in Roza.

]]>
https://ummat-e-nabi.com/jima-humbistari-ka-sharayi-tarika-aur-galatfehmiya-by-adv-faiz-syed/feed/ 0 19095
Nikah ki Mubarakbaad dene ki Dua – Dua for blessings in marriage https://ummat-e-nabi.com/shadi-ki-mubarak-baad-dene-ki-dua/ https://ummat-e-nabi.com/shadi-ki-mubarak-baad-dene-ki-dua/#respond Tue, 11 Dec 2018 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/shadi-ki-mubarak-baad-dene-ki-dua/ Nikah karne wale ke liye Dua ۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) jab kisi ko Nikah ki Mubarak-Baad detey tou ye Dua kehte: بَارَكَ اللّهُ لَكَ وَبَارَكَ عَلَيكَ وَجَمَعَ بَينَكُمَا فِى خَيرٍ 〘 Barak’Allahu Laka Wa Barak Alaik Wa Jama’aa Baynakuma Fi Khairin. 〙 [ Allah tumko barqat de aur... [Read More]]]>

Nikah karne wale ke liye Dua

۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) jab kisi ko Nikah ki Mubarak-Baad detey tou ye Dua kehte: بَارَكَ اللّهُ لَكَ وَبَارَكَ عَلَيكَ وَجَمَعَ بَينَكُمَا فِى خَيرٍ

Barak’Allahu Laka Wa Barak Alaik Wa Jama’aa Baynakuma Fi Khairin.

[ Allah tumko barqat de aur tum par barkat nazil kare aur tum dono ko bhalayi ki taufiq dey | (अल्लाह तुमको बरकत दे और तुम पर बरकत नाज़िल करे और तुम दोनों को भलाई की तौफीक दे | May Allah bless for you, and may He bless on you, and combine both of you in good (works). ]

📕 Sunan Abu Dawood 2130, Hadith 85


Shadi karne aur Sawari kharidne wale ke liye Dua

۞ Hadees: Nabi kareem (ﷺ) ne farmaya:
jab tum mein se koi shakhs shaadi kare ya khaadimah khareede to woh yeh kahe:

Allaahumma innee as a’luka khyrahaa wa khayra maa jabaltahaa alayhi wa a’oozu bika min sharrihaa wa sharri ntaa iabaltahaa alayhi.

Aye Allah! main tujh se iski bhalayi aur jis par ise paidah kiya gaya uski bhalayi ka sawaal karta hoon, aur main iske sharr aur jis par isey paida kiya gaya hai uske sharr se teri panaah maangta hoon. jab koi ount khareede to uski kohaan ko pakad yahi kahe.

📕 Sunan Abu Dawood:2160-Hasan,
📕 Sunan Ibne Majah:1918, 2252,
📕 Mustadrak Hakim:2/185.


Biwi se Humbistari ki Dua

Bismil-lah, allahumma jannibnash-shaytan, wajannibish-shaytana ma razaqtana.

Allah ke naam ke saath, Aye Allah! humen shaitaan se bachaa aur
jo tu humein ataa kare usey bhi shaitaan se bacha.

📕 Sahih Bukhari.6115,
📕 Sahih Muslim, Kitabui Bir Wasilah: 2610

[post-content id=”20074″]

]]>
https://ummat-e-nabi.com/shadi-ki-mubarak-baad-dene-ki-dua/feed/ 0 16728
3 Batey Jise Haqeeqat aur Mazak me kehna bhi Haqeeqat hai https://ummat-e-nabi.com/3-batey-jise-haqeeqat-aur-mazak-me-kehna-bhi-haqeeqat-hai/ https://ummat-e-nabi.com/3-batey-jise-haqeeqat-aur-mazak-me-kehna-bhi-haqeeqat-hai/#respond Tue, 18 Oct 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/3-batey-jise-haqeeqat-aur-mazak-me-kehna-bhi-haqeeqat-hai/ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
“Teen Baatey Aisee hain jisko Haqeeqat me kehna bhi haqeeqat hai aur Mazak me kehna bhi Haqeeqat ho jata hai ,
(Wo teen Baatey hai) Nikah, Talaq aur Ruju (yaani Talaaq ke baad Biwi ko wapas apna lena).”
– (Sunan Ibn Majah, JIld 2, 196-Sahih)

]]>
https://ummat-e-nabi.com/3-batey-jise-haqeeqat-aur-mazak-me-kehna-bhi-haqeeqat-hai/feed/ 0 18017
Namaz Ki Niyat Ka Tarika | Qurano Sunnat ki Roshni me https://ummat-e-nabi.com/namaz-ki-niyyat/ https://ummat-e-nabi.com/namaz-ki-niyyat/#respond Sun, 25 Sep 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/namaz-ki-niyyat/ Rasool’Allah (ﷺ) Ne Farmaya: ❝ Amalo’n ka Daromadar Niyyato’n par hai.❞ [ Bukhari: Bida Al Wahee 1, Muslim: Al Imaarah 1907] is liye zaroori hai ke hum apne tamam (Jayez) amaal me (sab se pehle) pur Khuloos Niyat kar liya karey kyunke jaisi Niyyat hogi waisa hi Ajar (badla) milega. Wuzu karte waqt dil me... [Read More]]]>

Rasool’Allah (ﷺ) Ne Farmaya:

Amalo’n ka Daromadar Niyyato’n par hai.

[ Bukhari: Bida Al Wahee 1, Muslim: Al Imaarah 1907]

is liye zaroori hai ke hum apne tamam (Jayez) amaal me (sab se pehle) pur Khuloos Niyat kar liya karey kyunke jaisi Niyyat hogi waisa hi Ajar (badla) milega.

Wuzu karte waqt dil me ye niyyat karei’n ke Allah ke huzur (Namaz me) hazir hone ke liye Taharat (Wuzu) karne laga hu’n aur phir jab Namaz padhne lagein tou dil me ye qasad aur Niyat karey ke sirf Allah hi ki Khushnudi ke liye iska hukam baja laata hoon.

Niyyat kyun ke dil se ta’alluq rakhti hai is liye Zubaan se ada karne ki koi zarurat nahi aur Niyat ka zuban se ada karna RasoolAllah (ﷺ) ki Sunnat aur Sahaba ke amal se saabit nahi.

– Apne Dil me kisi kaam ki Niyyat karna aur zarurat ke waqt kisi ko apni Niyyat se aagah karna ek jayez baat hai magar Namaz se pehle Niyyat padhna aqal, naqal aur lughat teeno’n ke khilaaf hai.

Hajj ka talbiyya Saheeh hadeeso’n se sabit hai wo Nabi-e-kareem (ﷺ) ki pairwee me kehna zaroori hai magar Namaz waali marwajja Niyyat kisi hadees me warid nahi hui’

Reh gaya Nikah me Ejab-o-Qubool ka masla, kyuke Nikah ka talluq Huqooq-ul-Ibaad se bhi hai aur Huqooq-ul-Ibaad me mahez Niyyat se nahi balke Iqraar, tehreer aur gawahi se muamlaat tay patey hai.

– jabke Namaz tou banda apne Rab ke huzoor khada hota hai jo tamam Niyyato’n ko khoob jan’ne wala hai phir waha’n Niyyat padhne ki kya zaroorat hai, lehaza Ahle Islam se guzarish hai ke is Biddat se najat paye aur Sunnat ke mutabiq Namaz ka aghaz karey.

Related Post

 

]]>
https://ummat-e-nabi.com/namaz-ki-niyyat/feed/ 0 17965
Ek Ummat fir 4 Imaam ki taqleed kyu ? (Taqleed ki Hakikat) https://ummat-e-nabi.com/ek-ummat-fir-4-imaam-ki-taqleed-kyu/ https://ummat-e-nabi.com/ek-ummat-fir-4-imaam-ki-taqleed-kyu/#respond Fri, 11 Mar 2016 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/ek-ummat-fir-4-imaam-ki-taqleed-kyu/ ‟ Hanfi ? Shafayi ? Maliki ? Hanbali ? ✦ Sawaal: Ek Rab , Ek Rasool , Ek Ummat fir 4 Imam ki Taqleed kyu ? » Jawaab: 1). Sabse pahli baat ke kisi bhi Ummati ki koi baat agar Kitabo Sunnat se mail khati ho tou behrhaal uskey man’ne me koi harz nahi. 2).... [Read More]]]>

‟ Hanfi ? Shafayi ? Maliki ? Hanbali ?

✦ Sawaal: Ek Rab , Ek Rasool , Ek Ummat fir 4 Imam ki Taqleed kyu ?
» Jawaab: 1). Sabse pahli baat ke kisi bhi Ummati ki koi baat agar Kitabo Sunnat se mail khati ho tou behrhaal uskey man’ne me koi harz nahi.

2). Dusri baat yeh hai ke Hajir dour ke logon se behtar hai jo pichle gujar chukey ho unki baat li jaye. kyunki wo Juhad, Taqwe aur Zamane ke lihaj se RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se jyada nazdiq they. Jaisa ke kuch log haal ke dour ko mantey hai us’se behtar hai ke jo pichle gujre hai unko mana jaye ,..

3). Aur tisri baat ke Taqleed mutlaqan (100%) haraam nahi hoti. kuch jagah aa kar jab Kitabo Sunnat se muamla nahi milta jo Ulema akaz karke detey hai, usko bhi Taqleed kaha jata hai Arbi zubaan me.

haa! lekin agar taqleed se muraad yeh ke ‘bagair sochey samjhye kisi ke pichey chal padna fir yeh durust nahi’..iski ijajat Shariyat nahi deti. aur iskey bil-mukabil Allah Ta’ala ne Surah Yusuf ki ayat no.108 me farmaya..

“Qul haazihee sabeeleee” keh dijiye yeh mera rasta hai’ ,
“Ad’ooo ilal laah” mai logon ko allah ki taraf bulata hu’ ,
“Alaa baseera tin” aqalmandi ke sath mai bhi bulata hu’ ,
“Ana wa manit taba’anee” mere pairokaar bhi baseerat se bulatey hai’.
– (Al Quran: Surah yusuf: 12:108)

Tou kisi shakhs ne Aqal aur Baseerat ka pura istemal kiya, Kitabo Sunnat se koi dalayeel akaz kiye jiska sidhe aur wajeh koi baat Quraano Hadees me humko nahi mil rahi thi tou isko bhi Arbi Zubaan me taqleed kaha jata hai aur isko man’ne me koi harz nahi.

Lekin ha! agar Taqleed se muraad galey me patta daal kar kisi ke pichey chal dena tou Shariyat iski izajat nahi deti. jabke Shariyat ne Itteba ka hukm diya. RasoolAllah(Sallallahu Alaihay Wasallam) ki bhi itteba Allah ki itteba hai. Allah aur uske Rasool ki taqleed ka hukm nahi diya. Aur Taqleed ka lafz Quraano Hadees me aata bhi nahi hai. Illah ke “khalayda” lafz aaya hai janwaro ke talluk se pattey dalne ka bus usi tarha.

✦ Momin to itteba ke mukallaf hote hai.

Ab iske bawajud koi kahe ke  “kya Taqleed mutlaqan Haraam hai ?
tou hum kahenge “Nahi! kyunki kuch Masayeel, kuch muamlaat me aakar hum badey Ulemao ke hawale fir dete hi hai. “ke iss Muamle me unhone falah cheez akaz ki.” yeh bhi tou Kitabo Sunnat ki dalayeel ka kuch akaz karke diya jo sidhey se nahi mila hume, tou isko bhi Arbi Zuban me taqleed kaha jata hai aur yeh taqleed durust hai.

✦ Taqlid ke bare me Ifrad aur tafreed:

Ab logon ne taqleed ke bare me 2 moukuf bana diye
(1) Ek boltey hai ke Taqleed mutlaqan haraam hai.
(2) Aur dusre boltey hai ke Haraam nahi! balki Jayaz, Farz aur Farz ‘ain  hai aur iske bagair insan ki raahe najat nahi aur chara nahi.

Fir wo kehte hai ke Taqleed 4 imamo ki hi jaruri hai.
Tou Sawal yeh nikalta hai ke kya “Yeh Ummat itni kamzor hai ke iske paas sirf 4 hi imam hai?.. itni badi ummat kya iss ummat me sirf 4 hi imaam gujrey ?. haa! yeh alag baat hai ke yeh 4 imaam mash’hur huey. hala ke RasoolAllah(Sallallahu Alaihay Wasallam) ke baad bohot se aise log gujre jinka maslak bohot mash’hur hua. jaise ke ‘Imam Lays(Rahmatullah Alayh).’ inka maslaq bohot mash’hur tha, hatta ke Imam Shafayi (Rahmatullah Alayh) se jyada man’ne wale inke log they.

lekin ek zamana aaya ke misr me ek hukumat aayi jinhone Imam Shafayi ke Maslak par chalne walo ko wajifa diya jata tou sab imam lays ke maslaq ko chodkar idhar chaley gaye aur inka maslak 400 salo tak chala. tou goya imam lays ka maslak 5th wa hua.

isi tarha aur bhi kayi maslak gujre jo mash’hur they. jaise Imam Sufyan Sauri(Rahmatullah Alayh) ka maslak. yeh bhi ek bada mash’hur maslak tha. khud Imam Abu Hanifa(Rahmatullah Alayh) jo inke ustad they inka bhi maslak. tou aisi bohot si cheeze thi.

✦ Maslak ke maane ?

Maslak se murad kisi masley ka unhone unsey jawab liya aur behtar samjha inki daleel ko. lekin baad ke daur ke logon ne isko thaam liya ke ek ke pichey hi chalna aur fir 4 ki taqleed wajib ki is ummat ko. jab ke agar koi kahe ke 4 imamo se kisi ek ki taqleed hum par wajib hai tou fir sawaal yeh hota hai ke Sahaba kiski taqleed karte they ?

Sidha sa ekdum aam sawal hai ye, sidhi ek misaal jati hai ke RasoolAllah(Sallallahu Alaihay Wasallam) ke baad jo log aaye, sahaba ki jamaat, jabke pahle imam jo log kahte hai beharhaal hum kahte hai ke imam tou kayi gujre, jaise ke Abu Baqar Siddhiq (Raziallahu Anhu)! kya mere aur aapke liye imam nahi hai yeh ?
Umar bin Khattab(Raziallahu Anhu)! kya mere aur aapke liye imam nahi hai yeh ?
– Usman ibne Affan(Raziallahu Anhu),
– Ali ibne Abu Talib(Raziallahu Anhu),
– Abdulla bin Umar(Raziallahu Anhu),
– Abdulla ibne Abbas(Raziallahu Anhu)!!
kya yeh sab humare liye Imam nahi hai ?

Aur Sahaba ki tadat lakho me jati hai jo apne wakt ke imaam they. kya yeh sab humare liye imam nahi hai ? gaur karne wali baat hai. zara sa tassub jehan se hatakar ek khuley jehan se sochne wali baat hai ye ke sahaba ki puri jamat ko kabhi imam nahi kahte hum.

✦ Taqleed ki Shuruwat kab hui ?

Jinhe pahla imam kaha jata hai Imam Abu Hanifa (Rahmatullah Alayh) unki Paidaish 80 hijri me hoti aur uske baad maslak inka rayej hota hai bahrhaal 20 saal bhi agar maan le tou 100 saal ho gaye.
tou sawal aata hai ke yeh 100 saalo me log kiske tareeko par chaley ?
yeh 100 salo ka jo waqfa gujra is waqfe me log kis imam ke pichey chaley ?, kiski itteba ki? kiski pairwi ?

Unke baad Imam Shafi (Rahmatullah Alayh) aatey hai, unka daur tou aur baad ka hai. fir Imam Ahmad bin Hanbal (Rahmatullah Alayh) aatey hai. tou itne daur me log kiski itteba karte they ?

Aur kaha jata hai ke – Taqleed 400 saal baad shuru hui RasoolAllah(Sallallahu Alaihay Wasallam) ke iss andaz se ke “ek imam ko man’na compulsory hai. jab ke us’se pahle log imamo ko mantey lekin kisi masley me ek imam ki raay ko behtar samjhtey tou kisi masley me dusre imam ki raay ko behtar samjha jata. lekin badme yeh hua ke compulsory ek hi imam ko man’na logo ne farz kar diya.

Aur fir taqleed ek aisa roop le li ke dheere-dheere yeh majahib ban gaye aur fir muamla yeh hua ke ye 4 alag-alag ajib cheeze ho gayi. jiska natija yeh hua ke ‘kaabe ke andar 4 musalley hua karte they aur log 4 alag-alag wakt me ek hi namaz padhtey they. wo Hanfi musalla, wo Shafayi musalla, ye Maliki musalla aur yeh Hanbali musalla! Subhan’allah! Allah ke deen ko aisa baant diya humne. Allah Reham kare.


✦ Sabaq:

Aisi taqleed ka natija bhi samne aaya ke log aksar sawal karne lage “kya mera Nikah hoga? ladki Shafayi hai aur mai Hanfi. Subhan’Allah !!! kyu hum bhul gaye ke hum sab ek Nabi ki Ummat hai.

Beharhaal! kisi imaam ki baat man’na jo Kitabo Sunnat se mail khati ho ismey koi harj nahi. lekin fir hum yeh kahenge ke Sabse pehle Allah ki kitaab aur uske Rasool’allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Sunnat Mukaddam aur uske baad jiska Qoul insey rayej, mail khaye chahe uss daur ke imam ho ya iss daur ke imaam ho! Aap unki baat yakinan maan saktey hai. lekin iteeba ke toar par !,.. naa ke iss andaz se ke “jo bhi unhone keh diya wo patthar ki lakeer hai fir chahey Kitabo Sunnat ke khilaf hi unki baat kyu na jaye.

Lihaja hum tamam par lazim hai ke sahi Ilm hasil karey, uspar amal karey, aur ikhlas ke saath apni aur Ummat ki Islah ki koshish karey.

♥ In’Sha’Allah-Ul-Azeez.
# Allah Ta’ala hum tamam ko Kitabo Sunnat ka muttabey banaye,
# jab tak hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey,
# khatma humara imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

]]>
https://ummat-e-nabi.com/ek-ummat-fir-4-imaam-ki-taqleed-kyu/feed/ 0 16904
Hum Aisi Harkatey Karte Kyu Hai Pehle ? https://ummat-e-nabi.com/hum-aisi-harkatey-karte-kyu-hai-pehle/ https://ummat-e-nabi.com/hum-aisi-harkatey-karte-kyu-hai-pehle/#respond Wed, 19 Aug 2015 18:30:00 +0000 https://ummat-e-nabi.com/hum-aisi-harkatey-karte-kyu-hai-pehle/ ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! *Aye Wo Logon Jo Iman Laye Ho! *Ita’at Karo Allah Ki Aur Ita’at Karo Uskey Rasool Ki ,.. *Aur Aapas Me Ikhtelaf Paida Na Karna ! *Agar Tum Aisa Karoge, *Tou Tum Buzdil Bana Diye Jaoge, *Aur Tumhara Iqbaal Jata Rahega ,.. Aur Sabr Se Kaam Lo ,.. Ke Allah Sabr... [Read More]]]>

♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
*Aye Wo Logon Jo Iman Laye Ho!
*Ita’at Karo Allah Ki Aur Ita’at Karo Uskey Rasool Ki ,..
*Aur Aapas Me Ikhtelaf Paida Na Karna !
*Agar Tum Aisa Karoge, *Tou Tum Buzdil Bana Diye Jaoge,
*Aur Tumhara Iqbaal Jata Rahega ,.. Aur Sabr Se Kaam Lo ,..
Ke Allah Sabr Karne Walo Ke Sath Hai,..
– [Surah (8) Ayat 46]

*Aaj Ikhtelaaf Me Kis Hadd Tak Hum Log Mulawwis Hai Beharhaal Bataney Ki Jarurt Bhi Nahi ,..
*Ek Musalaman Dusre Muslaman Ke Piche Namaz Bhi Ada Kar Ley –
Tou Nikah Tutney Ke Fatwe Tak Nikal Aatey Hai ..
(Wakiya Moujud Hai Kuch Saal Pahle Ka)
*Subhan’Allah!! Allah Reham Karey,…

*Aur Jab Media Ke Samne Mazak Banta Hai, Aur Koi Gairmuslim Humare Iss Bewakufana Amal Ko Allah Aur Uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Taalimat Par Nisbat Karke Tanz Karta Hai , Tab Hume Badi Sharm Aaney Lagti Hai ,.. Masha’Allah !!

‪# Sawaal‬ Tou Ye Hai Ke
Hum Aisi Harkatey Karte Kyu Hai Pehle?

*Behahrhaal Baat Ko Samjhne Ki Koshish Kare Mere Azeezo !!
Aaj Ummat Zaleel Aur Khwar Mehaz Isiliye Ho Rahi Hai ,
Kyunki Humne Allah Aur Uske Rasool Ki Taalimat Ko Chor Diya !

*Jiska Natija Ye Hua Ke –
Chando Ke Dhando Waley Mafadparast Logo Ne Apne Mafad Ke Liye Ummat Me Bohot Inteshar Failaye ,..
Aur Iska Fayda Dushmanane-Deen Ne Bakhubi Utha Liya Aur Utha Bhi Rahe Hai ,..

*Lihaja Hume Jarurat Hai Ke –
Baat Ko Samjhey ,.. Halaat Ko Samjhey ,.. Mouke Ki Nazakat Ko Samjhey ,…
Log Chah Rahe Hai Ke Hum Alag Ho ,.. Aur Hum Wakay Me Harkatey Kar Ke Bata Rahe Hai Ke Hum Alag Hai…
Allah Reham Karey ….
* * * * *

# Allah Ta’ala Hume Haq Sun’ne Samjhne
aur Uspey Amal Ki Taufiq Dey! !!
# Hum Sabko EK Aur Nek Banaye !!!
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

🔖 Ummat-e-nabi.com
🔖 Fb.com/HadiseNabwi

]]>
https://ummat-e-nabi.com/hum-aisi-harkatey-karte-kyu-hai-pehle/feed/ 0 17092