Halaqat Ka Bhawar Na’haq Khoon Karna Hai ….

♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Aur Jo Koi Kisi Momeen Ko Jaan Boojh Kar (Intentionally) Qatl Karey
Uski Saza Dojakh Hai Jismein Wo Hamesha Rahega Uss Par Allah Ka Ghazab Aur Uski Lanat Hai
Aur Allah Ne Uskey Liye Bada Azaab Tayyar Kiya Hai”.

– (Surah An-Nisa (4), Ayat-93)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Umar (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki:
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey hai –
“Halaqat Ka Bhawar Jismein Girney Ke Baad Phir Nikalney Ki Ummed Nahi Hai
Wo Nahaq Khoon Karna Hai Jisko Allah Subhanahu Ta’ala Ne Haraam Qarar Diya Hai”.
– (Sahih Bukhari, Vol-8, 6863)

Leave a Reply