♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Bakr Siddique (RaziAllahu Anhu) ne Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se kaha ki “Mujhe aisee Dua sikha dijiye jo Main namaz me parha karu tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya ke ye parha karo –
Contents
اللَّّهُمَّ إني ظَلمتُ نفسي ظُلمًاًًً كثيرًاًً. ولا يغفر الذنوبَ إلّّّا أَنْتَ فاغفر لي مغفرةًًًً من عندك. وارحمني، إنّّكَ أنتَ الغفورُ الرّحيم
Allahumma Inni Zalamtu Nafsi Zulman Kaseeran Wala Yaghfiruz-Junuba Illa Anta, Faghfirli Maghfiratan Min Indika War-Hamni, Innaka Antal Ghafur-Ar Rahim.”
(Aye Allah mainey apni jaan par bahut zulm kiya hai aur gunaahaon ko tere siwa koyi muaf nahi karta! meri magfirat kar! aisee maghfirat jo tere paas se ho aur mujh par reham kar beshaq tu bada maghfirat karney wala aur reham karney wala hai.)
– (Sahih Bukhari, Vol 7, Hadees-6326)
[post-content id=”46102″]