Hadees Of The Day
Juma Momino ke liye Eid ka Din hai
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke –
“Beshaq Juma ka Din Eid ka Din hai.”
Juma ke din se har Makhluk darti hai
Ek aur Riwayat me Aap (ﷺ) ne farmaya:
“Juma ka Din Dino’n ka Sardar hai, Allah ke nazdeek
Badaa din hai aur ye Allah ke Nazdeek
Eid-uz-Zuhaa aur Eid-ul-Fitr se bhi badaa hai,
is me 5 baatei’n hain:
Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko paida kiya.
Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko Zameen par utaara.
Is Din Aadam (A.S.) Faut (Wafat) hue.
Is me 1 Ghadi hai jo banda is Ghadi me
Allah Ta’ala se Sawaal karta hai wo isko de deta hai
jab tak wo Haraam Cheez ka sawaal na kare.
Is din Qayamat Qaayem hogi,
koi Muqarrab Farishta na Aasmaan me,
na Zameen me, na hawaa me,
na Pahaad me aur na dariya me
magar wo Juma se Darte hain.’