Ilm Ki Ahmiyat: Part-13

Jab America Ne Iraq Par Saddam Husain Ki Pahli Jung Ke Baad Embargo Laagu Kiya Tab Unhone Inko Dawayi Dena Band Kar Diya Tha, Jiski Vajah Se Hazaro Musalman Martey Rahe Saalo-Saal Tak, Sirf “Parastomal” Jaise Dawa Nahi Bana Sakti Koi Muslim Mumalik Uss Tareekh Se Aaj Tak , aur Ye “Parastomal” Itna Aam Pain-Killer Hai Jo 2 Rs. Me Pura Patta Milta Hai ,

Tou Aaj Hum Inke Bheek Aur Deyn Par Munassar Hai , Wo Dey-Dey Tou Hum Jiye, aur Na De Tou Mar Gaye, Yeh Haal Hai Humara. Jo Qoum Deney Waali Thi Aaj Leney Waali Ban Gayi Hai.

Jabki Wo Humare Aaba-O-Ajdad They Jinhone Duniya Ko Chalna Sikhaya , Aasman me Udney Ka Fun Diya, Duniya Ko Deeni aur Duniyawi Dono Taalim ke Liye Ubhara! Lekin Aaj Humne Duniyawi Ilm Ko Fizul Kehkar Chorr Diya.

✦ ALGEBAR (Father Of Modern Chemistry):

Jabir Ibn Hayyan
ALGEBAR (Jabir Ibn Hayyan) – Father Of Modern Chemistry

Inka Asal Naam “Jabir Ibn Hayyan” Hai.. Inhe “Father Of Modern Chemistry” Kaha Jata Hai.. Inhone Kimiya Country Ke Andar Naye-Naye Inkashafat Kiye, Naye Tajurbaat Kiye, Aur Aisi Buniyadi Cheeze Batayi Jis’se Aaj Modern Chemistry Judi Hui Hai, Aur Inke Bagair Chemistry Ki Buniyaad Nahi Ho Sakti Thi.

✦ AL-HASAN (Father Of Modern Optics):

Aapne Yeh Naam Bhi Sune Honge, Inka Asal Naam “Ibn Al-Haytham” Hai, Yeh Wo Shakhs Hai Jinhe Hum Keh Sakte Hai “Father Of Modern Optics”.. Optics Yaani Chasme Jo Hum Laga Rahe Hai, Camere Jo Chal Rahe Hai, Tamam Cheezo Ke Ye Baani (Founder) Kehlatey Hai. Isliye Ke Yeh Pahle They Jinhone Sabse Pahla Camera Banaya Tha “Pinhole Camera”.

* Inohne Yeh Ijad Kiya Ke Roshni Sidha Chalti Hai, Tedha-Medha Nahi Chalti, Ye Inkashafat Inhone Hi Kiya, Ke Roshni Jab Sidha Chalti Hai aur Jab Ek Chotey Surakh Ki Taraf Jaati Hai Tou Usme Ja Kar Wo Jo Hai Ulti Hoti Hai, Aur Uske Barakz Aks Samne Ulta Banati Hai, Matlab Agar Roshni Kisi Surakh Me Se Jayengi Tou Udhar Aks Ulta Banayengi Aur Inhone Inki Isi Theory Par Pahli Baar ‘Pinhole Camera’ Banaya.

al hasan
AL-HASAN (Father of Modern Optics / Camera )

* Ye Ek Chadar Lekar Ek Kamra Banatey They Jo Andhere Me Hota Tha Pura aur Isme Ek Bareek Surakh Karte They, Uss Surakh Se Jab Roshni Aati Tou Samne Ki Cheezo Ka Aks Uss Deewar Par Ulta Padta , Ek Image Banti, Photo Banti Samne Jisey ‘Reflections on the Optics’ Kaha Jata Hai.

Tou Isi Inkashaf Ke Tehat Aankhe Kaisa Dekhti Hai Yeh Bhi Formula Dhund Nikala ,  Aur Usi Theory Se Inhone “Optics” Ijad Kiya Jiska Aaj Hum Sab Behisab Fayda Utha Rahe Hai. Jaise Ki ‘Chasme’ Hum Sab Lagatey Hai Na, Ibn Al-Haytham Ko Sawab Pohochta Hoga Kyunki Inhone Hi Ijad Kiya Tha Iss Cheez Ko, Ke Aankh Kaise Kaam Karti aur Agar Kamzor Ho Jaye Tou Kaise Inhe Shishe Ke Jarye Hisab Me Laya Jaye.

Isi Tarha Camere Ki Ijad Bhi Inhone Ki. aur Camera Lafz Khud Arbi Zuban se Aata Hai , “Al-Kamra” Jiska Mana Hota Hai Andhere Me Ek Chota Sa Camra.

Tou Ye Musalmano Ki Ijadad Hai Jin Cheezo Ko Dekhkar Aaj Hum Sirf Aahe Bhar Sakte Hai, Yeh Humare Hi Baap-Daaado Ki Wirasat Hai Jo Insano Ne Le Kar Fayda Uthaya ,.. Inkashafat Kiye ,.. Uspar Tajurbaat Kiye ,..

* Aur Yeh Pahle Shaksh They “Ibn Al-Haytham” Jisne Yeh Kaha Ke – “Har Baar Koi Baat Kehde Tou Sun’na Jaruri Thodi Na Hai! Hum Khud Tajurbat Karenge.. ” Aur Tajurbaat Wo Karte Rahe Aur Challenge Kiya Inhone Puri Greek Science Ko Jo Tajurbaat Nahi Karti Thi.

* Greek Science Ye Kehti Thi Ke Aankho Me Se Ek Roshni Nikalti Hai, Jo Cheezo Ko Ja Kar Lagti Hai, Jis’se Hum Dekh Patey Hai .. Ispar Ibn Al-Haytham Ne Kaha Ke Bebuniyadi Baat Hai Yeh ,..
Kyunki Agar Aankho Se Roshni Nikalti Hai Aur Hum Dekh Sakte Hai Cheezo Ko Tou Raat Ko Hum Kyu Nahi Dekh Paate ? ,…

“Darhakikat Roshni Hoti Hai Jo Cheezo Se Takra Kar Humari Aankho Me Jaati Hai! Naa Ke Humare Aankho Me Se Roshni Nikalti Hai..”

* Aur Naye Naye Falsafat Diye, Nayi Nayi Soch Di, Naye Naye Ijadad Kiye, Aise Ijadad Jinse Insaniyat Ko Kayi Fayde Pohach Rahe Hai Aaj ,..

♥ In’sha’Allah-ul-Azeez ! Agle Part Me Hum Aise Hi Musalman Scientist Ka Aur Unke Ijadad (Discoveries) Ka Zikr Karnge Jinhone Duniya ko Apne Aise Uloom Diye Jiske Bagair Technology Industries Wajud Me Nahi Aa Paati,..

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

Leave a Reply