Betiyan Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi

♥ Mafhoom-e-Hadees: Aisha (RaziAllahu Anha) se rivayat hai ki,
Rasool’Allah (SalAllahu Alaihi Wasallam) ne farmaya:
“jiski betiyan ho aur wo unke saath neki kare tou
wo Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi..”

– Sahih Muslim, Vol 6, 6693

♥ Mafhoom-e-Hadees: Aisha (RaziAllahu Anha) se rivayat hai ki,
ek miskeena (fakeer Aurat) mere paas Aayee apni 2 betiyon ko liye huye mainey usko 3 khajurain dee,
usney har ek beti ko ek ek khajur dee aur teesri khajur khaney ke liye munh se lagayee itney mein uski betiyon ne wo khajur bhi mangi usney us khajur ke isey khud khana chahti thi 2 tukdey kiye,.
mujhe ye haal dekhkar taajjub hua mainey jo usney kiya tha Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se bayan kiya
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
“Allah Subhanahu ne is wajah se uskey liye
jannat wajib kar di ya jahanam se aazad kar diya.”

– Sahih Muslim, 6694

♥ Mafhoom-e-Hadees: Malik (RaziAllahu Anhu) se rivayat hai ki,
Rasool’Allah (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ne farmaya:
“jo Do betiyon ko paale unke jawan hone tak,
Qayamat ke din wo aur main is tarah se aayenge aur
Aap (SalAllahu Alaihi Wasallam) ne apni unglion ko mila kar bataya”

– Sahih Muslim, Jild 6, 6695

5/5 - (1 vote)

Leave a Comment