Kya Sayed Afzal hai aur Unpar Zakaat Haram hai ? ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Sawal: Islam me Yakinan Khandani aur Rangat ke Aitbaar se Unch-Nich Ka Mumla Nahi Hai. tou fir kuch log aisa kyu tasawwur karte hai ke Sayed Unche hai aur baaki nichey. aur Kya Sayed par Zakaat Haram hai ? Aayiye Iski Hakikat Jan'ne ki koshish karte hai: Sabse pahli baat yeh hai ke “Sayed Afzal hai’ aisa logon ne kuch cheezo ko manmane dhang se bana liya, jabki Shariyat ne is cheez ki Ijajat nahi di.…
Jo Shakhs Juma ke din Apni Biwi ko Gusal karwaye aur… Hadees of the Day Jo Shakhs Juma ke din Apni Biwi ko Gusal karwaye aur khud bhi Gusal kare Aws bin Aws (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Juma ke din (Apni Biwi) ko gusal karwaye aur khud bhi gusal kare phir namaz ke liye jaldi jaye, paidal jaye aur sawar hokar na jaye aur imam ke nazdeek hokar khutba suney aur behuda baat na kare to uske har qadam par usko ek saal ke…
Hadees: Quran ki tilawat karo, yeh Qayamat ke din… Hadith: 19 -July: Abu Umama (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝Quran ki tilawat kiya karo, is liye ke yeh Qayamat ke din tilawat karne waalo ke haq me Sifarish karega.❞ 📕 Sahih Muslim 804
Qayamat ke Din Arsh e Ilaahi Ke Saaye Me Rehne Wale Log ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hain: "Qayamat Ke Din Teen(3) Shakhs Arsh-e-Ilaahi Ke Saaye Me Honge, Jis Din Ke Uss Ke Saaye Ke Siwa Koi Saaya Na Hoga. Sahaba (RaziAllahu Anhu) Ne Arz Kiya, "Ya Rasool'Allah! Wo KhushNaseeb Koun Hain ?". Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: ∗1. Ek Wo Jis Ne Mere Kisi MusibatZadah Ummati Ki Pareshani Door Ki. ∗2. Duwwam Wo Jis Ne Meri Sunnat Ko Zinda Kiya. ∗3. Teesra Wo Shakhs Ke Jis…
Takkabur kya hai aur takabbur karna kisko zeba deta hai ? Takkabur kise kehte hai ? Jawaab: khud ko Afzal aur dusron ko Haqeer samjhne ka naam Takabbur hai. ✦ Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmatey hai ki "Takabbur haq ki Mukhalifat aur logon ko Haqeer jaan ne ka naam hai." [Sahih Muslim: Hadith 91] Allah Rabbul Izzat Takabbur ke talluk se Qurane Majid me farmata hai: 1). ❝ Aur yaad karo jab hum (Allah) ne farishton ko hukm diyaa ki Aadam ko sajda karo tou sab ne sajda kiya siwaaye iblis…
Jumma ke Din Ek Ghadi Aesi Aati hai Jis me Hadees of the Day | Jumuah Series Abu Huraira (R.A) riwayat karte hain ki.RasoolAllah (ﷺ) ne Jumme ke Zikr me Ek martaba farmaya - "Jum'ma ke Din Ek Ghadi aesi aati hai Jis me agar koi Musalman Banda Namaz padh raha ho aur koi Cheez Allah se mange tou Allah Rabbul Izzat Usey woh Cheez zarur deta hai. RasoolAllah (ﷺ) ne haath ke Ishare se bataya 'Woh Ghadi bahut thodi si hai.' 📕 Bukhari Sharif, Kitabul Jum'ma, Hadees 935
Qurbani kis din karna Afzal hai? Qurbani Eid ke Din Namaz ke baad karna Afzal hai, agarche Qurbani Ayyame Tashreeq yaani 4 din tak kar sakte hai…
Youm e Ashura ke Din Musa Alaihi Salam ki Qoum ko Aazadi Yaum-e-Aashura (10 Muharram) ki Fazeelat Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Is Din Allah ne Hazrat Musa (Alaihissalam) ko Najaat di thi Aur Firaun aur Uski Qaum ko Gharq kiya tha." 📕 Sahih Bukhari: 3397 RELATED POST ABOUT ASHURA 10 Muharram / Ashura ke Roze ki Fazilat Muharram bayan Mp3 Free Download by Ahle Sunnat Ulema Maah-e-Muharram ki Fazilat, Masnoon Amal aur Biddatein Kya Muharram Gham ka Maheena hai? Jo Matam kare wo Musalmano me se nahi
Insaan ke Badan ke har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Insaan ke Badan ke Har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hain : "Insaan ke Badan ke har Jod par har us Din ka Sadqa Waajib hai Jismein Sooraj Tuloo hota hai. aur Logo ke Darmiyaan Insaaf karna bhi Ek Sadqa hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 2707
Qayamat ke din sabse pehle kiska hisab hoga Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Qayamat ke Din Logon ke Darmiyan Sabse Pehle Jis Cheez ka Faisla hoga woh Na Haq Khoon ke Badle ka hoga.” 📕 Sahih Bukhari: Hadees 6533
Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani… Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani Aag ko bujha deti hai ۞ Hadees: Ka'b bin Ujrah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Sadqa Gunaahon ko iss tarha khatam kar deta hai jis tarah paani Aag ko bujha deti hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi 614; Grade: Hasan
Shab e Barat yaani Sahaba ko Gaali dene wala din… Shab e Barat Shia ka festival hai, Sahaba ko Gaali dete hai Shia is din, Dekhe Sunni Ulemao ne kaise khol di inki pol Shab e Barat ki ibteda Shiao se hui hai, Sahaba aur Ahle Sunnat wal jamat se nafrat ka ijhaar karne wale din ko Shia log Shab e Baraat ke naam se manate hai. is video ko dekhkar koi Gustaak hi hoga jo Shab e Barat manayega. Allah Hidayat de Ummat-e-Muslima ko aur aise tamam gusthakana rasmo…
Samundar ka paani paak hai aur usme Mar jaane wale… Samundar ka Paani aur Wuzu Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki ek shakhs ne RasoolAllah (ﷺ) se puchha ki: "Hum log Samundari safar karte hain aur apne saath thoda bahut paani le jaate hain. agar hum us paani se wuzu kar le tou pyaase reh jayenge, tou kya hum samundari paani se wuzu kar kiya karein ? Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Samundar ka paani Paak karne wala hai aur usme mar jaane waale jaanwar halaal hain.” - Sunan an-Nasa'i 59- Sahih (Darussalam)
Betiyan Qayamat ke din jahannam se uski aad… Hadees of the Day Betiyan Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi Aisha (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "jiski betiyan ho aur wo unke saath neki kare tou wo Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi.." 📕 Sahih Muslim, Vol 6, 6693 Aisha (R.A) se riwayat hai ki,Ek miskeena (faqeer Aurat) mere paas Aayee apni 2 betiyon ko liye huye mainey usko 3 khajurain dee, usney har ek beti ko ek ek…