» Alqab: Sayyedul Muazzin, Muazzin-e-Awwal.
» Wiladat: 580 C.E. Me Makka Me Hui.
Aap Ke Waalidain Abyssinia (Ethiopia, Africa) Ke Hain.
Aap Ke Waalid Ka Naam Rabah Aur Waalida Ka Naam Hamamah Hai.
Aap Ne 30 Baras Ki Umr Me Jab Islam Apnaya Tou Shuru Me Makhafi Rakha. Jab Aap Ke Maalik Umayyah Ibn Khalaf Ko Pata Chala Tou Uss Ne Aap Ko Tarah Tarah Ki Taklif Dena Shuru Kiya. Wo Aap Ko Garm Ret Par Letakar Aap Ke Upar Bade Bhari Patthar Rakta Tha. Lekin Hazrate Bilaal Ne Islam Ko Na Chhoda Aur Apne Mohabbate Rasoll Ka Saboot Diya.
Phir Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Hukm Par Hazrate Abu Bakr Siddeeq (RaziAllahu Anhu) Ne Umayyah Ibn Khalaf Ko Dusra Gulam Aur Kuchh Raqam Dekar Aap Ko Aazad Karaya.
Jab Hazrte Abu Baqr Aap Ko Lekar Ja Rahe The Tab Umayyah Ibn Khalaf Ne Kaha ‘Aye Abu Baqr, Tum Ne Bahut Mahenga Sauda Kiya.’ Tou Hazrte Abu Baqr Ne Uss Se Kaha ‘Tum Ne Sirf Bilaal Ko Dekha Hai Aur Maine Uske Dil Me Mohabate Rasool Ko Dekha Hai.’
622 C.E. Me Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Madeena Aane Ke Baad Aap Bhi Makka Se Hijrat Karke Madeena Aa Gaye.
» Aap Ki Biwi Ka Naam Hind Hai.
» Aap Ne Jange Badr Aur Dusri Tamam Jang Me Shirkat Ki. Jange Badr Me Aap Ne Umayyah Bin Khalaf Ko Qatl Kar Diya.
» Aap Islam Ke Sab Se Pehle Muazzin Hain.
2 Hijri Me Jab Hazrate Umar (RaziAllahu Anhu) Ne Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Namaaz Ke Liye Musalmano Ko Jama Karne Ke Liye Azaan Pukarne Ka Mashwara Diya. Tou Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hazrate Bilaal Ko Muazzin Muqarrar Kiya.
» Aap Hamesha Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Saath Rehte They, Masjid-e-Nabawi Me Ya Masjid-e-Quba Me Ya Safar Me, Aur Aap Ki Azaan Ki Aawaz Se Ashaba Ko Pata Chal Jaata Tha Ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Kis Maqaam Par Hai.
Jab Makka Fateh Hua Tou Aap Ne Ka’abatullah Par Azaan Pukari.
» Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aap Ko Apna Khajanchi Muqarrar Kiya Tha Aur Jab Koi Shakhs Apni Haajat Lekar Darbare Nabi Me Aata Tha Tou Aap Hazrate Bilaal Ko Uske Liye Hukm Dete The Aur Wo Usey Uski Haajat Ki Chiz Dete The.
» Hiqayat: Ek Baar Huzoore Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Fajr Ke Waqt Hazrat-e-Bilaal Se Farmaya Ke ‘Aye Bilaal, Ye Batao Ke Eimaan Laane Ke Baad Tum Ne Wo Kaun Sa Aisa Amal Kiya Hai Jo Fazeelat Me Dusre Amal Se Badhkar Hai. Kyun Ke Maine Ye Khushkhabri Suni Hai Ke Tum Jannat Me Daakhil Hone Wale Ho.’
Unho Ne Kaha ‘Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Mujhe Aisa Koi Amal Yaad Nahi Aata,’ Phir Kuchh Der Baad Aap Ne Kaha ‘Aye Mere Aaqa, Mai Jab Bhi Wuzu Karta Hu, Chahe Din Me Ya Raat Me, Tou Fouran Mai Tahyatul Wuzu Ki Namaaz Padhta Hu Aur Jab Bhi Mera Wuzu Toot Jaata Hai Tou Mai Fouran Wuzu Kar Liya Karta Hu.’
Huzoore (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke ‘Aye Bilaal, Ye Hi Wo Amal Ho Sakta Hai, Jis Ki Wajah Se Ye Khushkhabari Mili Hai.’
» Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Parda Farmane Ke Baad Hazrate Abu Bakr (RaziAllahu Anhu) Ke Ilteja Karne Par Hazrate Bilal Madeena Me Rooke.
Lekin Aap Ke Wisal Ke Baad Hazrate Umar Farooq Ke Zamane Me Hazrate Bilaal Ne Unn Se Jihaad Ke Jaane Ki Ijazat Chahi. Aap Ne Madeena Me Rookne Ki Guzarish Ki Magar Hazrate Bilaal Na Mane Aur Shaam (Syria) Ki Taraf Rawana Ho Gaye.
» Ameerul Mo’minin Hazrate Umar Farooq (RaziAllahu Anhu) Jab Jerusalem Gaye Tou Waha Hazrate Bilaal Maujood The Aur Ashaba Ke Arz Karne Par Aap Ne Unko Azaan Ke Liye Guzarish Ki. Shuru Me Mana Karne Ke Baad Jab Hazrate Bilaal Ne Azaan Pukari Tou Sab Ko Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Zamana-e-Zaahiri Ki Yaad Aa Gai.
» Wisaal: Aap Ka Wisal 21 Moharram 18 Hijri (2 March 640 C.E.) Ko 60 Baras Ki Umr Me Hua.
Aap Ka Mazaar Damascus (Shaam /Syria) Me ‘Baab-Us Sagheer’ Me Hai.
**** @[156344474474186:] *****
Allah Ta’ala Hume Mukammal Mohabbate Rasool Ata Farmae Aur Sab Ke Emaan Ki Hifazat Farmaye Aur Sab Ko Nek Amal Karne Ki Taufiq Ata Farmaye.
Aur Sab Ko Duniya Wa Aakhirat Me Kaamyabi Ata Farmaye Aur Sab Ki Nek Jaiz Murado Ko Puri Farmae. Aameen.
» Note: Likhne Me Koi Khata Hui Ho Tou Hame Zarur Ittela Kare… !!!! Dua Ki Darkhwast !!!!