Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai ….

♥ Al-Quraan: Allah Ta’ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega.
[Surat Al-Mujadila(58): Ayat-11]

♥ Isi Tarha Ilm Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Talluk Se Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai –
» Hadees: “Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai”.
(Miskat P:24)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai”.
– (Sunan ibn Majah, Vol-1, Hadith-224)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Har Cheez Ka Ek Raasta Hai Aur Jannat Ka Raasta Ilm Hai”.
(K.Ummal)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Raat Me Ek Pal (Ghadi) Ke Liye Ilm Padhna Padhaana
Raat Bhar Ki Ibadat Se Behtar Hai”.
(Darami, Mishkat Sharif, Anwarul Hadis Page-58)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Ilm Ki Majlish Me Haazir Hona 1000 Nafil Padhne Se Afzal Hai”.
(Tafseer Roo’hul Bayaan, J#10, P#221)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Behtareen Sadqa Yeh Hai Ki Musalman Aadmi Ilm Haasil Kare,
Phir Apne Musalman Bhai Ko Sikhaaye”
(Ibn-e-Majah J:1 S:158 H:243)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Ilm Ki Talab Me Jis Ke Qadam Khak Aalud Ho.
Allah Uske Jism Ko Jahannam Par Haraam Kar Dega
Aur Allah Ke Farishte Uske Liye Dua-e-Magfirat Karenge”.
(Tafsir-e-Kabir)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jo Ilm Ki Talaash Me Kisi Raste Par Chalta Hai,
Allah Uske Liye Jannat Ka Rasta Aasaan Farma Deta Hai”.
(Ibne Maja, Jild-1, Page:145)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jo Shakhs Talab-e-Ilm Me Rehta Hai, Allah Uske Rizq Ka Zaamin Hai”.
(Tareekh-e-Baghdad, Raqam-1535, Jild-3, Page-398)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh Talash Uskey Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi”.
(Mir’aatul Manahij, Jild 1, Safa 203)

♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jis Shakhs Ko Iss Haal Me Mout Aaye Ki Wo Ilm Hasil Kar Raha Ho, Taa’ki Iss Ke Zariye Islam Ko Zinda Karey(Faila Sakey) Tou Uss Ke Aur Ambiya Ke Darmiyan Jannat Me Sirf Ek Darjah Ka Farq Hoga”.
(Mishkat Sharif: Hadith no.231)

♥ Aakhir Me Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke, Allah Hum Tamaam Ko Beshumar Ilm Aur Amal Ki Taufiq Dey,
Beshumaar Sharayi Aur Duniyawi Ilm Ki Doulat Se Nawaze …
Sahih Ilm Ke Jarye Allah Ki Marfat Hasil Karne Ki Taufiq Ata Farmaye …
Jab Tak Humey Zinda Rakhe Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhe …
Khaatma Humara Imaan Par Ho…
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply