Kya Biwi Shohar ko Zakaat dey Sakti hai?

۞ Mafhum-e-Hadees: Abdullah Ibne Masud (RaziAllahu Anhu) ka ibtedayi dour tha, Aapki Biwi RasoolAllah (ﷺ) ke paas aayi aur kehne lagi ke

“Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Meri Itni-Itni Zakat banti hai , Mai kis ko du, koun jyada Mustahik hai ?”

Jab wo Aap (ﷺ) se Mas’ala daryaft kar rahi thi tabhi Abdullah Ibn Masood (R.A) piche se aaye aur kaha ke “Ya Rasool’Allah (ﷺ)! aisi Biwi ke bare me Aap kya farmayenge jo Zakaat tou deti hai lekin uska Shohar hi Gareeb(Mustahik) ho.”

Fir Aap (ﷺ) ne kaha ke “Fir behtar hai ke wo Biwi apne Shohar ko hi de dey.” Tou Abudullah Ibn Masud (RaziAllahu Anhu) ki Biwi samajh gayi aur unhe hi Zakaat dey di.

📕 Sahih Bukhari, Hadith No.1462

Wajahat:

Lihaja Iss Aahadees se pata ye chala ke – Agar Biwi ke paas Apni Milkiyat me se Zakat nikalti hai aur Shohar uska Maqrooz aur mustahik ho tou wo Apne Shohar ko hi Zakat de sakti hai.

Lekin yaad rahe Shohar Apni Biwi ko Zakat nahi dey sakta kyunki Biwi uski Jimmedari hai, Uske Akhrajat uthaney ki Jimmedari Mukammil taur se Shohar ki hi hoti hai.

[vc_wp_custommenu nav_menu=”30670″ el_class=”clean_m also_2clm”]

Leave a Reply