• Sawaal: Aksar Log Kahte Hai Ke Tamam Bujurgaan-e-Deen Aur Auliya Allaho Ko Inka Martba Dena Chahiye, Tou Humko Iss Mu’amle Me Kya Karna Chahiye? Aur Unke Talluk Se Log Bohot Saare Kissey Sunatey Hai .. Hum Yeh Kaise Maanley Jiski Koi Tasdik Shuda Daleel Hi Na Ho.. Fir Aise Mu’amle Me Hume Kya Karna Chahiye?
» Jawaab: Sabse Pahli Baat Ke Bujurgaan-e-Deen Ka Ahtraam Humpe Wajib Hai, Aur Sirf Bujurgaane Deen Ka Hi Nahi, Balki Tamam Momin Ka Ahtram Humpar Wajib Hai ,..
Aur Sirf Momin Ka Hi Nahi, Bulki Allah Rabbul Izzat Ne Tamam Aulade Adam Ka Ahtraam Humpar Wajib Kiya Hai.
♥ Ba’Qoul Quraane Majid : “Wa laqad Karamnaa Bani Aadam” – (Surat al-‘Israa, 17:70)..
*Jab Allah Ne Ikram Diya Tou Lazim Hai Ke Hum Sab Bhi Ek-Dusre Ka Ikram/Ahtraam Karey..
Aur Hum’me Jo Muttaki Parhezgaar Ho, TaqwaWale Aur Deendaar Ho, Nek Log Ho Yakinan Inki Izzat, Inka Ahtraam Hum Par Wajib Hai ,..
*Ab Raha Mu’amla Ke Kuch Log Bujurgaane Deen Ke Talluk Se Wakiyat Sunate Hai Jo Ki Tasdik Shuda Nahi Hoti Tou Aise Muamle Me Hume Kya Karna Chahiye ?
*Yaad Rakhiye ! Kabhi Youn Hota Hai Ke – “Shakhsiyat Durust Hoti Hai, Lekin Log Galat Wakiyat Unke Talluk Se Gadh Letey Hai, Tou Unn Galat Wakiyat Se Uss Shakhsiyat Ko Galat Nahi Samjhna Chahiye Humne ,..”
• Jaise Misaal Ke Taur Pe – Agar Allah Rabbul Izzat Quraan Me Isa (Alaihi Salam) Ke Talluk Se Tafsilat Na Deta Tou Hum Samjhte Ke Isa (Alahi Salam) Bohot Bada Gumraah Shakhs They, Jisne Itni Badi Insaniyat Ko Gumraah Kiya …
*Lekin Rabbul Izzat Ne Quraan Me Tafsilat Di Ke – “Isa (Alaihi Salam) Humare Nabi They ,.. Aur Unhone Ne Bhi Deen-e-Haq Ki Dawat Di Apni Ummat Ko, Lekin Baad Ke Logon Ne Unka Paigaam Badal Diya Apne Mafad Ke Liye ,…
Tou Yeh Tafseelat Aaney Ki Vajah Se Humne Kaha Ke Isa (Alaihi Salam) Allah Ke Nabi They..
*Tou Aisa Hota Hai Ke Nek Logon Ke Naam Se Baaz Log Itney Burey Kaam Kartey Hai Tou Hume Lagta Hai Ke Wo Shakhs Hi Galat Tha..
Jo Ki Bohot Galat Gumaan Hota Hai..
*Lihaja Kisi Shaksh Ke Kisi Galat Amal Ke Vajah Se Bujurgon Par Tohmat Lagana Bilkul Bhi Durust Nahi …
*Aur Unn Tamaam Log Jo Parda Farma Chukey Hai Unke Talluk Se Husne Jehan Rakhiye, Acha Gumaan Rakhiye ,..
♥ Bilkhusus Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke – “Jo Mar Gaye, Wo Apne Hisab Ko Pohoch Gaye, Unke Talluk Se Husne Guman Rakho. Jab Bhi Kaho Accha Kaho! Bura Mat Kaho ..” – (Sunan An-Nasai, Vol 3, The Book of Funerals, Hadith No,1938) – @[156344474474186:]
*Lihaja Hume Dargujar Karna Chahiye Ke Wo Kaise They, Warna Kuch Log, Kuch Galat Logon Ki Biddat Ko Dekhkar Wo Bicharey Shakhs Ko Buraa Boltey Hai Ke “Arey ! Wo Baba Ko Man’ney Wale Log Biddati Hai”..
Yeh Andaze Gumaan Tou Bohot Hi Galat Hai.. Hume Unko Bura Bhala Nahi Kehna Chahiye.. Ho Sakta Hai Ke Wo Nek Ho.. Aur Man’ne Walo Ne Galatiya, Biddatey Ijad Ki Unke Naam Se .. Aur Aisa Hota Bhi Hai…
*Tou Ab Jo Wakiyat Hotey Hai, Tou Jo Besanad Hai Beharhaal Unko Aap Naa Maaney ..
Haa! Lekin Kuch Wakiyat Hotey Hai Jisme Allah Ke Nek Bando, Allah Ke Waliyon Ke Ibratnaak Wakiyat Hotey Hai, Wo Wakiyat Sun’na Galat Nahi..
*Lekin Aksar Log Mohabbat Me Gulu Kar Jatey Hai, Aur Aise Aise Wakiyat Unn Shakhsiyat Ko Gadh Letey Hai Ke Jo Khud Ambiya (Alaihi Salam) Se Nahi Hui Wo Unko Mansub Kar Detey Hai ..
• Jaise Misaal Ke Taur Pe – “Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Daur Me Jango Ka Jab Mu’amla Aata Tou Rasool’Allah Sahaba Se Tawoon (Donation) Ki Appeal Kartey,
*Lekin Aaj Ke Dour Me Kuch Log Kahte Hai Ke – “Unn Falah-Falah Hazrat Ke Paas Jao Tou Sona-Chandi Mill Jata Hai” .. Subhan’Allah!!!
*Yeh Kaise Ho Sakta Hai.. Tou Aap Samjh Jayiye Ke Wakiyat Durust Nahi Hai..
Aur Jo Besanad Wakiyat Hotey Hai Aap Unhe Na Maney.. Aur Unn Wakiyat Ke Vajah Se Uss Shakhsiyat Par Ilzam Na Lagaye.. Ellah Ke Fir Wajeh Ho Jaye Ki Wo Shakhsiyat Wakay Me Jhuti Thi Ya Wo Shakhs Aise Bina Sir-Pair Ke Wakiyat/Afwah Apne Barey Me Mash’Hoor Karta ,..
Warna Umooman Taor Se Aap Unke Barey Me Accha Khayal Rakhey ,…
* Aur Har Shakhs Ko Chahiye Ke Wo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sirate Mubarak Ka Ilm Haasil Karey, Taaki Aisi Baato Ka Mu’azna Karna Aasan Ho Jaye Jo Log La-Ilmi Me Ambiya (Alaihi Salaato Salam) Ki Shaan Me Gustakhi Karne Lag Jatey Hai ,…
♥ Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke –
# Allah Ta’ala Hume Haq Sun’ne, Samjhne Aur Uss Par Amal Ki Taufiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Firqa