♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummaha-Tul-Momeenin Aayesha (RaziAllahu Anha) Se Riwayat Hai Ki,
Usama (RaziAllahu Anhu) Ne Rasool’Aallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Ek Aurat Ki Muafi Ki Sifarish Ki (Jisne Chori Ki Thi Aur Uska Naam Fatima Tha)
Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki –
“Tum Me Se Pahle Ke Log Isliye Halaaq Ho Gaye Ki Wo Kamzoro Par Tou Hadd (Saza) Qayam Karte They
Aur Buland Martaba Logo Ko Chorr Detey They.
*Uss Zaat Ki Qasam Jiske Haath Me Meri Jaan Hai!
Agar (Meri Beti) Fatima (RaziAllahu Anha) Ne Bhi Chori Ki Hoti Tou Mai Uska Bhi Haath Kaat Leta”.
– Sahih Bukhari, Vol 8, 6787 (Urdu Reference)
– Sahih Bukhari Vol 4, Book 056, Hadith no. 681 (English Reference)
# Sabaq: Iss Hadeese Mubarak Se Bhi Malum Hota Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Insaaf Har Shakhs Ke Liye Barabar Hai,
Fir Chahe Gunaah Kisi Ameer Ya Buland Martaba Ke Logon Ne Kiya Ho Ya Fir Kisi Kamzor Ne Kiya Ho,
Pyare Aaqa Kiske Sath Bhi Na-Insafi Pasand Nahi Karte
– Balki Her Ek Ke Liye Wohi Faisla Sunatey Jo Uss Jurm Par Mukarar Kiye Hue Tha ,..