♥ Mafhoom-e-Hadees: Farman-e-Mustafa (ﷺ) Hai Ke –
“Jo Shakhs Meri Ummat Tak Koi Islami Baat Pohchaye Ta’aki Uss Se Sunnat Qaayam Ki Jaye Ya Uss Se Bad’Mazhabi Door Ki Jaaye Tou Woh Jannati Hai.”
Tirmizi Sharif
Gour Karne Waali Baat Hai Ke RasoolAllah (ﷺ) Uss Shakhs Ko Jannat Ki Basharat Dey Rahe Hai Jiska Tou Hum Mazak Udatey Hai!.. Jabki Hum Sochtey Tak Nahi Ke Hakikat Me Hum Kiska Mazaq Udatey Hai ,..
# Sunnat Ka Mazak Udaney Se Ahtiyat Kare:
Aaj Agar Koi Sunnato Par Amal Ki Baat Karta Hai Tou Log Uska Mazak Udatey Hai !!
– Allah Ke Liye, Jab Koi Shakhs Koi Baat Kahe Tou Kum-Se-Kum Kaan Dhar Dijiye, Koshish Kijiye Ke Usney Kaha Se Ki Wo Baat, Puch Lijiye,
– Kahi Aisa Na Ho Ke La-Ilmi Me Mai Uski Baat Ka Mazak Uda Du Aur Baad Me Pata Chaley Ke RasoolAllah (ﷺ) Ki Sunnat Thi,
– Fir Baadme Mujhe Zindagi Bhar Pachtana Padey, Ke Kyu Maine Mazak Udaya Mere RasoolAllah (ﷺ) Ki Sunnat Ka.
Beharhaal Nabiyon Ki Ba’asat Ka Maksad Unki Ita-at Hai,.. Aur Rasool (ﷺ) Ki Ba’asat Ka Maksad Bhi Yahi Hai, Aapko Allah Rabbul Izzat Ne “Ideal Aur Role” Model Banaya Hai, Lekin Aaj RasoolAllah Ki Taalimat Ko Humne Chorr Diya Aur Uska Natija Kya Hua Hum Sabhi Dekh Hi Rahe Hai.
Jisne Sunnat Se Mohabbat ki Wo Rasool’Allah Ke Sath Hai:
– Rasool’Allah (ﷺ) Ke Paas Ek Ansari Sahabi Aaye ,.. Wo Ghumjada They Bohot.
RasoolAllah ﷺ Ne Unki Pareshani Ka Sabab Pucha ,..
Tou Unhone Kaha – “Aye Allah Ke Rasool (ﷺ)! Ek Gham Mujhe Khaye Ja Raha Hai, Ke Mai Yeh Sochta Hu Ke Aaj Dunia Me Aapka Chehra Mubarak Dekhey Bagair Hum Reh Nahi Patey, Chalte Aur Firtey, Uthtey Aur Baithtey Jab Bhi Aapki Yaad Aati, Aapse Aakar Hum Mil Letey Aapka Didaar Karte Aur Hume Sukun Milta Hai.
Lekin Mai Yeh Soch Kar Gham Kha Raha Hu Ke Roze Qayamat Tou Aap Ambiya (Alaihi Salato Salaam) Ke Sath Hongey, Waha Tou Hum Aapka Didaar Nahi Kar Payenge.
Aap (ﷺ) Khamosh Rahey.
Phir Aap (ﷺ) Par Yeh Aayat Nazil Hoti Hai:
“Jo Koi Allah Aur Rasool Ki Farmabardari Kerega Woh (Roze Qayamat) Unn Logon Ke Sath Hoga Jin Per Allah Ta’ala Ne Inaam Kiya Hai! Jaisey Nabi Aur Siddique Aur Shaheed Aur Nek Log; Yeh Kya Hi Behtareen Rafiq Hai.”
Surah 4 Nisa: Ayat 69
Aur Phir RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya –
“Al-Maru Ma’ Man Ahab”
“Insan (Qayamat Ke Din) Uskey Saath Jis Sey Wo Mohabbat Karta Hai.”
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 189
Aur Anas Bin Malik (R.A) Kehte hai ke: “Iss Hadees Ko Sun’ne Se Jyada Hume Kabhi Kisi Aur Hadees Par Itni Khushi Nahi Hui. Ke Insan Uske Sath Jis’se Wo Mohabbat Karta Hai.
Aur Hum Jantey Hai Ke Hum RasoolAllah ﷺ se Mohabbat Karte Hai, Lihaja Humara Hisaab Bhi RasoolAllah Ke Sath Hoga.”
* Tou Jisney RasoolAllah ﷺ se Mohabbat Ki Yaani RasoolAllah Ki Ita-at Ki, Wo RasoolAllah Ke Sath Hai,
* Jisney Filmstaro Ki Itteba Ki, Unsey Mohabbat Ki, Unkey Tareeko Ko Apnaya, Wo Unke Sath Hoga,
* Jisney Sportstars Ko Pasand Kiya, Unkey Tareeke Par Chala, Wo Unke Sath Hai,
* Jisney Kuffaro Ko Pasand Kiya, Unkey Tarsh Ko Apnaya Aur Unkey Tareeko Par Chala Wo Unkey Sath Hai.
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Ta’ala Hume Har Mu’amle me RasoolAllah (ﷺ) ki Sunnato ka Muttabe banaye.
To be Continued …