Contents
✦ Neki Acche Akhlaq ka Naam hai :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nawas bin Samaan Ansari (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Neki aur Gunaah ke baare me Poocha tou Aap ne farmaya “Neki Acche Akhlaaq ka Naam hai aur Gunah Jo tere Seeney me Khatke aur tujhe pasand na ho ke log usey jaaney.”
✦ Kaamil Iman ki Alamat :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) farmate hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya “Momino me Iman ke Aitbar se sabse Kamil Shakhs wo hai jiske Akhlaaq sabse acche hai.”
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Behtareen Akhlaaq wala sab se Kamil Momin hai aur Tum me behtar woh hai Jo apni Aurto ke Haq me Acchey (Narm Dil) hai.”
✦ Rozedaar aur Tahajjud Guzar jaisa Martaba :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummaha tul Momineen Ayesha (RaziAllahu Anha) farmati hai ke, Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko ye farmate huwe suna “Momin Apne Achche Akhlaaq se Rozedar aur Tahajjud Guzar ka Darja Hasil kar leta hai.”
✦ Meezan (Tarazu) me Wazni Cheez :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Darda (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya “Meezan me Achche Akhlaaq se Zyada bhari Cheez koi nahi.”
✦ Jannat ki Zamanat :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Umama (RaziAllahu Anhu) farmate hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya “Main Jannat ke Atraf me ek Ghar ka Zaamin hoon Uss Shakhs ke liye Jo haq pe hone ke bawjood Jhagda chorr dey , Aur Jannat ke darmiyan me ek Ghar ka Zaamin hoon Uss Shakhs ke liye Jo Mazaaq me bhi Jhoot bolna chorr dey , Aur Aala Jannat me ek Makan ka Zaamin hoon Uss Shakhs ke liye Jisne apna Akhlaq acha kiya.”
✦ Jannat me Dakhil ka Sabab :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se pucha gaya ke – “Kis Amal ki wajah se log Zyada Jannat me dakhil honge ?.. ” Aap ﷺ ne farmaya “Allah ka Khauf (Taqwa) aur Husn-e-Akhlaq se.”
Phir pucha gaya “Zyada tar log Jahannam me kin Aamal ki wajah se jayenge ?..” Aap ﷺ ne farmaya – “Munh (yani zubaan) aur Sharmgah ki wajah se.”
✦ RasoolAllah ﷺ se Nazdeeqi ka sabab :
♥ Mafhoom-e-Hadees: Jabir (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya “Qayamat ke din mere Nazdeeq tum me se sab se zyada mehboob aur qareeb baitne waley log wo hongey jo behtreen Akhlaaq waley hain.”
♥ In Sha Allah-Ul-Azeez !!!
– Allah Rabbul Izzat Hume Kahne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey!
– Humey Ba-adab Aur Ba-Akhlaaq Banaye!!
– Aur Sunnat-e-Rasool Ke Mutabik Hum’me aur Humari Naslo me Husn-e-Akhlaaq paida karne ki taufiq dey!!
– Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
– Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.