Aib Waali Cheeze Tijarat me Bechne ka Tareeqa
RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya –
“Ek Musalman dusre Musalman ka Bhai hai aur jab musalman apne bhai ke haath koi cheez bechey jis me Aib (Burayi) ho tou jab tak bayaan na kare us sey bechna halaal nahi.”
📕 Sunan ibne Majah, Hadees 2246
Sabaq: Tijarat me iss baat ka hamesha khayal rakhe ki agar kisi ko koi cheez bech rahe ho tou bechne se pehle uss cheez ki khami aur aibo ko bhi bayaan kare ki yeh uss par wajib hai.