Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Zinaa karney wala Zinaa kartey waqt Momin nahi rehta, Sharaab peeney wala sharaab peetey waqt momin nahi rehta, Chori karney wala chori kartey waqt momin nahi rehta, Jab koi lootney wala loot’ta hai aur log usey dekhtey hain Uss waqt wo bhi momin nahi rahta.”
Sharaab Tamaam Buraaiyon ki Jad hai: Hadees Sharaab Tamaam Buraaiyon ki Jad hai Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai, "Hargiz Sharaab Na Peena! Isliye ki Sharaab Tamaam Buraaiyon ki Jad hai." 📕 Musnad-e-Ahmad, Hadees: 22075
Al-Quran: Agar tum acche kaam karoge to apne hi… Quran: 04-July: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Qurane Majid me farmata hai: ‟Agar tum acche kaam karoge to apne hi fayde ke liye karoge aur bure kaam karoge to bhi wo tumhare liye hi bura hoga.' 📕 Surah Bani Israil 17:7
Jiski Buniyad Shariyat me Nahi Aisa Kaam Deen me… Roman Urduहिंदी Hazrate Ayishah (RaziAllahu Anha) se riwayat hain ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Jisne Deen mein koyi aisa kaam kiya jiski buniyaad shari’at mein nahi wo kaam Mardood hai." - (Sunan Ibn Majah Hadees 14) ✦ Wajahat: Maslan wo tamam Aamaal jinhe hum Neki aur Sawab ki ummid se karte hai lekin jo Sunnat se sabit na ho wo Mardood hai. yaani Allah ke nazdik Radd kiya jayega Roze Qayamat. Kyunki aise Biddat wale aamal karne se hum Shariyat…
Apni Tazeem Karwana Jahannamiyon Ka Kaam Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ke - "Jiski Ye Khushi Ho Ke Log Uski Tazeem Ke Liye Khadey Rahey Wo Apna Thikana Jahannum Me Banaye.." - (Tirmizi Sharif) » Sabaq: Doosro'n Se Apni Taarif-wa-Tazeem Karwaana Ya Uski Ummid Rakhna Insan Ke Ghuroormand Hone Ki Alaamat Hai, Lihaja Emaanwalo Ke Liye Itrana Jayej Nahi ,.
Wo Shakhs Jhoota Nahi Jo Logon Ke Darmiyaan Sulah ke… Wo Shakhs Jhoota Nahi jo Sulah ke liye Jhuth bole RasoolAllah(ﷺ) ne farmaya: "Wo Shakhs Jhoota Nahi Jo Logon ke Darmiyaan Sulah karwaane ke liye Jhoot boley." 📕 Abu Dawood 4920 (Sahih) Sabaq: Logon ke darmiayan Sulah karwaneki niyat se bola gaya jhuth muaf hai.
Hadees: Har Accha kaam Sadqah hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Har Accha kaam Sadqah hai." 📚 Sahih Muslim; Hadees: 1005 Ek aur Riwayat me Aap (ﷺ) ne faramaya: "Har Neki Sadqa Hai !Tum Apne Musalman Bhai se Pyar se Galey milo, yeh bhi Neki hai." 📚 Musnade Ahmad Jild:5 Safa:111: 14715
Hadees: Kisi Nabeena ya Kamzor Nigaah wale ko rasta… Hadith: 22-June: Abu Zar (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Kisi (Nabeena ya) Kamzor Nigaah wale ko rasta dikhana Sadqa (Sawaab ka kaam) hai. 📕 Jami` at-Tirmidhi 1956
Allah ki Nafarmani me kisi ki Itaat nahi karni Allah ki Nafarmani me kisi ki Itaat nahi Hadees: Hazrate Ali (R.A) se riwayat hai ki -RasoolAllah (ﷺ) ne Ek Lashkar Rawana farmaya aur Ek Shakhs ko Uska Sardar bana diya aur Logo ko Uski Itaat karne ki Taqeed ki. Uss Shakhs ne Aag Jalayee aur Logo ko kaha ki Aag me Kud Jao. Kuch Logon ne Uski ye baat Man'ne se Inkar kar diya aur kaha ki - "Hum Tou Aag se Bhaagkar Islam me Aaye Hain" Aur Kuch…
Bimari Momeen ko Gunaaho se paak kar deta hai... Bimari, Takleef aur Pareshani se Gunah Maaf ho Jate hai ✦ Bukhaar Momin ko Gunaaho se paak kara deta hai: Abu Huraira (R.A) ne farmaya ki, Rasool-e-kareem (ﷺ) ke paas bukhar ka charcha kiya gaya, tou ek shakhs ne bukhar ko bura kaha. Aap (ﷺ) ne farmaya: "Bukhaar ko bura na kaho !, iss liye ki wo (Momin ko) Gunaaho se iss tarah paak kar deta hai, jaise Aag lohe ki mail ko saaf kar deta hai." 📕 Sunan Ibn…
Uski 40 Din Namaz Qabool nahi hoti Hadees of the Day Uski 40 Din Namaz Qabool nahi hoti Hafsa (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ki: "Agar koi Musalman kisi Majoosi (Qaahin) ke paas jakar kuch daryaft karta hai tou uski 40 din ki namaz qubool nahi hoti." 📕 Muslim Sharif; Vol 2 Page-233 Ek aur riwayat me aata hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jisne Sharab pi li uski 40 din tak Namaz kubool nahi hogi, phir agar woh Tauba karle…
Rehmat ke Farihste Dakhil nahi hote jaha Ghunghroo… Rehmat ke Farihste dakhil nahi hote jaha Ghunghroo Ya Ghanti ho Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: “Ghanti Shaitan ka Baaja hai.” Ek aur riwayat me Biwi Hazrate Umme Salamah (R.A) riwayat karti hai ke: Maine Rasool'Allah (ﷺ) ko ye farmate huye suna ki, "Farishte (Rehmat ke) Un Gharon me nahi daakhil hote Jinme Ghunghroo ya Ghanti ho,aur farishtey (Rehmat ke) Un Kaafilon ke saath nahi jaate jinme Ghanti ho” 📕 Sahih Muslim, Hadees 5548📕…
Ilm-e-Hadees aur Hadees ki Kisme ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ • Hadees ka ilm sahih aur khalis niyyat ke sath sirf Allah Ta'ala ki raza ke liye haasil kare. • Hadees ka ilm naam kamaane aur duniya ke maqsado ke liye hargiz haasil naa kare warna kuch faydah na hoga. • Allah Ta'ala se dua karte rahe ki iss mubarak ilm ke haasil hone me Allah Ta'ala ki taufeeq haasil rahe, halaat durust rahe, koi rukaawat aur mushkil pesh na aaye aur Allah Rabbul Izzat hadees ke…
Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta: Hadees Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Tumhara Rab bahuth Ba'haya aur Kareem hai, jab uska banda uske Saamne apne dono haath Uthata hai tou Unhen khali Lautate huye Usey apne bande se haya Aati hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 1488-Sahih WAJAHAT: Iss Aahadees me Haya se murad Allah Apne bando ki koi bhi fariyad (Dua) zaya nahi karta, jiske talluk se ek aur riwayat me aata hai ke - Hadees: Allah…