♥ Umar Ibne Khattab (RaziAllahu Anhu) Se Ek Martba Sawaal Kiya Gaya Ke: ‘Ilm Kya Hai ?’
Aapne Farmaya: “Ilm Wo Hai Jo Allah Ki Kitaab Me Hai ,.. Yaani Jo Allah Ne Kaha Wo Ilm Hai” ,.
Aur Jo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Kaha Wo Ilm Hai ,..
Aur Koi Shakhs Yeh Kahe Ke ‘Mujhe Nahi Malum! Yeh Bhi Ilm Hai’…
Yaani Us’sey Koi Sawaal Kiya Jaye Aur Jawaab Na Maloom Ho Tou
Sach-Sach Keh Dey Ke Mujhe Nahi Maloom Yeh Bhi Ilm Hai ..
– Isliye Ke Baaz Log Apni Shaan Ko Barkarar Rakhne Ke Liye Kuch Bhi Jawaab De Detey Hai ,..
Lekin Inn Jhute Jawaab Deney Walo Se Behtar Wo Shakhs Hai Jo Saaf Saaf Kehde Ke Mujhe Nahi Maloom ,..
Isiliye Ke Yeh Kahne Ko Bhi Insan Ko Bohot Bada Dil Lagta Hai …
– – – – –
♥ Ek Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu) Se Bhi Kisi Ne Poocha “ILM Kya Hai ?”
Tou Aap Ne Farmaya – “Agar Koi Tum Per Zulm Karey Tou Usey Muaf Kar Do.
Agar Ta’aluq Todey Tou Jod Lo.
Agar Koi Tumhe Mehroom Kare Tou Usey Nawaz Do.
Agar Kisi Se Intiqaam Lena Ho Tou Dar-guzar Kardo.
Ghusse Me Aisi Baat Na Karo Ke, Baad Me Nadamat Ho”
Yeh “ILM” Hai ,..