✦ Mafhum-e-Hadees:
Hazrat Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) ne farmaya Gareeb log (Sahaba) Nabi (ﷺ) ki khidmat me hazir huye aur kaha ki:
Ameer aur Raees log buland darjat aur hamesha rahne waali Jannat haasil kar chuke halanki jis tarah hum Namaz parhte hain wo bhi parhte hain aur jaise hum roze rakhte hain wo bhi rakhte hain lekin Maal wa Daulat ki wajah se unhe hum par fowqiyat hasil hai ki uski wajah se wo HAJJ karte hain Umrah karte hain Jihad karte hain aur Sadqa dete hain aur hum Mohtaji ki wajah se un kaamo ko nahi kar paate.
is par Aap (ﷺ) ne farmaya ki ‘Main tumhe ek aisa amal batata hun ki agar tum uski pabandi karoge tou jo log tumse aage badh chuke hain tum un tak pahunch jaoge aur tumhare martabe tak phir koi nahi pahunch sakta aur tum sabse achche ho jaoge siwa unke jo yahi amal shuru kar de.’
Har namaz ke baad 33 martaba Tasbeeh (Subhanallah) aur Tamheed ( Alhamdulillah) aur Takbeer (Allahu Akbar) kaha karo. phir hum main Ikhtilaf ho gaya kisi ne kaha ki hum tasbeeh 33 martaba , tamheed 33 martaba aur takbeer 34 martaba kahe.
Maine is par Aap (Sallallaho Alaihe wasallam) se dubara malum kiya tou Aap (Sallallaho Alaihe wasallam) ne farmaya SubhanAllah aur Alhamdulillah aur Allahu Akbar kaho taaki har ek unmein se 33 martaba ho jaye.