Juma me Tahiyatul masjid ha hukm

Juma ke Khutbe ke dauran Tahiyatul Masjid padhna kaisa hai?

Hadees of the Day | Jumuah Series

Aksar dekha jata hai ke Juma ke din jab Imam Khudba de rahe hote hai to kayi log aate hi Namaz padhne lag jaate hai, to kya ye amal durust hai. aayiye aahadees ki roshni me iska mutala karte hai.

Juma me Tahiyatul masjid ha hukm

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Jab Tum Mein se Koi Jumuah ke Din (Masjid) Aaye Jabki Imaam Khutba de Raha ho tou Woh 2 Raka’tein Padhe aur Un mein Ikhtisaar Kare.”

📕 Sahih Muslim: 875 (2024)

Maloom hua ke Jumay ki namaaz ke liye masjid mein pahunchne ke baad sabse pehla kaam Tahayyatul Masjid ki adayegi hai. Chahe woh khutba shuru hone se pehle masjid mein aaye ya imam ke khutba shuru karne ke baad.

4.5/5 - (20 votes)
Juma ki Namaz kis par Farz hai.jpg

Juma ki Namaz kis par Farz hai?

Hadees of the Day | Jumuah Series

4 logo ke Alawa har Musalman par Farz hai

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Jumuah ki Namaaz Jama’at se Ada Karna har Musalman par Farz hai Siwaye 4 Logon: Ghulaam, Aurat, Nabaligh Bachcha aur Bimaar ke.”

📕 Abu Dawood: 1067 (Sahih)

4.7/5 - (16 votes)
Ek Jumuah Mein Haziri se 10 Dino ke Gunahon ki Maafi

Ek Jumuah Mein Haziri se 10 Dino ke Gunahon ki Maafi

Hadees of the Day | Jumuah Series

Ek Jumuah Mein Haziri se 10 Dino ke Gunahon ki Maafi

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Jisne Ghusl Kiya, Phir Jumuah ke Liye Hazir Hua,
phir Uske Muqaddar mein Jitni (Nafil) Namaaz thi padhi,
phir Khamoshi se (Khutbah) sunta raha,
yahan tak ki Khateeb apne Khutbe se Faarigh ho gaya,

phir Uske Sath Namaz padhi, to Uske
us Jumuah se Lekar Ek aur Jumuah tak ke
Gunah bakhsh diye Jaate hain.
Aur Mazeed 3 Dinon ke bhi.”

📕 Sahih Muslim: 857 (1987)

5/5 - (3 votes)
24 Muharram | Sirf Paanch Minute ka Madarsa

24. मुहर्रम | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा

तारीख: हजरत इस्माईल (अ.स), मुअजिजा : अहद नामे को कीड़े के खाने की खबर देना, एक फ़र्ज़ : गुस्ल के लिए तयम्मुम करना, एक सुन्नत : खुशखबरी सुन कर दुआ पढ़ना, अहेम अमल : जुमा के दिन सूरह कहफ पढ़ना, अल्लाह की आयतों को न मानने का गुनाह …

Hadees Behtreen Din Jumma ka Din hai

Behtreen Din Jumma ka Din hai

Hadees of the Day | Jumma Series

Behtreen Din Jumma ka Din hai

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Behtreen Din Jis par Sooraj Tuloo hota hai, Jumuah ka Din hai.”

📕 Sahih Muslim: 854 (1976)

4.5/5 - (17 votes)
Juma ka khutba hadees

Khutba-e-Juma ke Adaab

Hadees of the Day

Khutba-e-Juma ke Adaab

Samura Ibne Zundab (R.A) ne kaha ki –
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya :

Hazir Raho Khutbey (Jumma ke Khutbe) ke Waqt aur Imaam se Qareeb raho
Isliye ke Aadmi Jis Qadar door rahega usi Qadar Jannat me piche rahega
agarche woh Jannat me Dakhil zaroor hoga.”

📕 Sunan Abu Dawood, Hadees 1108

5/5 - (6 votes)
30 Zil Hijjah | Sirf Paanch Minute ka Madarsa

30 Zil Hijjah | सिर्फ़ 5 मिनट का मदरसा

तारीख: तातारी फ़ितना और आलमे इस्लाम, हुजूर (ﷺ) का मुअजिजा : रौशनी का तेज़ होना, एक फर्ज : नमाज़े जुमा के लिए जमात का होना, अहेम अमल : मोमिन की परेशानी में मगफिरत , एक गुनाह : बुरे कामों की सज़ा, नज़रे बद और शैतानी असर से हिफ़ाज़त …

Jummah ke Din Tamam Janwar Qayamat ke Darr se Kaan Lagaye hue

Jummah ke Din Tamam Janwar Qayamat ke Darr se

Hadees of the Day

Jummah ke Din Tamam Janwar Qayamat ke Darr se Kaan Lagaye hue

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

Jumuah ke Din Subah Hote hi Tamaam Jaanwar Qayaamat ke Dar se Kaan Lagaye Huye hote hain Yahan Tak ki Sooraj Tuloo ho jaye, Siwaye Jinnon Aur Insaano ke.

📕 Abu Dawood: 1046 (Sahih)

5/5 - (11 votes)
Jummah ke liye khas libaas

Jummah ke liye khas libaas

Hadees of the Day

Jummah ke liye khas libaas

Ummul Momineen Ayesha (R.A) ne farmaya:
Nabi Akram (ﷺ) ne Jumuah ke Din Awaam se Khitaab farmaya tou Aapne Dekha ki Unhone (Roz Marrah Istemaal ki) Chaadrein Odh rakhi hain. Tab Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Kya Harj hai ki Tum Mein se Kisi Aadmi ke Paas Gunjaish ho to (Woh Roz Marrah ke) Kaam Kaaj ke Kapdon ke Alawa Jumuah ke Liye (Khaas Taur par) Kapde Tayyar kar le.”

📕 Sunan Ibn Maaja: 1096 (Sahih)

5/5 - (9 votes)