Hadees: Abu Kabshah Anmaari (R.A) se kehte hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Mai tum se ek Hadees bayan karta hoon usey yaad rakhna:
1). Sadqa karne se kisi ke maal me kami waqai nahi hoti”,
2). Jis kisi par Zulm hua ho aur woh Sabr kare tou Allah uski Izzat me Izafa farmata hai”,
3). Jo Shakhs (logon se) mangna shuru kar de tou Allah uss par Fikr aur tangi ka darwaza khol deta hai (aur woh har qisam ke Maal-o-Doulat hone ke bawajood mangta phirta hai)”
Phir farmaya “Ek aur baat bayan karta hoon usey bhi yaad rakhna. yeh dunia 4 qisam ke logo ke liye hai”,
1). Ek woh jise Allah Maal-o-Doulat aur ilm se nawazta hai aur woh inn dono ke baare me Allah se darta rehta hai, Suleh Rehmi karta hai aur Allah ke haq ko janta hai (aur ada karta) hai. aisa aadmi afzal hai.
2). Dusra woh jise Allah ilm ata farmaye aur Doulat na de magar woh Sidiq-o-Khaloos se kahe ke, “agar mere paas Maal hota tou mai falah ki tarah Nek Amal karta”, hala ke uss ki sirf Niyat hai aur dusre ka Amal hai tou dono ko Sawaab barabar milega.
3). Teesra woh hai jise Allah Maal ata farmata hai aur woh ilm se mehroom hota hai woh Maal ko be-intehaa bagair soche-samze aur bagair ilm ke kharch karta hai. na Allah se darta hai na Sila Rehmi karta hai aur na Allah ke Huqooq janta hai aur na ada karta hai yeh shaks sabse bura hai.
∗4). Choutha woh jise Allah ne na ilm dia na maal lakin woh kehta hai ke, “Agar mere paas Maal hota tou mai falah ki tarah (burey) kaam karta”, hala ke uski sirf Niyat hai aur dusre ka amal hai tou dono ko Gunaah barabar hai.
- Reference : Jami` at-Tirmidhi 2325
- In-book reference : Book 36, Hadith 22
- English translation : Vol. 4, Book 10, Hadith 2325