〘 Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 〙
Allah Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Maherbaan Aur Rahem Wala Hai
RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) par pehli wahi nazil hoti hai, Surah Alaq (96) ki ibtedayi 5 aayate aap par nazil hoti hai “Iqra’ Biasmi Rabbika al-ladhi Khalaqa” (parh apne rab ke naam se jiss ne paida kiya)”
Jab farishtey Jibrayil (Alaihi Salam) aaye aur RasoolAllah se kaha: “Iqra! (padho)” tou Aap ﷺ ne kaha: “Maa Ana’bi Qaari ! (Mai padhna likhna nahi janta)”
Fir uss awaaz ne jordar kaha: “iqra!” tou Aap (ﷺ) samjh gaye ke ye bolna chah rahe hai ke ‘iskey piche padho’ yaani iski baato ko dohrao..
Tab Allah ke Rasool (ﷺ) ne unkey pichey padhna shuru kiya: “Iqra’ Bismi Rabbika Al-ladhi Khalaqa.” yaani parh apney rab ke naam se jiss ne paida kiya. bus pahla hukm yahi aaya ke:
❝ Padho apne Rab ke Naam se jisney paida kiya❞ (Al Quran; Surah Alaq 96:1)
Tou Yaha Rasool’Allah (ﷺ) par dekhiye pehli wahi kya nazil hoti hai. Namaz nahi, Zakat nahi, khud apni Tawheed (wahdaniyat) Allah bayan nahi kar raha sirf yahi pehla hukm de raha hai ke “Padh apne Rab ke Naam se“
Tou jis Qoum ko pahla hukm padhney ka aaye aur wohi Qoum agar Jahil reh jaaye yeh goya aise hi hai jaise machli ka baccha tairane ke fun se gaafil ho jaye, Yakinan Ilm buniyaad hai tamam aamal ki, kyunki banda unhi Aqaid par apni Zindagi gujarta hai jiska ilm usey wirasat me mila ho. isliye Aqaid me saabit kadam rahne ke liye sabse awwal cheez Ilm hai. aur Ilm se muraad Deeni aur Duniyawi dono hai.
Jahir si baat hai ke koi Shakhs agar Kaynaat ka ilm (Astronomy) haasil karey tou wo uss cheez par gour-o-fikr karne lagta hai ke yakinan inti badi Kaynaat ko kisi patthar aur mitty ke maboodo ne tou nahi banaya hoga. yakinan wo bohot aala shan hogi jisne iss Qaynaat ko banaya, wajud me laya.
Aur aagey ki Aayato me Allah Rabbul izzat ne bayan farmaya:
2. khalaqa al-‘insana min alaqin.
(jisney insan ko khoon ke lothrey se paida kiya.)
3. aqra’ wa rabbuka al-‘akramu.
(parh uss rab ke naam se jo bada karam karne wala hai.)
4. al-ladhi `allama bil-qalami.
(jisne insan ko qalam ke zariye (ilm) sikhaya.)
5.`allama al-‘insana ma lam ya`lam.
(jisney insan ko woh sikhaya jo woh (insan) nahi janta tha.)
Tou inn Aayato me pata chalta hai ke ilm ki kya ahmiyat aur fazilat hai, aur musalmano ki aaneywali naslo ne bas. har ilm ko chaat diya, har ilm ko pii gaye, apne rab ka naam liya aur haasil kar liya usey.
♥ In sha Allah unkey baarey me aagye ki post me hum tafsilaat se dekhengey.
To Be Continue …