Qurbani kis din karna Afzal hai?
Jawab: Qurbani Eid ke Din Namaz ke baad karna Afzal hai, agarche Qurbani Ayyame Tashreeq yaani 4 din tak kar sakte hai
Eid ki namaz ke baad se Qurbani ka waqt shuru ho kar 13 Zul-Hijjah ke Maghrib ka sooraj doobne par khatm ho jaata hai. Yaani Qurbani ke chaar din Kitaabullah aur Sunnat e Rasool ﷺ se saabit hain. Is silsile mein bahut saare dalail hain, Hujjat ke liye ek daleel hi kaafi hai. Nabi ﷺ ka farmaan hai:
Poora Arafat wuqoof (theharne) ki jagah hai aur Uranah se hat kar wuqoof karo (thehro) aur poora Muzdalifah wuqoof (theharne) ki jagah hai aur Waadi e Muhassir se hat kar wuqoof karo (thehro) aur Mina ka har raasta Qurbani ki jagah hai aur Tashreeq ke tamam din zabah karne ke din hain. [Sahih ul Jami’: 4537]
Referance : Qurbani ke Masail