Ilm Ki Ahmiyat: Part-7

Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Baar Baar Musalamno Ko Ubhara Hai Duniyawi Ilm Haasil Karne Ke Liye, Sharayi Ilm Tou Yakinan Haasil Karna Hai Yeh Tou Buniyaad Hai Iski… Lekin Uskey Saath-Saath Duniyawi Ilm Bhi Haasil Karna Hai ,.. Jo Bohot Se Logone Isko Tark Kar Diya …

• Momin Ki Sifat Ke Wo Zikr Karte Hai Allah Ka –

Allah Rabbul Izzat Iske Talluk se Quraan me Ek Jagah Farmata Hai :

[bs-quote quote=”“ Yakinan Zameen-O-Aasman Ki Paidaish Me, Aur Raat Aur Din Ke Aane Aur Jaane Me Aqalmand Logon Ke Liye Nishaniya Hai, Ke Yeh Aqalmand Log Allah Ka Zikr Karte Hai Khadey Se, Baithey Se Aur Apni Karwato Par Aur Ye Log Fiqr Karte Hai Zameen-O-Aasmaan Ki Paidaish Me.. Aur Jab Fiqr Karte Hai Aasmaan Aur Zameen Ki Paidaish Me Tou Kahte Hai Ke – “Aye Allah! Tuney Beja Nahi Paida Kiya Inn Tamaam Cheezo Ko! Teri Zaat Paak Hai. Mujhe Aag Ke Azaab Se Bacha. ”” style=”style-7″ align=”center” author_name=”- (Al Quran; Aale Imran: 3:189-190)”][/bs-quote]

– Tou Yaha Allah Ta’ala Ne Momino Ki Sifat Batayi Hai Ke Allah Ka Zikr Aur Kaaynat Ke Andar Fiqr Karte Hai Momin ,.. Ab Afsos Ki Baat Hai Ke Jaha Zikr Hona Tha Waha Fiqr Shuru Kar Diya Humne Aur Jaha Fiqr Hona Tha Waha Zikr Karte Reh Gaye ,..

# Zikr Karna Hai Deen Ka!

Ismey Fiqr Nahi Karna.. Haa! Gour Karna Alag Baat Hai … Aisa Kyu Aur Waisa Kyu? Aur Falah Falah …
Bus Yeh Kehna Ke – “Aye Allah Mujhe Samjh Nahi Aa Raha Tu Mujhe Deen Ko Samjhney Ki Taufiq Dey,..” Lekin Ismey Fiqr Nahi Karna Hai…
Kyunki Shariyat Tou Bani-Banayi De Di Gayi Sabse Behtareen. Aur Ab Ismey Koi Naye Aqaid Ijaad Nahi Karna …

# Fiqr Tou Karna Hai Zameen–O-Aasman Me, Kaaynaat Me:

Tou Goya Agar Musalmaan Duniya Ke Andar Ijadad Kartey Hai, Discoveries Karte Hai, Inventions Karte Hai, Inkashafat Karte Hai Tou Iski Ijajat Hai …
Lekin Musalmaano Ne Duniya Me Tou Ijadad Chorr Diye.. Deen Ke Andar Ijadad Kiye Naye-Naye Aqaiad… Subhan’Allah

# Jaha Zikr Tha Waha Fiqr Karne Lagey Hum aur Jaha Fiqr Tha Waha Zikr Karne Lage.

* Duniya Me Sirf Zikr Hi Kar Rahe Hum –
“Ke Dekho! Kitne Acche-Acche Mobile Bana Rahi Hai Wo Companies”,
Shour Nahi Aa Raha Ke Hum Kyu Nahi Bana Saktey Aesi Cheeze? Humare Mumalik Kyu Nahi Bana Sakte?
Itni Acchi Acchi Goliya Aur Kitne Acche Acche Equipments Ijaad Karey Jis’se Insaniyat Ko Nafa Pohchey, Yeh Sab Hum Kyu Nahi Bana Sakte Tamaam Cheeze?

* Aur Jaha Ziqr Tha Waha Fiqre Shuru Kar Di –
“Mai Sochta Hu Yeh Hadees Aise Nahi Aise Hoti Tou Kitna Acha Hota?
Mai Sochta Hu Quraan Ko Padhney Se Accha Galey Me Latkaya Jaye Tou Jyada Sawaab !! Subhan’Allah…”

# Tou Kya Shariyat Humari Manmani Tareeke Se Chalne Waali Hai ? …. Nahi!! Bilkul Nahi!

# Lihaza Allah Ke Liye Hume Inn Baato Par Gour Karna Chahiye Ke Humara Rab Humse Kya Chahta Hai ? Aur Yeh Baat Siwaye Ilm Ke Hume Maloom Hona Na’mukin Hai .. Aur Ismey Dono Ilm Shaamil Hai …

Tou Allah Rabbul Izzat Ne Momino Ki Sifat Me Bayan Kar Diya Ke Yeh Ziqr Karte Hai Allah Ka Aur Fiqr Karte Hai Duniyawi Uloom Ka ,…

To Be Continue …

• Ilm Ki Ahmiyat → Parts:

1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15

Leave a Reply