Har Nasha Waali Cheez Haraam hai
۞ Hadees: Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta’ala Tinatah-al-khabaal peelayega
Jabir (R.A.) se riwayat hai ke,
Jaishaan se ek Aadmi Aaya aur Jaishaan Ek Shahar (Town) hai Yeman me, Uss Aadmi ne RasoolAllah (ﷺ) se Uss Sharaab ke Baarey me Puchha ke Jo Unn Elaqon me Pee jati hai aur wo Sharaab jo Taiyaar hoti hai Uss Sharaab ko Mizr kaha jata tha.
Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “Wo Sharaab Nasha (Intoxicating) waali hai?”
Uss ne Arz Kiya, “Ji Haan!”
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :
“Har Nasha Wali Cheez Haraam hai, Kyon ke Allah Ta’ala ka uss Aadmi ke liye Waada hai ke Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta’ala Tinatah-al-khabaal peelayega.”
Sahaba ne arz kiya: “Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Tinatah-al-Khabaal kya cheez hai ?
Tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Dozakhiyon ka Pasina hai.”
📕 Sahih Muslim, Hadees no. 5217
• Note: Jo Cheez Ya Aamal Insan ko Madhosh kar de aur wo Apne Rab ke Zikr-Wa-Rehmato se thodi der ke liye bhi Gafeel ho jaye aisi har Cheeze Haraam hai, fir chahe woh Sharaab ho Tambakhu, Guthka ho ya Gaana-Bajana.
Jo bhi Peene waali Cheez Nasha Laaye wo Haraam hai
Hazrate Aayesha (R.A.) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Jo bhi Peene Waali Cheez Nasha Laaaye wo haram hai.”
📕 Sahih Bukhari, Vol 1, Hadees: 242
Sharaab Peena aur Juwa Khelna Kaisa hai?
Allah Ta’ala Quran-e-Kareem me farmata hai:
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“(Aye Rasool!) Aap se log Sharaab aur Juye (Gambling) ke baare me puchte hai tou Aap Unsey keh Dijiye ke in me badaa Gunaah hai aur Logon ke liye kuch faydey bhi hai aur unka Gunaah unke Nafaa se bahut bada hai.”
Related Post