Peer aur Jumeraat (Monday & Thursday) ko Bande ke Aamaal pesh kiye jaate hai

[tabs]
[tab title=”Roman Urdu”]♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne irshaad farmaya –
“Har Peer aur Jumeraat (Monday & Thursday) ke din Allah Ta’ala ke saamne bando ke amaal pesh kiye jaate hain, Chunache Allah Ta’ala uss din har uss shakhs ki jo Allah Ta’ala ke saath kisi ko Shareek na thehraata ho magfirat farmata Hai,
Albatta woh shakhs uss bakhshish se mehroom rehta hai ke jiski apne kisi (Musalman) bhai se dushmani ho, (Allah Ta’ala ki taraf se farishto) ko kaha jayega: ‘un dono ko rehne do jab tak aapas me Sulah wa Safaayi na kar le, unn dono ko rehne do jab tak aapas me sulah wa safaayi na kar le.”

– (Sahih Muslim: 6546)
[/tab]
[tab title=”हिंदी”]♥ मफ़हूम-ए-हदीस: अबू हुरैरा (रज़िअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है, रसूलअल्लाह (ﷺ) ने इरशाद फरमाया –
“हर पीर और जुमेरात के दिन अल्लाह तआला के सामने बन्दो के आमाल पेश किए जाते है, चुनाचे अल्लाह तआला उस दीन हर उस उस शख्स की जो अल्लाह तआला के साथ किसी को शरीक ना ठेहराता हो मगफिरत फरमाता है,
अलबत्ता वह शख्स उस बख्शीश से मेहरूम रहता है के जिसकी अपने किसी (मुसलमान) भाई से दुश्मनी हो, (अल्लाह ताला की तरफ़ से फ़रिश्तो) को कहा जाऐगा: ’उन दोनो को रहने दो जबतक आपस में सुलह वा सफाई ना कर ले, उन दोनो को रहने दो जब तक आपस में सुलह व सफाई ना कर ले .. ”

– (सहिह मुस्लिम: 6546)
[/tab]
[/tabs]

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: