» Jawaab: Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke –
★ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ka Haq Bando Par Ye Hai Ke Sirf Usi Ki Ibadat Karey, Aur Kisiko Uska Shareek Na Thehraye.. Aur Bando Ka Haq Allah Par Ye Hai Ke Jo Koyi Shirk Na Karey Usey Azaab Na Dey.
– (Bukhari:2856, Muslim:30)
♥ Al-Quraan: “Jo Log Emaan Laaye Aur Apne Emaan Ko Zulm Se Mahfooj Kiya
Unke Liye Aman Hai Aur Wahi Hidayat Paney Wale Log Hain..”
– (Surah 6 Al-An’am, Aayat-82)