Sahaba ne kaha ki “hum log wahi baithne ko majaboor hain. yeh wah jagah hai jahaa hum baithate hain aur jahaa hum baat karate hain.” is par, Nabi (ﷺ) ne kaha –
“Yadi tum wahaa baithane ke lie majaboor ho, to Raaste ka Haq ada karo.”
Sahaba ne poochha aur Raste ka Haq kya hai? Nabi (ﷺ) ne kaha,
“Apni Nigaahein nichee rakho, kisi ko chot pahunchaane se bacho, Salaam ka jawaab do, logon ko achchhe kaam karne ka hukm do aur unhen bure kaam karne se roko.”
Maa Baap Par Laanat Karne Se Bacha Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai - "Gunaho Me Se Bada Gunaah Yeh Hai Ki Aadmi Apne Maa-Baap Par Lanat Kare, Logon Ne Kaha - 'Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Bhala Kaun Apne Maa Baap Par Lanat Karega ?' *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Matlab Ki, 'Ek Shakhs Dusre Ke Baap Ko Gaali De! Aisa Hai Ki Woh Apne Baap Ko Gaali De, Aur Dusre Ki Maa Ko Gaali De! Aisa He…
Qaza Namaz ko kaise Ada kare Uska Tariqa? https://www.youtube.com/watch?v=dp-wt5TvkR4 Qaza Namaz ki Hakikat Qaza Namaz ki Hakikat kya hai aur Qaza namaz kab ada ki jaye aur iska tarika kya hai, janiye tafseel me Quran wa Sunnat ki roshni mein by Aalim Adv Faiz Sayed
Shukriya ada karne ka Huqm aur Fazilat Hadith: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Wo Allah ka Shukrghuzar nahi ho sakta jo bando ka Shukrguzar na ho." (Sunan Abu Dawood, Vol 3, Hadith 1383-Sahih) "Aur jo Allah ki yaad se ghafil ho jata hai tou Allah uss par ek Shaitan muqarrar kar deta hai phir wo uska saathi ban jata hai." (Al Quran; Surah Az-Zukhruf 43:36) "Agar tum meri neymaton ka Shukriya ada karogey tou aur ziyada dunga aur agar nashukri karogey tou…
Jisne Farz Namazo ke alawa Din Raat me 12 rakat ada… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummul Momineen Umm Habiba (RaziAllahu Anha) se Rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Jisne Raat Din me 12 Rakat (Sunnat) Namaz ada ki uske liye Jannat me ek Ghar banaya jayega, Umme Habiba (RaziAllahu Anha) ne kaha ki jab se maine ye Hadees RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Suni, maine uske baad se un 12 rakato ko kabhi nahi chodha..." - (Sahih Muslim, Vol 1, 1694) ✦ Ulema-e-Deen ke hisab se Wo 12 Rakat Sunnat…
Achchi Baaton Ka Hukm Do Magar Khud Bhi Amal Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Usama Bin Zaid (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya "Qayamat Ke Din Ek Shakhs Laya Jayega Phir Wo Jahannum Me Dala Jayega Uske Pait Ki Aantein (Intestine) Bahar Nikal Aayegi, Wo Unko Liye Huye Gadhey Ki Tarah Jo Chakki Peesta Hai Chakkar Lagayega Aur Jahannum Waley Uskey Paas Ekaththey Hongey Uss Sey Puchengey 'Ki Aye Falah! Kya Tu Achchi Baat Ka Hukm Nahi Karta Tha Aur Buri Baat Se Manaa Nahi Karta…
Allah Ka Bando Par Kya Haq Hai ? » Jawaab: Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke - ★ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ka Haq Bando Par Ye Hai Ke Sirf Usi Ki Ibadat Karey, Aur Kisiko Uska Shareek Na Thehraye.. Aur Bando Ka Haq Allah Par Ye Hai Ke Jo Koyi Shirk Na Karey Usey Azaab Na Dey. - (Bukhari:2856, Muslim:30) ♥ Al-Quraan: "Jo Log Emaan Laaye Aur Apne Emaan Ko Zulm Se Mahfooj Kiya Unke Liye Aman Hai Aur Wahi Hidayat Paney Wale Log Hain..” – (Surah…
Tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ "Aur tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo Main tumhari Dua Qubul karunga." - Al-Quran 40:60 ♥ Mafhoom-e-Hadees: Thabit (RaziAllahu Anhu) se rivayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Tum me se har shakhs ko chahiye ki wo apni tamam hajatein apne RABB se hi maange, yaha tak ki namak bhi us se maange, aur agar jute ka tasma (less) bhi tut jaye tou wo bhi usee se maange.." - Jamia tirimizi, Jild…
Tum doosron par kharch karte raho, Allah tum par… Tum doosron par kharch karo, Allah tum par kharch karega Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke: "Allah Taala ne farmaaya: Aye logo! tum doosron par kharch karte raho, main tum par kharch karta rahunga." 📕 Bukhari, Hadees 5352
Aurtein Raston ke bich se nahi Kinare se chalein: Hadees Aurtein Raston ke bich se nahi Kinare se chalein Hadees: Abu Usaid (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne Aurto se farmaya ke: "Aurtein raston ke darmiyan na chalein balke kinaaro par chalein." 📕 Abu Dawood, Hadees 5272
Murdo Ke Liye Maghfirat Talab Kiya Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Kisi Mayyat Ki Tadfin Se Farigh Ho jatey Tou Uski Qabr Ke Paas Ruktey Aur Farmate: "Apne Bhai Ke Liye Maghfirat Talab Karo Aur Uske Liye Sabit Qadmi Ki Ilteja Karo, Kyun Ke Ab Us'sey Sawaal Kiye Jayenge.." - (Sunan Abu Dawood, Hadith No:3221)
Har Shakhs ke sath Bhalayi karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Har Shakhs ke sath Bhalayi karo ❝ Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari cheez Allah ki raah me kharch na karoge. ❞ 📕 Al-Quran; Surah: Aale-Imran 3:92 “Jo Bhalayi ki Sifarish karega wo Uss me se Hissa(Sawaab) Payega aur Jo Burayi ki Sifarish karega wo Uss me se Hissa (Sazaa) Ppayega”. 📕 Surah Nisa 4:85 RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya -"Meri Sifarish ka fayda har Uss Shakhs ko pahunchega Jo Shirk se bach bachakar…
Allah ka Haq Bando par Allah ka Haq Bando par Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Allah ka Haq Bandon par yah hai ki Woh Uski Ibaadat Karen aur Uske Saath kisi bhi Cheez ko Shareek Naa karein.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 2856
Zikr-e-Ilahi Me Mashgul Raha Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai ke - "Kisi (Zaalim) Baadshah per Bad'dua me mashgul rehne ke bajaye Zikr (Zikr-e-Ilahi) me Mashgul raho." - (Mishkat Sharif) “Allahumma Ainni Ala Dhikrika Wa Shukrika Wa Husni Ibadatika” (Ya Allah! meri madad kar tera zikr karney me, aur tera shukr ada karney me aur teri achchi ibadat karney me) – Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1509 ( Sahih) Ameen ! Allahumma Ameen !!! For more Islamic messages kindly download our Mobile…
Hadees: Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida… Logon ko Deen sikhaao aur Aasania paida karo Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida karo, tangi paida na karo." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 2136
Sahih Muslim, Jild-3, Pg-122, Hadees-5528) y hadith mujhe mili nahi ..pls international hadith number batayei..