Contents
Kya aap jaante hain❓ Musalman ko aane wali har bimari, pareshani aur takleef uske gunahon ko mita dene ka zariya ban jaati hai. Is silsile me kai sahih Hadeesein paayi jaati hain jo hume Sabr, Shukar aur Allah ki Rehmat par yaqeen karna sikhaati hain.
✦ Bukhaar — Momin Ko Gunahon Se Paak Kar Deta Hai
Hazrat Abu Huraira (R.A) bayan karte hain:
Jab Rasoolullah ﷺ ke paas bukhaar ka zikar hua, to ek shakhs ne bukhaar ko bura kaha.
Aap ﷺ ne farmaya: “Bukhaar ko bura na kaho, kyunke wo Momin ko gunahon se is tarah paak kar deta hai jaise aag lohe ki mail ko saaf kar deti hai.”
📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 3598
✦ Bimar Ki Ayaadat Ka Sawab 💛
1️⃣ Hazrat Abbas (R.A) bayan karte hain:
Rasoolullah ﷺ jab kisi bimar ki ayaadat ke liye jaate to farmate: “Koi darr nahi! Bimari gunahon ko paak karne wali hai.”
📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 7470
2️⃣ Hazrat Abdullah (R.A) bayan karte hain:
Main Nabi ﷺ ke paas unki bimaari me gaya, aapko tez bukhaar tha.
Main ne arz kiya: “Huzoor! kya aapko dohra sawab milega?”
Aap ﷺ ne farmaya: “Haan, jo Musalman kisi pareshani me hota hai Allah uske gunah aise gira deta hai jaise darakht se patte girte hain.”
📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 5661
✦ Bimari, Takleef aur Marz — Gunahon Ka Kaffara 🌿
1️⃣ Hazrat Abdullah ibn Masud (R.A) bayan karte hain:
Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Musalman ko koi takleef, marz ya kuch bhi pareshani nahi pahunchti,
magar Allah uske chote gunah jhaad deta hai jaise darakht se patte girte hain.”
📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 5660
2️⃣ Hazrat Abu Huraira (R.A) bayan karte hain:
Rasoolullah ﷺ ne farmaya: “Allah jis bande ke saath bhalai ka irada karta hai to use apni taraf se bimari (aazmaish) me mubtila kar deta hai.”
📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 5645
3️⃣ Hazrat Abu Saeed al-Khudri aur Abu Huraira (R.A) bayan karte hain:
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
“Musalman ko agar ranj, gham, fikr ya dukh pahunchta hai — hatta ke ek kaanta bhi chubh jaaye — to woh takleef uske gunahon ka kaffara ban jaati hai.”
📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 5641-5642
✦ Bimari Me Sabr Karne Ka Ajr 🌸
Yahya ibn Sa’eed (R.A) bayan karte hain:
Rasoolullah ﷺ ke daur me ek shakhs bina kisi takleef ke wafaat pa gaya.
Kisi ne kaha: “Woh bahut naseebwala tha, bina kisi bimari ke hi chala gaya.”
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
“Tum me se kisne kaha ke woh bahut naseebwala tha?
Agar Allah use kisi bimari me mubtila karta to uske badle uske gunah maaf kar deta.”
📕 Muwatta Imam Malik, Hadees 1478
📕 Mishkatul Masabeeh, Hadees 1578 (Tahqeeq by Albani Rh.)
💛 Wazahat
Bimari bhi Allah ki taraf se aazmaish hoti hai
aur gunahon ka kaffara bhi.
Isliye hume Sehat aur Bimari dono haalat me Allah ka Shukr ada karna chahiye.
Har haalat me Sabr-o-Shukar karne walon ke gunah Allah mita deta hai
aur Aakhirat me unhe Ajr-e-Azeem ata farmata hai.
🌸 Insha Allahul Azeez, Allah Ta’ala hume kehne sunne se zyada amal ki taufeeq de. Aameen 🤲