Juma me Tahiyatul masjid ha hukm

Juma ke Khutbe ke dauran Tahiyatul Masjid padhna kaisa hai?

Hadees of the Day | Jumuah Series

Aksar dekha jata hai ke Juma ke din jab Imam Khudba de rahe hote hai to kayi log aate hi Namaz padhne lag jaate hai, to kya ye amal durust hai. aayiye aahadees ki roshni me iska mutala karte hai.

Juma me Tahiyatul masjid ha hukm

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Jab Tum Mein se Koi Jumuah ke Din (Masjid) Aaye Jabki Imaam Khutba de Raha ho tou Woh 2 Raka’tein Padhe aur Un mein Ikhtisaar Kare.”

📕 Sahih Muslim: 875 (2024)

Maloom hua ke Jumay ki namaaz ke liye masjid mein pahunchne ke baad sabse pehla kaam Tahayyatul Masjid ki adayegi hai. Chahe woh khutba shuru hone se pehle masjid mein aaye ya imam ke khutba shuru karne ke baad.

4.5/5 - (22 votes)
Ek Jumuah Mein Haziri se 10 Dino ke Gunahon ki Maafi

Ek Jumuah Mein Haziri se 10 Dino ke Gunahon ki Maafi

Hadees of the Day | Jumuah Series

Ek Jumuah Mein Haziri se 10 Dino ke Gunahon ki Maafi

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Jisne Ghusl Kiya, Phir Jumuah ke Liye Hazir Hua,
phir Uske Muqaddar mein Jitni (Nafil) Namaaz thi padhi,
phir Khamoshi se (Khutbah) sunta raha,
yahan tak ki Khateeb apne Khutbe se Faarigh ho gaya,

phir Uske Sath Namaz padhi, to Uske
us Jumuah se Lekar Ek aur Jumuah tak ke
Gunah bakhsh diye Jaate hain.
Aur Mazeed 3 Dinon ke bhi.”

📕 Sahih Muslim: 857 (1987)

5/5 - (3 votes)
Hadees Behtreen Din Jumma ka Din hai

Behtreen Din Jumma ka Din hai

Hadees of the Day | Jumma Series

Behtreen Din Jumma ka Din hai

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Behtreen Din Jis par Sooraj Tuloo hota hai, Jumuah ka Din hai.”

📕 Sahih Muslim: 854 (1976)

4.5/5 - (17 votes)