✦ Hadith: Nabi-e-Paak (ﷺ) irshad farmate hain –
“Rozi aur Barkat Uss Ghar ki taraf tezi se doudhti hai jis me Mehmaan ke sath khana khaya jata hai.”
– (Ibne Majah)
✦ Hadith: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par yaqeen rakhta ho usko apne mehman ki izzat karni chahiye”
– (Sahih Bukhari, Jild 7, Hadith no. 6135)
✦ Hadith: Uqba bin Aamir (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya
“Us shakhs me koi Khair (Bhalayee) nahi jo mehman nawazi nahi karta”
– (Masnad Ahmed 7088 -Sahih Al-Silsila As-Sahiha – 193)
✦ Hadith: Ek Din-O-Raat mehmaan ki khidmat uska jaaiz haq hai aur uski daawat-o-mehmaan nawaazi 3 din hai, uskey baad ki mezbaani uske liye sadqa hai aur Mehmaan ke liye zyaada din thehar kar mezbaan ko tangi me mubtela karna jaaiz nahi hai”
– (Bukhari Sharif)
✦ Hadith: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) ka bayan hai, Nabi-e-kareem (ﷺ) ne farmaya –
“(Mehman Nawazi Ke Mutabik) Sunnat ye hai ki Aadmi Mehmaan ko Darwaze tak rukhsat karne jaye”
– (Ibne Majah)
For more Islamic messages kindly download our Mobile App