Ilm-e-Ghaib ka Sawal jispar kayi Tehriko ka Ekhtilaf
Koi kehta hai Aap (ﷺ) ko Ilm-e-Gaib bilkul bhi nahi tha, aur koi kehta hai Aap ﷺ ko Mukammil (Completely) Ilm-e-Gaib tha.
Yaad rakhey aise dono kism ke log apne akide me kamzor hai, Inhe chahiye ke sahi ilm hasil kare aur apni islah kar ley.
Kyunki agar Aap Seerat un Nabi ﷺ ka Muta’ala karte hai tou Maaloom hoga ke Aap (ﷺ) ke sath aise kayi waqiyat pesh aaye Jis’se wajeh hota hai ke Aapko mukammil Gaib ka ilm nahi tha, balki utna hi tha jitna Allah ne aapko ata kiya.
Iske talluk se Allah Rabbul Izzat Quraan me Wajeh farmata hai –
Aur Aye Nabi ﷺ ! Aapko sikha diya jo kuch Aap na jantey they.
Surah Nisa 4:113
Gaib Ka Jaan ne Wala tou Apne Gaib par kisi ko Musallat nahi karta siwaye Apne pasandida Rasoolon ke, ke unke aage pichhe pehra mukarrar kar deta hai.
Surah Jinn 72:26,27
Tou in Aayato se maloom hota hai ke Aap (ﷺ) ko Gaib ka Ilm to tha lekin utna hi jitna Allah ne Ata kiya.
*Iske baad bhi Agar koi ye Aqeeda rakhey ke Aapko mukammil Ilm-e-Gaib tha tou yaad rakhiye aisa shakhs Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki mukaddas Seerat par sangeen ilzam laga raha hai. Usey chahiye ke wo apne aqeede ki Kitabo Sunnat ke mutabik islah karey.
Isiliye kyunki jo shaksh ye kahe ke Aap (ﷺ) ko Mukammil Ilme Gaib tha wo RasoolAllah (ﷺ) par nauzubillah Sahaba-e-Kiraam ke Qatl ka ilzam laga raha hai. (Nauzubillah), Is Se Mutaliq Seerat me kayi mashoor wakiyat aatey hai, Jaise ke –
Yahudi Aurat ne Dawat ke khane me Zehar milakar khilaya:
Ek Yahudan ne Aap ﷺ ko Khane ki Daawat di, Aap Apne 2 Sahaba ke sath uss dawat me shirkat kartey hai, uss yahudan ne khane me Zehar milakar Aapke samne pesh kiya, Aap (ﷺ) wo khane ka luqma muhh me letey hi Farishte Jibrayel (Alaihi Salam) ne aakar Aapko sari haqeekat bata di, ye sunkar Aapne turant wo niwala thunk diya, lekin sahaba tab tak thoda bohot kha chukey they jis se wo dono mouke par hi inteqal kar gaye.
Isi tarha Seerat me ek aur Mashhoor Wakiya Aata hai –
69 Khurra Sahaba ke Qatl ka Wakia:
Ek Qoum ke kuch log Aap ﷺ ke paas aakar kehte hai ke hum Islam sikhna chahte hai, Lihaja apne kuch Sathiyo(Sahaba) ko humare paas bheje taaki Hum unse Basharfe Islam ho.
Aap (ﷺ) ne 70 Khurra Sahaba jo Shariyat ka Choti ka ilm rakhte they Unhe uss Qoum ki rehnumayi ke liye bheja, unn basti walo ne 69 Sahaba ka Qatl kiya aur wk Sahabi bach kar Aap (ﷺ) ke paas aakar aapko saari Hakikat batatey hai.
Riwayato me Aata hai ke – Aap (ﷺ) is wakiye se itney Gahmzada huye ke Aapne 40 din tak Fazar Ke Namaz ke baad uss Qoum ke liye Badduwa ki, Hatta ke Jibrayeel (Alaihi Salam) ne aakar Aapko rok diya.
Tou Beharhaal ye 2 Wakiyat hi kaafi hai is baat ki wajahat ke liye ke Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko Mukammil Ilm-e-Gaib na tha, balki jo bhi tha wo Allah ki Ata se tha.
Ilm-e-Ghaib par Ikhtelaf ki Asal Wajah :
Ab kuch log ye bhi Aqeeda rakhtey hai ke dekho Aap (ﷺ) ko Ilm-e-Gaib tha lihaja humare falah Bujurg ko bhi hai. wo bhi Gaib ka ilm rakhtey hai !,. aur fir Shuru ho gayi Unse Mannato Murad , Unke liye Nazro Niyaz,.. aur Unke naam se Khurafat,. yahi Asal Wajah hai Ilm-e-Ghaib ke Dawedaro ki.
Tou aisa Akeeda Rakhne wale hazraat ki islah ke liye bhi Alahmdulillah Allah Rabbul Izzat ne aayat nazil kar di taaki wo bhi aisi BaddAqeedagi se bachey.
Aur Allah Ki Shaan Ye Nahi Ke, Aye Aam Logon! Tumhe Gaib Ka Ilm Dey De. Haan! Allah Chun Leta Hai Apne Rasoolon Se Jise Chahe.
Surah Aale-Imran 3: 179
Lihaja hume chahiye ke iIspar Ifrad aur Tafreed ka shikar na baney , kami aur jyadati na kare, ispar aisa hi iman rakhey jaisa Sahaba iman rakhte they.
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!
– Allah Rabbul Izzat Humare Imaan Ki Salamti Ata farmaye,
– Hume Kitabo Sunnat Ko Sahaba Ke Feham Ke Mutabik Samjhne ki taufik dey,
– Jab Tak Hume Zinda Rakhe Islam aur Iman Zinda rakhey.
– Khatma Humara Imaan par ho.
Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen,
Ameen Allahumma Ameen.