Shohrat Ke Waste Ilm Haasil Karne Wala Dozakhi Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Jo Insan Deen-e-Islam Ka Ilm Sirf Isliye Sikhna Chahta Ho Ke Uss Ilm Ke Jarye Wo Kum Ilm Walo(Jaahilo) Par Fakr (Ghamand) Kare, Ulema (Scholar) Se Jhagda Kare, Logon Me Aalim Ke Taur Par Mash'hoor (Famous) Ho Jaaye Aur Log Uski Izzat Kare Tou Aesa Insan Dozakh Me Jaaega ,.." - (Tirmizi #2654, Ibne Majah #253 : @[156344474474186:]) ♥ Allahu Akbar !!! - Allah Rabbul Izzat Humey Ikhlas Ke Sath Sahih Ilmo-Amal Ki Taufik dey,. - Hume Kitabo Sunnat Ki Dawat Mukhlisana Koshisho Ke Saath Aam Karne Wala banaye ,.. –…
Khane Ke Faraiz : Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao… ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao, Ki Barqat Jamaat Ke Saath Hai, Aur Khadey Hokar Na Khaao Aur Na Piyo.." - (Ibne Maajah, Jild-4, Safa-21, Hadees-3287) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Koi Khaana Khaye Tou Wo Uss Waqt Tak Haath Na Dhoye Jab Tak Wo Ungliyon Ko Chaat Na Le.." - (Bukhari Sharif) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Khana Kha Ke Shukar Ada Karne Wale Ka Darja, Sabr Karne Wale Rozedar Ke Barabar Hota Hai.." - (Tirmizi, Hadees-2021)
Ilm Ki Talash Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ke - "Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh Talash Uss Ke Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi” - (Mir’aatul Manahij, Jild 1, Safa 203) # Wajahat: Taalib-e-Ilm Se Sagira Gunaah Muaf Hote Jate Hai, Jaise (Gunaah-e-Saghira) Wuzu Namaz Vagaira Ibadat Se Lihaza IsKa Matlab Yeh Nahi Ke Talibe Ilm Jo Chahe Gunaah Kare. - Balki Matlab Yeh Hai Ki Allah Ta’ala Niyat-e-Khair Se Ilm Ki Talab Karne Walo Ko Gunaaho Se Bachney aur Gujasta Gunaahao Ka Kaffara Ada Karne Ki Toufiq Deta Hai,.. Subhan'Allah ,.. For more Islamic messages kindly download…
Har Cheez ke saath accha tareeqa ikhteyar kare Hadees of the day Har Cheez ke saath accha tareeqa ikhteyar kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Allah Taala ne Har cheez ke saath accha tareeqa ikhteyaar karna Zaroori qaraar diya hai." 📕 Sahih Muslim 1955 (5055)
Baap ke Saath Husne Sulook ka Aala Darja ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah ibn Umar (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Baap ke saath Husne Sulook ka Aala Darja yeh hai ke uski Wafaat ke baad us ke Milne julne waalo ke saath accha sulook kare." - (Muslim, 6679) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अब्दुल्लाह इब्ने उम्र (रजीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "बाप के साथ हुस्ने सुलुक का आला दर्जा यह है के उसकी वफात के बाद उस के मिलने जुलने वालो के साथ अच्छा सुलूक करे" - (मुस्लिम, 6679) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Zabardasti Badkari (Rape) Karne Par Saza-e-Maut # Aurat Ke Saath Zabardasti Badkari (Rape) Karne Par Saza-e-Mout ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ibn Hujr (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Zamane Me Ek Aurat(Sahabiya) Namaz Ke Liye Nikli, Raaste Me Ek Aadmi Unsey Mila Aur Usney Uss Aurat Ke Saath Zabardasti Badkari Ki (Yaani Uska Rape Kiya) , Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Uss Shakhs Ko Sangsaar Yaani Rajam Karne Ka Hukm Diya. (Yaani Usey Zameen Me Aadha Daalkar Tab Tak Paththar Mare Jaye Jab Tak Wo Mar Na Jaye). - (Sunan Abu Dawud, Vol3, 973) # Sabak : Aaj Bahut Se Mulk Rape…
Jhagdalu Rishtedaro se Sila Rehmi karne wale ki Fazilat ۞ Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Ek Shakhs ne arz kiya "Ya Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Mere baaz rishtedar hai, Mai unsey taalluq jodta hoon wo Mujh se taalluq todtey hai, Mai unke Saath accha Salook karta hoon, wo mere Saath badsalooki karte hai. aur Mai unki ziyadtio ko bardasht karta hoon, Wo mere Saath jahalat se pesh aate hai." Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshad farmaya "Jaisa tum keh rahe ho agar aisa hi hai tou goya tum unke mooh me garam garam raakh jhonk rahe ho aur jab tak tum iss khoobi par qayam…
Samjhote me Pahal Karne Wale ke Gunah Muaf Kar Diye Jate hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, "Do Jhagda Karne Walo me Pahle Sulah (Samjhota) Karne Wale ke Gunah Muaf Kar Diye Jate hai" - (Sahi Al Targeeb 2759) ♥ मफहूम ऐ हदीस: "नबी ऐ करीम (सलाल्लाहू अलेही वसल्लम) ने फ़रमाया: "दो झगड़ा करने वालों मे पहले सुलह (समझौता) करने वाले के गुनाह माफ़ कर दिये जाते हैं" - (सही अल तरग़ीब: 2759) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Zikr-e-Ilaahi karne walo ke Liye Khush khabri ... Hadees of the Day Zikr-e-Ilaahi karne walo ke Liye Khush khabri Hazrte Abu Huraira (R.A) se Mairvi hai ki,Rasool'Allah (ﷺ) ka farman hai - “Allah Ta'ala ke kuch Sayyah (Yaani Sair Karne Wale) Farishte hai, Jab Woh Mehafil-e-Zikr (Allah ka Zikr/Ibadat karne walo) ke Paas se Gujarte hai touEk Dusre se kahte hai: (Yahan) Baitho. Jab Zakirinn (Zikr Karnewale) Dua Mangte hai tou Farishte Unki Dua par 'Aameen' Kehte hai. Jab Woh Nabi (ﷺ) par Durood bhejte hai tou Woh Farishte bhi Unke Sath Milkar Durood bhejte hai, Hatta ki woh Muntashir (Yaani Idhar Udhar) ho jate hai. Phir Farishte…
Ramzan ke Aakhri Ashrey me Jyada Ibadat ki Ahmiyat ♥ Mafhum-e-Hadees: Umme Aayesha (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ki: "Jab (Ramazan ka) Aakhri ashra aata tou Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) apna tehband mazboot baandh letey (yaani ibadat ke liye apni kamar kas letey) aur un raaton me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) khud bhi jagtey aur apne ghar walon ko bhi jagaya karte they." 📕 Sahih Al Bukhari , Vol 3, Hadith 2024 Ramazan ki Raato me Qayam ki Fazilat: ♥ Mafhum-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai Ki, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Jisne Ramazan Ki Raato me Imaan Aur Sawab Ki Niyat Ke Saath Namaz Padhi…
Salaam Me Pehal Karne Wala Ghamand Se Paak ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai ke - “Salaam Me Pehal Karne Wala Ghamand Se Paak Hai”. – (Mishkat Sharif, Jild 2, Page-684, Hadees-4434) *Hiqmat: Yaad Rakhiye Ek Ghamandi Insan Hi Dusro Ko Apne Se Kamtar Samjhta Hai ,.. Isiliye Wo Logon Se Dua Salam Karne ke Bajaye Ummid Karta Hai Ke Log Uss Se Dua Salam Me Pehal Kare ,.. *Aur Afsos Ki Baat Hai ! Aaj Musalmano Me Chand Fikri Ikhtelaf Ki Buniyad Par Dua Salam Na Karne Ki Talim Di Jaati Hai ,.. Goya Ummat Me Intehar Failaya Jaa Raha Hai ,... Ke Salam Mat…
Gusl ke Haalat Aur Aqsaam... Wajoob Ghusl ki Haalat ko haalat-e-Janaabat’ kehte hain. Jis insaan par Gusl Waajib ho wo Jumbi kehlata hai. Jumbi Gusl karne se pehle Na tou Namaz ada kar sakta hai aur Na hi Ka’abe ka Tawaf kar Sakta hai. Mudarja zel Halato’n me musalman Mard aur Aurat par Gusl karna farz hojaata hai. 1. Josh ke saath mani Khaari hone ke ba’ad. (Is me Ehtelaam (Nightfall) bhi Daaqhil hai) 2. Sohbat (Sexual Intercourse) ke ba’ad. 3. Haiz ke ba’ad. 4. Nifaas ke ba’ad (wo Khoon jo bacche ke paidaesh par jaari hota hai) 5. Marne ke ba’ad Maiyyat ka Gusl.…
Khush-haal logon ki tarah Na-shukri karne se bacho ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Asma Bint yazeed Ansaria (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ke, wo kehti hain ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) mere paas se guzrey, aur mai apni saheliyon ke saath baithi thi. Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne hamein salaam kiya aur farmaya: "khush-haal logon ki tarah na-shukri karne se bacho..." Maine kaha: "Aye Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)! khush-haal logon ki na-shukri kya hoti hai ?.." *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Mumkin hai ke tum mein se koi aurat lambi umar apne waldein ke paas be-shohar ki zindagi guzarti rahe. Phir Allah Ta'ala tumhen khawind ata kare…